Television Essay In Urdu Television Ke Faide Nuqsanat Advantages Disadvantages Tv Hindi Essay

  Lal Gulab      

Urdu Essay Television Ke Fawaid o Nuqsanat Hindi Essay Tv

Television se insan door se bolne ya kaam karne wale shakhs ko dekhta hai isay tv bhi kehtay hain is ka ijad (invention) karne wala Broad nami shakhs tha.

Tv Ke Faide Aur Nuqsanat:

Television Essay In Hindi Boon or Bane
Degar aksar cheezon ki tarah television ke bhi 2 rukh hain acha aur bura. Dunya mein koi bhi chez achi ya buri nahin hoti mehz soch usay acha ya bur abana deti hai. Bilkul usi tarah ye bhi kaha ja sakta hai keh koi chez achi ya buri nahin hoti mehz us is istemal usay acha ya bura bana deta hai. Television ke faide aur nuqsan bhi is ke sath sath chalte hain taham ye kehna ghalat na ho ga keh is ke fawaid is ke nuqsanat se zayada hain.

Television Ke Faide (Advantages of Television)

1: Zariya Tafreeh

Television behtareen zariya tafreeh hai admi jub din bhar ke kaam ke baad sham ko thaka manda ghar pohanchta hai tou us ka dil tafrih ko chahta hai takeh us ki koft door ho sake dimagh ka bojh halka ho aur usay karobar ya mulazmat ki uljhanon se chutkara milay lihaza woh chai ke sath sath television se bhi dil behlata rehta hai woh dramon aur pasandida programme (favourite tv show) se bhi apni tabiyat khush karta hai.

2: Tazah Khabrain

Pal pal badalte lamhat ke sath sath taza tareen khabrain thakay manday logon ke liye na sirf tafreeh ka saman hoti hain belkeh mulki aur ghair mulki halaat se bhi insan har waqt ba khabar rehta hai. Khabrain maloom karne ka sik chaska hai keh admi subah ke waqt jub tak akhbar na dekh lay usay kisi pal chain nahin parta.

3: Deeni Taleem

Television awam ko deeni taleem dene ka bhi bara aham zariya hai is par pura hafta deeni programme kisi na kisi station se nashar hote rehte hain jin mein ulma karam aham deeni masail par apni raye ka izhar karte rehte hain. Ramadan Mubarak mein khas tor par Islam ke bare mein ulma apne khayalat se awam ko agah karte hain yehi wajah hai keh tv aam logon ke ilm mein izafa ka baes banta hai. In ke ilawa tv har ilmi o adbi programe tibi masail, quiz programe aur kheelon ke muqable ki khasoosi nashriyat bhi awam ki dilchaspi ka baes banti hai. Is ke ilawa Quran ki Ayat aur tilawat bhi dekhi aur suni ja sakti hain.

TV Ke Nuqsanat - (Disadvantages of Television)

1: Waqt Ka Zaya

Tv ka bara nuksan waqt ka zaya karna hai log apne kaam kaaj chhor kar tv ke samne ghanton programe dekhte rehte hain us mein bilkhasoos talba ka bohat qeemti waqt zaya hota hai.

2: Nazar Mutasir Hoti Hai:

Tv dekhne ka nuqsan ye hai keh admi ki nazar kamzor hoti hai zayada dair tak musalsal nazar taka kar tv dekhna bachon ke liye nuksan deh hai.

3: Kheel

Tv aksar kheelon ke match dikhane ka ahtmam karta rehta hai aik roza matchon mein croron logon ka aik din zaya ho jata hai aur daftaron mein hazri bhi bohat kam hoti hai jo keh mutalqa adaray ka nuqsan hai.
logoblog

Thanks for reading Television Essay In Urdu Television Ke Faide Nuqsanat Advantages Disadvantages Tv Hindi Essay

3 comments:

  1. Bhai is Mai mujai help Howe Thanks urdu Mai rehtatoke aur Maza atta ... 5star Mai ap ko 3 Doon ga kunkai mujai bahot muskil howi translation karnai Mai All the best...😇😎🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻

    ReplyDelete