Hostel Life Essay In Urdu Hostel Ki Zindagi Hamara Hostel Mazmoon In Hindi

  Lal Gulab      

Hostel Life Essay In Urdu Hostel Ki Zindagi With Poetry

Hostel Life Urdu Essay: Hostel mein rehna aik yadgar tajarba hota hai jin talba (students) ke ghar school se door hote hain ya aisi jagahon par hote hain jahan se rozana anay jane mein bohat takleef hoti hai aur parhai bhi mutasir hoti hai woh apne qayam ka intizam hostel mein dakhla lay kar karte hain jo aam tor par school ki kisi mulehqa emarat mein hota hai. Mujhe bhi isi qisam ki diqat ka samna tha. Lihaza mujhe bhi hostel mein dakhla laina para.

Mujhe hostel mein dakhla liye 1 mah guzar gaya hai mera mahool kyoun keh dehati hai main shuru se hi rozana apne gaon chala jaya karta tha jo school se 7 mile door hai. Ab daswien jamat ka imtihan sar par agaya hai jis mein har haal mein kamyabi hasil karna meri nisbul ain tha is liye mere mohtram ustad ne mujhe mashwara diya keh rozana subah ko 7 mile aur sham ko 7 mile ka thaka dene wale safar se kam az kam 2 hours zaya hote hain aur ghar ja kar khuch aur bhi zumaidariyan hoti hain. Lihaza behtar hai keh imtihan tak hostel mein dakhla lay lo. Walid mohtaram ne bhi is se ittefaq kiya aur main dakhil ho gaya.

Pehle roz jub mein hostel mein aaya tou mujhe ajeeb sa laga mujhe hostel ke asoolon se agah kiya gaya aur un asoolon ki pabandi ki takeed ki gayi. Main khulay mahool mein rehne ka aadi tha jahan par kisi qisam ki pabandi nahin hoti. Mujhe kamrah number bataya gaya jahan mera aik room mate bhi hai. Khuda ka shukar hai keh woh bohat khush ikhlaq aur mehanti larka hai. Woh mera hum jamat hai jis ka naam abid hai. Aisa acha room mate milne se bhi khushi hoi aur baad mein bhi woh mere liye aur main us ke liye bohat hi madadgar sabat hue.

Hamare hostel ki emarat bilkul nayi khubsurat aur aleeshan hai jis mein 50 ke qareeb kamray hain. Har kamre mein 4 larke rehte hain lekin mera kamrah chota hai is mein sirf mere aur mere room mate ke liye hi gunjaesh hai. Main samajhta hon keh ye mere liye bohat hi acha hua. Abid aur main class ke ache larkon mein shumar hote hain. Hamari adaat bhi aik dusre se milti julti hain aur husn ittefaq se hain bhi aik hi gaon ke. Har kamre mein bijli aur pankhon ka intezam hai kitabain aur dusra saman rakhne ke liye maqool intezam hai. Har kamre mein larkon ki tadad ke mutabiq meez aur kursiyan bhi hain. Sub kamre roshan aur hawadar hain.

Hamare hostel mein jismani aur zehni mashaghal ka bhi intezam hai. Kheel ka maidan kheelon aur jismani warzish ke liye hai common room mein talba ke liye reading room bhi hai aur table tennis bhi, akhbar o rasael ka bhi intezam hai. farigh waqt mein talba nisab ke ilawa ghair nisabi maloomat ka zakheera ikatha karte hain. Hostel mein hamari aik bazm adab bhi hai jis ke ijlas haftawar hote rehte hain. Main adbi zehan rakhta hon is liye mere liye ye bohat hi dilchaspi ka baes hai isi liye main in ijlason mein hisa laita hon.

Hamare hostel ke superintendent nihayat qabil, khush ikhlaq aur aala kardar ke malik hain jin ka naam Khaleel Ahmad hai. Aap nafsiyat mein MA hain aur farigh auqat mein woh aksar humain ilm se mustafeez karte rehte hain. Yahan tak keh nafsiyati tor par unhon ne har hostel ke larke ko is qabil bana diya hai keh us ne dunya mein rehte hue zindagi mein mushkilat ka kis tarah muqabla kar ke kamyab hona hai. Unhon ne hamare dil mein ye baat daal di hai keh insan yahan par aish o aram karne nahin balkeh mushkilat ka samna karne aur ache kamon ke liye aay hai. Main samajhta hon keh aisa acha sabaq de kar unhon ne hum par bohat ehsan kiya hai. Humain umeed wasaq hai keh zindagi ke kisi marhalay par hum In Sha Allah nakam nahin ho sakte. Un ka mozu aksar auqat iqbal ka falsafa khudi hua karta hai. Unhon ne zindagi guzarne ka jo behtareen formula humain diya woh is shair (poetry) mein is tarah band hai jis tarah darya kozay mein band kar diya ho.
Yaqeen Mehkam Amal Payham Mohabbat Fatah Alam
Jahad Zindagani Mein Hain Ye Mardon Ki Shamsheerain
Hostel ki zindagi (hostel life) mein khud aitmadi ka sabaq milta hai. waldain se dor reh kar apni hi quwat arada aur apni hi raye aur faisla se kaam laine ka adi banna parta hai. Yahan par aik nazam o zabt hota hai jis se talba munazam hone ka saleeqa seekhte hain. Pabandi waqt hamari adaat ka hisa ban jati hai aur time table ke mutabiq parhne se husool ilm mein bohat jald kamyabi hasil hoti hai. Yehi wajah hai keh quaid aur iqbal jesi azeem hastiyon ne bhi hostels mein qayam kiya. Hostel mein jahan aksar ache larke hote hain wahan khuch aise larke bhi hote hain jo waldain ki ghair mojoodgi se najaiz faida uthate hain aur waldain ki khoon paseene ki kamai ko film beeni aur fazool mushaghal mein zaya karte hain. Un ke aisa karne mein hostel ka koi qasoor nahin woh asal mein ghair zumaidarana zehan rakhte hain. Agar woh hostel mein na bhi dakhil hote tou gharon mein reh kar bhi isi qisam ke shuaar ke malik rehte. Majmoi tor par hostel aik aisi jagah hai jahan talba ko apni zindagi sawarne ke bohat se moqay milte hain un se faida uthana ya na uthana un ka apna kaam hai.
logoblog

Thanks for reading Hostel Life Essay In Urdu Hostel Ki Zindagi Hamara Hostel Mazmoon In Hindi

No comments:

Post a Comment