Jigar Ka ilaj Urdu Liver Treatment Hindi
Dhair Sara Lemon Pani Piyain: Rozana 8 se 10 glass filter shuda pani pene ki koshish karain. Sirf yahi ek tareka hai jis ke zariye aap ka jigar jisam se fasid zehrile madon ko bahir nikal sakta hai. Is silsile main behtar ye hoga ke din ka aghaz pani ke ek bare glass se karain jis main ek ya adha lemon nichor kar pi lain. Lemon aap ke jigar ki zeherile madon ke ikhraj ki salahiyat ko behtar banata hai. Lemon main shamil citric acid, bile ki paidawar ke silsile main jigar ki madad karta hai. Ye safra bhi fasid madon ko jism se nikalne main kirdar ada karta hai.
Lambe Paton Wali Sabziyan Khayain: Aisi dhair sari sabziyan istamal karain jo jigar ki tameer no karti hain, in sabziyon main sabz paton wali sabziyan, chukandar, gajar, bandgobi, charmar paton wali gobi(kale) aur isi kisam ki dusri sabziyan shamil hain. Jigar main agar koi kharabi paida hojae to is kisam ki sabziyon ke istamal ki sifarish ki jati hai. Koshish karain ke din main kam az kam do bar aisi sabziyan istamal hon. Ilawa azeen piyaz, lehsan, aur baro koli bohat ziyada istamal karain kyon ke in main gandhak ka ansar hota hai jis ki jigar ko zarurat hoti hai ta ke wo fasid madon ke ikhraj ka kaam behtar tor par kar sake. Jigar ki salahiyat ko mazed behtar karne ke liye mineral supply mints aur multi vitamins goliyon ki bhi zarurat hosakti hai, khas tor par in logo ko jo sabzi khana pasand nahin karte. Yad rahe ke agar kisi ek bhi eham ghizaiyat ki kami hojae to jigar apna kam munasib tor par karne se kasir rahaiga.
Halki Malish Karain: pait ke bal lait kar aap jism ke is hise ki halki malish karsakte hain jahan pita aur jigar mojood hote hain. Ye jaga aap ke jism ke daen janib nichli pasliyon ke sath hai. Is malish se jigar tak khoon ka bhao behtar hota hai.
Apne Jigar Par Zayada Bojh Na Dalain: Aap ka jigar is waqt behtaren kam karsakta hai jab aap is par alcohol aur pharmacy par aam firokht hone wali dafiah pain killer dard dawaon ko process karne ka baar na pare. Ye chezain gair zaruri tor par jigar ko mushkat main dalti hain. Jigar ke nakara hone aur iski bemariyon ki ek eham taren waja alcohol aur dard door karne wali dawaon ka betahasha istamal bhi hai.
Jigar Ki Madadgar Suppy Mints: Baaz jari bootiyan maslan haldi, Milk thistle aur shairdandan ya gul kasidi (dandelion) jigar ki safai aur kharabiyon se mehfooz rakhne main kirdar ada karti hain. Is silsile main rozana 45 milli gram haldi, 400 milli gram gul kasidi ka arak ya 400 milli gram aont katara istamal karne ki sifarish ki jati hai. Aap gul kasidi ya shairdandan ki taza jaron ko kholte hue pani main dobo kar iski chae tayar karke bhi pi sakte hain. Agar aap jangli gul kasidi ki talash main hain to ise aisi jaga se hasil karain jahan ke bare main aap jante hon ke in par kere maar dawaon ka spray nahin kia gaya hai.
Jigar Ke Liye Zaroori Madniyat: Jism se zehrele madon ke bahir nikalne main jigar jo kirdar ada karta hai, in main madniyat bhi iski madad karti hain, is liye is bat ko yakeeni banain ke aisi dhair sari ghizain aap ke istamal main hon jin main wo madniyat pai jati hain ya phir in madniyat ki hamil supply mints istamal karain. Is kisam ki dawain agar siyal surat main hon to behtar hain. Jigar ke liye eham madniyat main magnesium, calcium, potasium, copper, sodium, iron, zing, silenium, meganes aur degar shamil hain.
No comments:
Post a Comment