Bawaseer Ka ilaj In Urdu Bawaseer Disease
Bawasir, Alamat, Asbab Aur Treatment Bawasir Kya Hota Hai In Urdu
What Is Bawaseer In Hindi? Bawaseer Information Urdu: Ye antriyon ki bimari hai jo antriyon ki karkardgi mein kharabi waqia hone se paida hoti hai is ke ilawa ye disease garmi ki nisbat sardi ke mausam mein zayada hota hai kyoun ke sardiyon mein aam tor par pani kam piya jata hai. Natijatan jism mein khushki ka ghalba ho kar antriyon ke afal mein nuqs paida ho jata hai jo bawaseer ki shakalmein zahir ho kar takleef ka baes banta hai. Basaweer ki bimari iqsam ke lihaz se 3 tarah ki hoti hai khooni, badi aur mason wali.
Bari aant mein sozish ki kefiyat paida hone bilkhasos akhri hisay mein warm ho jane maqd bhi mutasir ho jata hai youn maqd ka munh phool kar masay ki si shakal ikhtyar kar laita hai. Khooni bawaseer mein maqd se khoon rasnay ke baraz ke sath nikalne lagta hai jabkeh badi bawasir men khoon tou nahin nikalta albata takleef khooni bawaseer se bhi zayada hoti hai kyoun keh maqd ke munh par masay namudar hone se rafa hajat ke waqt intihai aziyat ka samna karna parta hai. Khooni aur badi bawaseer ki alamat mein khuch zayada farq nahin paya jata. Bawaseer ki donon types mein patient shadeed qabz mein mubtala ho jata hai maqd ke munh par tez jalan aur kharish hoti hai baraz ke akhraj mein tangi aur takleef ka samna karna parta hai mareez ki bhook khatam ho jati hai quwat hazma mein kharabi aur tezabiyat aur gas paida hone lagti hai.
Chehre ki rangat zard aur jisamat kamzoor par jati hai ayyza akhraj na hone se pait phoola phoola rehta hai munh se badbu ati hai joron aur kamar dard hone lagta hai neend mein kami aur mazaj mein chirchira pan paida aur kar tabiyat bay cheeni ka shikar ho jati hai.
No comments:
Post a Comment