Malka Saba Ka Takht Malka Bilqees Wife of Hazrat Suleman A.S In Urdu

  Lal Gulab      

Malka Saba Wife of Hazrat Suleman A.S

Quran Pak ki Surah Naml mein  Hazrat Suleman aur Malka Saba ka waqia mojod hai jo keh nihayat dilchasp hai aur sunnay mein bhala maloom hota hai. Hazrat Suleman A.S bani israel ke jaleel al qadar badshah aur Nabi thay. Aap ki hukumat insanon ke ilawa jinon, parindon aur janwaron par bhi thi. Aik din hud hud bird ke zariye Hazrat Suleman A.S ko Yemen ki Queen Saba ke mutaliq itla mili jo suraj parast thi. Shetan ne usay aur us ki qaum ko gumrah kar rakha tha.

Aap ne Malka Saba ko hud hud hi ke zariye aik khat (letter) bheeja hud hud ne ye khat Malika Saba (Malka Bilqees) ki gaud mein us waqt giraya jub woh khilwat ke alam mein istrahat kar rahi thi. Kisi ko ye ilm na ho saka keh khat kon laya aur kis waqt diya gaya. Khat ki ebarat khuch is tarah thi:
Malika Saba ne ye khat parh kar apni riwayat ke mutabiq apne darbari umra'a se mashwara kiya. Unhon ne kaha hum zabardast jangi quwat aur taqat ke malik hain. Humain Suleman (A.S) se mar'oob hone ki koi zaroorat nahin faisla karne ka ikhtyar unhon ne malikah ko hi sonpa keh malika jo bhi faisla kare hum us par razi hon ge. Malika apni quwat aur taqat se bakhoobi ba khabar thi lekin Hazrat Suleman A.S ne khat jis tarah us tak pohanchaya tha us ne malika ko sochne par majboor kar diya aur us ne ujlat mein koi faisla na karne ka irada karte hue Suleman A.S ko chand qasdeen ke hath tohfay bhijwaye. Qasdeen ko bhijwanay ka aik maqsad ye bhi tha keh Hazrat Suleman A.S ki quwat o hashmat ka sahi andaza lagaya jaye.

Jub  qasdeen Aap A.S ke paas pohanchay tou unhon ne farmaya keh tum meri hidayat ko bilkul ghalat samajhte ho. Mere hukam ki tameel ki jaye aur un tahaif ko wapas lay jao tum in tahaif se mujhe behla phsla nahin saktay. Agar mere paigham ki tameel na ki tou main azeem al shan lashkar ke sath Saba ke mulk pohanchon ga tum madafat na kar pao ge aur tum ko shehar badar kar diya jaye ga.

Qasdeen ne wapas ja kar tamam waqiat sunaye keh kis tarah Unhon ke darbar mein jin aur haiwanat bhi un ka hukam mantay hain. Malka Saba aur hat dharam na thi us ne apne aap ko aur apni qaum ko halakat mein dalne ke bajaye Hazrat Suleman A.S ke hukam ki tameel ka faisla kiya.

Aap A.S ko bazariya Wahi ilm ho gaya keh Malka Saba Un ki khidmat mein hazir ho rahi hain. Unhon ne apne darbar mein mojood afrad se pucha keh kon shakhs Malka Saba ka takht us ke pohanchne se pehle yahan la sakta hai. Aik dev ne arz kiya keh main us darbar ke barkhast hone se pehle takht lanay ki taqat rakhta hon aur us takht ke baish qeemat saman mein koi khayanat na karon ga. Us dev ka dawa sunn kar Hazrat Suleman A.S ke aik wazeer ne kaha main palk jhapaktay mein us takht ko yahan par hazir kar sakta hon. Chunanchay Hazrat Suleman ne rukh mubarak pheer kar dekha tou Malika Saba ke takht ko mojood paya. Aap ne farmaya ye mere Parwardigar ka fazal o karam hai keh woh mujh ko azmata hai keh mein us ka shukar guzar banta hon keh na farman aur haqeeqat tou ye hai keh jo shakhs us ka shukar guzar hota hai woh darasal apni hi zaat ko nafa pohanchata hai aur jo nafarmani karta hai tou Khuda us ki nafarmani se pay parwah aur Bazurg tar hai aur us ka wabal o khud nafarmani karne wale par parta hai. Allah Ta'ala ka shukar ada karne ke baad Aap ne us takht ki hiyat mein tabdeeli ka hukam diya aur farmaya keh dekhna chahta hon keh malika saba dekh kar haqeeqat ki taraf mael hoti hai ya nahin.

Khuch arsa baad malka saba Aap ki khidmat mein pohanch gayi jub malkah darbar mein hazir hoi tou us ko us ka takht dikhaya gaya. Us ne kaha keh ye mere takht ke jesa hi hai malkah ne kaha keh mujhe Aap ki quwat aur taqat ka pehle hi ilm ho chuka hai is liye mati aur farmanbardar ho kar hazir hoi hon. Ab tak Malikah ne Aap A.S ki farmanbardari ka izhar tou kar diya tha jabkeh Aap A.S ka maqsad us ko Allah ka farmanbardar banana tha chunanchah unhon ne jinon ki madad se aik shandar sheesh mahal tameer karaya jo keh apni chamak damak aur araesh o sajawat mein benazir tha us mein aik shandar hoz tha aur hoz ke sath chamkeela farsh tha. Aise dikhai deta tha keh farsh par pani beh raha hai. Malka saba se kaha gaya keh woh qaiser shahi mein qayam kare.

Malika ko is ke liye sehan se guzarna parra wahan se guzartay hue malika ne khayal kiya keh sehan mein pani hai. Us ne apna libas  pindli tak uthaya keh pani mein bheeg na jaye tou us ko bataya gaya keh us mein pani nahin hai balkeh ye hoz ka aks hai. Aisi ki cheezon se us ko ehsas dilaya keh ye cheezain asal mein Hazrat Suleman A.S ko kisi aur Hasti ki taraf se wadiat karda hain aur Hazrat Suleman A.S Us hasti ko pehchantay aur tasleem karne ki dawat de rahe hain. Is baat ka khayal atay hi malikah sharamsar hoi aur Allah Ta'ala par imaan lay ayi.

Islam qabool kar laine ke baad Hazrat Suleman A.S ne us se Nikah kar liya aur baad mein us ko us ke mulk jane aur hukumat karne ki ijazat ata ki aur baad azan us se waqtan fawaqtan mulaqat farmatay rahe.
logoblog

Thanks for reading Malka Saba Ka Takht Malka Bilqees Wife of Hazrat Suleman A.S In Urdu

No comments:

Post a Comment