Media Azad Nasal Barbad Urdu Essay Nojawan Nasal Aur Media Ka Kirdar

  Lal Gulab      
Media Azad Nasal Barbad Essay In Urdu Media Muashray Ki Tabahi Ka Baes Hai
Ye aik barson se tariqa chala araha hai keh koi bhi shakhs apni ghalti ya jurn tasleem nahin karta apni ghalti ya khata ka ehsas bhi ho jaye tou woh dusre ke sar dalne ki koshish karta hai yehi khuch media ke sath ho raha hai jis ko dekhain media ko bura kehta hai. Log nasal ki tabahi aur barbadi mein media ka hath batatay hain. Uryaniat ke pheelane mein media ko zumaidar qarar diya jata hai. Dehshat gardi ki tarbiyat o targheeb bhi media ke hisay mein daal di jati hai.

Media Kya Hai? Media tou aik bay jaan kaghaz hai jo hamare samne akhbarat aur rasail ki shakal mein aata hai. Media bay jaan machinon ka naam hai jo hamare samne radio, tv, vcr telephone, mobile aur computer ki shakal mein ata hai kya in bay jaan machinon mein ye salahiyat hai keh apni marzi se khuch kar sakain? Nahin... har giz nahin... un mein jaan dalne wale hum hi log hain jo hum kehte hain wohi karta hai tou ghalti hamari hai ya media ki?

Mushra afrad se banta hai afrad ache hon ge tou muashra acha ho ga afrad buray hon ge tou maushray ke woh afrad zumaidar han jo nafsiyati aur zehni bimar hain ya phir rupee paise ne un ki ankhain band kar rakhi hain. Ye log media se mutaliq koi chez bhi istemal karte hain tou tagheebi zehan ke sath agar akhbarat rasalay dekhain ge tou us mein bhi uryaniat talash karain ge. Telephone aur mobile istemal karain ge tou bay hoda guftugu ko chhor kar buray kamon ke liye istimal karain ge.

Insan ke samne bohat si rahain khuli hain. Allah ne us ko aqal o shaoor diya hai keh woh khair o shar ki tameez kar sake us ka ye farz banta hai keh woh aqal o shaoor se kaam lay haqeeqat ye hai keh media se mutaliq tamam ijadat hairat angeez inqlab ka sabab banti hain. Ijad koi bhi ho us ka acha ya bura hona us ke istemal ki noeyat par munhsar hai. Zaroorat is baat ki hai keh media ko behtar aur mufeed banayain takeh media hamare muashray mein insan ko muawan o madad gar ban kar ubharane aur nayi nasal ki tameer o taraqi mein barh charh kar hisa lay takeh nayi nasal ki sahi taleem o tarbiyat ho sake.
logoblog

Thanks for reading Media Azad Nasal Barbad Urdu Essay Nojawan Nasal Aur Media Ka Kirdar

No comments:

Post a Comment