Kutub Bini Essay In Urdu Kutub Bini Ke Fawaid Kutub Beeni Mazmoon

  Lal Gulab      

Kutub Bini Essay In Urdu

Kutub Bini Ke Fawaid: Kehte hain kitabain insan ki behtren dost hoti hen. Insan jab kabhi bhi tanha hota hai to aise waqt men kitaben hi insan ka dil behlati hen. Kitabain insan ki behtreen dost aur sathi hi nahi balke maloomat ka khazana bhi hen. Pakistan mein kutub bini ke firog na pane ki wajohat men kum sharah khawandgi , sarfen ki kum quwat khared, hasol maloomat ke liye mobile, internet aur electronic media ka barhta hua istamal, achi kitabon ka kum hota hua rujhan, hakumati adm sar parasti aur library ke liye munasib wasail ki adm farahimi ke ilawa khandan aur taleemi idaron ki taraf se kutub bini ke firog koshishon ka na hona bhi shamil hai.

Aj se 15 ya 20 sal qabal log kitab parhne ke liye ek din muntakhib karlia karte the aur is din wo sab mil beth te aur koi ek kitab parhta aur baki log khamoshi se beth ke isko suna karte isi tarah talib ilam jo ke schools men parhne jaya karte the wo bhi isi tarah koi ek din muntakhib karlete aur is din ikhate mil jul kar parhte lekin ahsta ahsta ye riwaj manind parta gaya waqt guzarta chala gaya aur aj se panch ya das sal qabal tak ki agar ham bat karen to is waqt bhi bari umer ke log gharon men farigh hone ki waja se kitabon men hi zayada waqt guzara karte aur kitabon men khasusi dilchaspi lia karte aur inka mutala kia karte the.

Magar in do 3 salon men tabdeli ki ek aisi lehar ai k jis ne sab khuch yaksar badal kar rakh dia log kitab se dor hote chale gae is bat ki ek bari waja ye bhi thi ke ek taraf electronic media duniya par tezi se raj karta chala ja raha tha nae jaded tareke information hasil karne ke liye samne ate gae jin men sab se pehle radio jisko ab log kum hi sunte hen.

Lekin chand sal pehle tak to information ka ek bara zariya samjh kar isko suna jata tha lekin ab radio ki nashriyat ko bhi log kum hi sunne lage hen jis ki waja shayad electronic media men bari tabdeli jo ke pichle chand salon men tv ke ane se bhi kitab ke mutale men kami ai kyun ke log aram se beth kar kitab ko parhne ke bajae tv ko hi dekhne lage kyun ke is men tasver bhi dikhai deti thi.

Radio par to sirf awaz hi ati hai tv ke ane se radio ki makbuliyat men bhi kami ai aur log zayada tar tv hi ka inhasar karne lage phir iske bad computer aur internet ne rahi sahi kasar nikal di kyun ke logo ko nit nai information internet se milne lagi aur log internet ko istamal karne men dilchaspi ka izhar bhi karne lage aur is ke istamal men ae roz izafa bhi hone laga aur yahi waja hai ke is waqt internet ke sarfen ki tadad an ginat hai.

Print media bhi is silsile men kafi numaya raha aur logo ki tawaja pechle chand barsu men ikhbarat ki taraf ai aur log ikhbarat ko bhi parhne lage lekin jo bhi ho jaise bhi ho akhir ye sawal dimag ki khirki ko dastak deta hai ke kya kitab zawal ka shikar hogai? Hamari libraries sunsan pari hen aur kitaben parhne ka waqt hamare pas nahi raha to wo kitaben phir kis liye likhi gai kitab ko likhne walon ne to apni zindagi ke tajurbat mushahidat aur tajziye karke likhi khair hum ne to is kitab ko bhi bhula dia.

Jo ai hi khas al khas insaniyat ki bhalai ke liye thi jis men haq ke ilawa kuch bhi nahi likha gaya hum ne to isko bhi ek khubsurat gilaf ke andar band karke rakha hai to hum baki kitabon ka kya mutala karen ek sawal to ye bhi banta hai shayad insan ko zalil o ruswa bhi aj isi liye hona par raha hai kia ye kitab almariyon ke andar sajane ke liye hi reh gai thi? Nojawano men nadil kuch asra qabal buhat makbul hue aur dhere dhere inki makbuliyat men bhi kami aa gai.

Kitabon ke andar motiyon ki tarah apni tehriron ko sajane wale bhi koi aam insan nahi the namwar adeb aur shura jin mein doctor Allama Iqbal, Hazrat Data Ganj Bakhsh, Hazrat Bahauddin Zakariya, Faiz Ahmed Faiz jaisi hastiyan khuda dad salahiyaton ke malik jinho ne adab ki tamer men buhat bara kirdar ada kia aur ye adab in logo ne kitabo ke zariye hi har khas o aam tak puhnchaya aur aj adab sirf aur sirf in logo ki waja se zinda hai. Hum ne apni tarekh ko bhula dia hai. Agar tarekh ko na bhulte to shayad aj ye hal na hota. Kitabon ka mutala aur in men likhi gai tarekh ka mutala karne se muwashire ki islah hosakti hai.
logoblog

Thanks for reading Kutub Bini Essay In Urdu Kutub Bini Ke Fawaid Kutub Beeni Mazmoon

No comments:

Post a Comment