Kamar Dard Ka ilaj Urdu Back Pain Treatment Hindi Back Pain Home Remedies Tips

  Lal Gulab      

Kamar Dard Ka ilaj Urdu Back Pain Treatment In Hindi Gharelu Upchar

Upay Kamar Ka Dard Totka: Dar haqeeqat mein aik paigam hai jo asab ke zariye se dimag tak puhnchta hai to dimag ko maloom hojata hai ke jism ke kis hise ko nuksan puhnch raha hai. Iske natije main dimag asab ko paigam daita hai ke ise kya qadam uthana chahye misal ke tor par agar hath ag main jal raha hai to wo hath ko hukum daita hai ke ise ag se hatalo. Baaz aukat kamar main achanak dard hone lagta hai aur hamari jismani halat tabdeel hone par dard bhi hojata hai. Dard jis wajah se ho raha tha wo wajah purani bhi ho sakti hai. Tips Kamar dard ka ilaj gharelu tarika yani home remedies se kiya ja sakta hai agar lower back pain ya upper back pain hai tab zayada wazni cheezain na uthayain balkeh koshish karain rest karain aur koi wazan na uthayain aur woh log jin ko kamar dard nahin unhain bhi yehi mashwara diya jata hai ke zayada heavy cheezain na utahayin is se kamar dard ka khatra rehta hai aur zayada se zayada doodh ka istemal aur pani peena chahiye is ke sath kamar ki excercise bhi karain.

Kamar Dard Ki Wajah - Reason of Back Pain

Dabao aur khechao jo rerh ki hadi par parta hai is main bohat se awamil shamil hote hain maslan kursi ka dhail dhala hona, driving ke waqt kobron ki tarah bethna galat andaz se khara hona koi cheez uthate waqt jism ka andaz galat hona aise gade par sona jis main garha parchuka ho ap jismani tor par fit na hon apne kam zayada karlia ho. Kamar dard ki aam waja hoti hai ke ap katai mutahrik na hon aur gair mutahrik halat main dair tak sakt baithe rahain ya phir galat andaz se harkat karen. Gair mutahrik hone ke sabab azlat main susti aur kamzori paida hojati hai lehaza wo jism ko sahi tarike par sahara nahin de pate. Iska natija ye hota hai ke kamar gair mehfuz hojati hai aur kisi jaga par zayada dabao parne lagta hai. Baaz aukat ye bhi hota hai. Ke kamar ke nichle hise ki ligaments khichao ka shikar hojati hain. To dard shuru hojata hai. Kabhi kabhi rerh ki hadi ke niche hise ke mutasir hone se ainthan aur tashnaj bhi hojata hai. Ap ke galat andaz se khare hone, jhukne ya murne se shadid dard hone lagta hai jabke wo harkat behad mamuli hoti hai. Dard baaz aukat achanak hota hai aur kabhi kabhi batadrij lekin taklif rafah hone main chand roz ya phir hafta lag jata hai.

Ghalat Nashist Ikhtiyar Karne Par Kamar Dard: Ghalat nishit o barkhast ya dair tak wazah ikhtiyar karne par rerh ki hadi uper se neche tak mutasir hojati hai yahan tak ke gardan kamar ke niche hise bazon aur ungliyon tak main dard hone lagta hai. Chunacha apna jaiza lijiye aur bethte waqt sahi andaza ikhtiar kijiye.

Sar Aur Gardan Ke Khichao Se Dard

Gardan ke mukhtalif azlat par jab dabao aur khichao parta hai to ap be arami mehsoos karne lagte hain is khechao ki waja se gardan ke akbi aur kamar ke upri hise par dard hone lagta hai. Phir yahi dard barh kar sar tak puhnchta jata hai. Is dard se ye mehsus hota hai jaise koi sar par dabao dal raha ho. Gardan ke azlat main is waqt bhi dard shuru hojata hai jab ham kisi screen par barik alfaz parte hain iske ilawa ankhon par bhi zor parta hai aur wo thak jati hain. 

Kamar Ke Nichle Hise Ka Dard

Kamar ke nichle hise ka dard bhi ab am hota jaraha hai. Baaz aukat nichle hise main chot lagne se bhi ye dard hota hai, magar kabhi kabhar galat andaz se bethne par is dard ki shikayat hojati hai. Galat andaz se jhukne ya jism ko morne se achanak kamar ko jhatka lagta hai aur dard shuru hojata hai ye bhi hota hai ke jab ap dair tak behas o harkat bethe rahain tab bhi aza manjimad hojate hain aur inki lachak khatam hojati hai wazan barhne ki surat main ya motapa tari hone par bhi jism main dard hota hai. Wo rabati bandhan ya reshe jo rerh ki hadi ko sahara daiye hote hain motape ki waja se in par asar parta hai tab bhi kamar main dard hone lagta hai.

Baar Baar Khichao Se Dard

Hath, kalai, bazu aur shano ko bar bar galat andaz se istemal karne par in main khechao paida hota hai magar kisi nuksan ki alamat zahir hone main kafi waqt lag jata hai. Ibtidai tor par khafif sa dard hota hai lekin ham iskoi ehmiyat nahin daite, chunacha is main batadrij izaja hota chala jata hai. Ye dard is bina par hota hai, jab ap bohat dair tak be arami se ek hi jaga beth kar musalsal kam karte hain maslan wo mazdoor ya machine main jo ek hi andaz ke kam musalsal karte rahte hain agar in ke khare hone ya bethne ka andaz galat hoto inki kamar main dard hojata hai. Computer par zayada dair baith kar game khailne, mobile phone ko dair tak kan se lagae rakhne ya computer ka mouse dair tak thame rahne se bhi kamar main dard hojata hai. Mosikar, darzi, factories main kam karne wale jo ek hi noiyat ka kam musalsal karte hain ya safai par mamur afrad bhi is dard main mubtala hojate hain. 

Bemariyon Ke Sabab Dard

Bohat si bemariyon ke sabab bhi kamar dard hone lagta hai jin ka kafi arse tak ilaj karana parta hai. Is tarah kamar ke azlat aur bati bandhano ko nuksan puhnchata hai. Kamar dard ki tashkhish: Baaz aukat maljeen keliye aise kamar dard ki tashkhish karna dushwar hojata hai jo kamar ke nichle hise ke rabati bandhano ya reshon ko nuksan puhnchane ke sabab hota hai. Chunacha ise nichli kamar ka gair wazahati dard kaha jata hai aksar halat main koi chot lagne ke ek ya do roz bad dard shuru hota hai. Baaz aukat is main waqt lagta hai to maljeen keliye iska sabab daryaft karna aur bhi dushwar hojata hai. 

Kamar Dard Ki Iqsam

Naya aur purana dard: maljeen in dono dardon ke bare main waziah khayalat rakhte hain inka kahna hai ke nae dard jald rafah hojate hain ye tashwesh nak nahin hote is liye ke ye Maloom hojata hai ke dard kaha horaha hai aur iski waja kya hai. Purane dard jism main zayada dair tak rahte hain aur taklif dah sabit hote hain. Agar apke jism ke kisi main dard guzishta 12 hafton se horaha hoto ise purana kaha jaega.

Rerh ki hadi ke mahron se dard: ham apni kamar ko mor laite aur asani se uth, beth aur lait jate hain aisa karna is liye mumkin hai ke rerh ki hadi chote chote mehron par mushtamil hoti hai. Ye mehre dono taraf se hamwar hote hain. Insan jab burha hone lagta hai to mehre apas main ragar khane lagte hain jis se kamar main dard aur soozish shuru hojati hai.

Hadiyon Ke Bhur Bhure Pan Se Dard: Jab hadiyan bhar bhari hojati hain to wo kamzor parjati hain aur dabao parne par tot ya chatak jati hain is kaifiyat main kamar aur gardan ki hadiyon par dabao parta hai aur dard hone lagta hai. Khawateen main san yas ke bad ye kamzori numaya hone lagti hai. Is par kabu pane ke liye khawateen tamba ko ko khana chordain, calcium zayada se zayada khain aur hayatin "D" vitamin D ke zamime bhi khain. Agar adwia khane aur ehtiyati tadabeer ikhtiar karne ke bad bhi ap ki kamar ka dard rafah nahin hota to apne malij se rujoo karna zaruri hai. Mumkin hai ap in alamat ka samna kar rahe hon maslan:
Back Pain Symptoms In Urdu
* Peshab karne main taklif ho rahi ho ya peshab main khoon aharha ho.
* Kamar ya zakar sun aur bejan horahe hon.
* Tangon ya bazuon main kamzori ya soiyan chubhti mehsus horahi hon.
* Malij se apni roz marah ki masrufiyat aur andaz nisht o barkast par tafseeli guftugu kijiye aur apna wazan kam kijiye.
Jab ap apne mualij se rujoo karenge to wo ap se darj zail mamkina sawalat karega uske jawabat daine ke liye tayari kar lijiye.
  1. Ap ki kamar main dard kab se shuru hua?
  2. Jab kamar main dard shuru hua tab ap kia kar rahe the?
  3. Kya is se pehle bhi apko aisi shikayat hochuki hai?
  4. Dard kis jaga horaha hai?
  5. Kis kism ka dard horaha hai? Dheema, taiz ya chubne wala?
  6. Dard hamesha isi jaga par hota hai?
  7. Dard kia karne se barhta aur kia karne se ghat ta hai? Kya iske ilawa bhi apko koi pareshani hai?
logoblog

Thanks for reading Kamar Dard Ka ilaj Urdu Back Pain Treatment Hindi Back Pain Home Remedies Tips

No comments:

Post a Comment