1st May Labour Day History In Urdu Youm e Mazdoor Information Mazdoor Day Ki Tarikh

  Lal Gulab      

Labour Day History In Urdu Youm e Mazdoor Ka Aalmi Din

Youm e Mazdoor yani mazdooron ka aalmi din 1st May (yakam may) ko dunya bhar ke mehnat kash apne un sathiyon ki yaad manatay hain jo yakam may 1886 ko chicago mein apne mutalbat ko manwane ke jurm mein halak kar diye gaye thay. Us zamane mein europe aur America mein mazdooron ko talu aftab se gharoob aftab tak kaam karna parta tha un mazdooron ne mutalba kiya keh un ke auqat kar par nazar sani ki jaye aur un se aik din mein zayada se zayada 8 ghantay kaam liya jaye.

1st may 1886 ko chicago ke mazdooron ne apne is mutalbay ko manwane ke liye aik azeem muzahiray ka programme banaya lekin police ne baghair kisi wajah ke muzahireen par goli chala di natijan seenkron mazdoor halak aur zakhmi ho gaye. 2 may se 6 may tak chicago ke tamam karkhanon mein hartal rahi aur muzahireen aur jalooson ka silsila jari raha. Aik mazdoor ne aik safed kapra maqtool mazdooron ke khoon mein rang kar usay parcham bana liya tab se ab tak surkh parcham mehnat kashon ka parcham chala aata hai. Hukumat ne mazdooron ke mutalbat tasleem karne ke bajaye 7 mazdoor rehnumaon ko takhta dar par latka diya jis se tehreek mein aur shiddat paida ho gayi. Un rehnumaon ki qurbani ke natijay mein Amreeci hukumat ko ghutnay teeknay par majboor hona parra aur mazdooron ke auqat kar 8 ghantay muqarar karne paray. Ahista ahista yakam may ka din chicago ke mazdooron shaheedon ki yaad mein har saal manaya jane laga aur us din ne international hesiyat ikhtyar kar li.

Yakam may 1972 ko Pakistan peoples party ki hukumat ne pehli martaba bazabta tor par sarkari satah par yakam may ko mehnat kashon ka din qarar diya tab se ab tak har saal yakam may ko mulk mein aam tateel hoti hai aur Pakistan ke tamam mehnat kasg dunya bhar ke mehnat kashon ke mil kar apne un sathiyon ki yaad taza karte hain jo un ke huqooq ke liye jad-o-jehd karte hue shaheed hue thay.
logoblog

Thanks for reading 1st May Labour Day History In Urdu Youm e Mazdoor Information Mazdoor Day Ki Tarikh

2 comments: