History Urdu Bermuda Triangle Ki Haqeeqat:
Aik Pur Israr Jagah Jahan Bohat Se Hawai Jahaz, Kashtiyan, Bar-e-Azam Atlantis Aur Log Ghaib Ho Gaye Yahan Tak Ke 150 Saal Guzarne Ke Baad Is Jadeed Door Mein Bhi Is Ki Pur Israriyat Aaj Bhi Qaim Hai Aur Na Jane Aglay Kitne Saalon Tak Ye Raaz Hi Rahe Ga Ke Akhir Yahan Se Guzarne Wali Har Cheez Kahan Ghaib Ho Jati Hai...
What Is and Where Is Bermuda Triangle Kahan Hai: Kaha jata hai ke ye shaitani tikon hai yahan se jo hawai jahaz aur behri jahaz guzarte hain woh kabhi laut kar wapas nahin atay jo kashti mein musifir is alaqay par pohanchte hain woh najane kidhar ghaib ho jatay hain aur aaj se 100 saal pehle se khuch logon ne likhna shuru kiya keh shayed ye jagah zameen ke ilawa kisi aur dunya mein dakhil hone ka aik rasta hai aur bohat se mafroozay hain jese ke yahan par khalai maqkhlooq ne apna thikana bana rakha hai. Ye jagah jo behr-e-aqyanoos ke shumali hisay mein waqia hai ye woh jagah hai jahan se guzarne wale behri jahaz aur hawai jahaz pur israr tor par ghaib ho jate hain agey chal kar aap ko in jahazon ke ghaib hone ki tafseel bhi faraham ki jaye gi. Is mozu par kayi bermuda triangle movies bhi bani aur tehqeeq bhi jari hai lekin amreeki behria ke mutabiq, aisay kisi tikon ka wajod nahin hai. Is ke bawajood kya wajah hai ke itne hawai aur behri jahaz aur kashtiyan ghaib hoien? yahan tak ke yahan par aik bar-e-azam Atlantis hua karta tha woh bhi ghaib ho gya.Kon Se Jahaz Aur Behri Jahaz Doobay?
Qabil Zikar Waqiat - Interesting Facts: Wese tou bohat se qisay is alaqay se wabasta hain jin ki wazahat nahin ho saki unhi mein se khuch ne mazmoon likhne walon ki tawajah hasil kar li aur yehi barmuda ke bare mein pur israriyat ka baes bane. Un mein 1881 mein New York se jane wale jahaz ki gumshudgi, 1918 mein aik aur jahaz jis mein 309 log thay woh bhi ghaib ho gaya aur 1919 mein aisa aik aur waqia aur fligh 19 ka waqia 1949, aur 1950 mein England ke aeroplanes ke waqiat hain is se pehle C3 ka gum hona aur 1963 mein American Air Force ke fuel tanker ka crash hona aur aik kashti ke musafiron ka ghaib hona khas tor par shamil hai aur ye sub bermuda triangle ke waqiat hain. Khuch log Islami lihaz se is alaqay ke bare mein nazariya rakhte hue sochte hain ye shayed ye jagah woh hai jahan dajjal hai.Bermuda Mein Ahram Ki Daryaft:
Bermuda ke bare mein har door mein tajasas paya jata hai ab taqreeban 150 saal hone ko hain magar is ke bare mein log aaj bhi janna chahte hain ke akhir ye bermuda triangle kya hai kahan hai? aur is ki haqiqat hai kya? jese jese tehqeeq barh rahi hai nayi nayi cheezain samne arahi hain jesa hai ahram ki daryaft. Aksar scientists aur mahireen arziyat is ki pur israr stories ke bare mein wazahtain bhi kar chukay hain lekin ab kayi sawal aise hain jin ka jawab nahin mil saka hai. Khuch log isay kisi khalai makhlooq ki posheeda panah gah samajhte hain tou khuch ke nazdeeq yahan jane wala kabi wapas nahin ata jabkeh is ke bare mein ye bhi kaha jata hai keh ye kisi dusri kehkashan mein dakhlay ka rasta hai. Guzashta dinon is alaqay mein aik ahram daryaft hua jis ka taluq gumshuda bar-e-azam se bataya ja raha hai.Bermuda Triangle Ki Tarikh:
Bermuda Triangle ki hadood ka taeen pehli baar 1964 mein kiya gaya jo miami, portorico aur oqyanoos ke wust mein waqia jazeere ke darmiyan ka alaqa tha. Lekin is ke bare mein likhne walon ne in hadood ki pabandi nahin ki balkeh har tehreer mein bermuda ki alag hadood bayan ki gayi hain. Bermuda triangle ka total raqba 500000 se 1.5 million square meel ke darmiyan bataya jata hai. Taham is ki hadood ka baqaida kisi naqshay mein zikar nahin hai. Dilchasp baat ye hai keh ye alaqah mojooda door mein jahaz rahi ke liye bohat zayada istemal hota hai. Yahan se har jaftay kayi musafir aur maal bardar jahaz europe, america aur carebian ke sahilon tak pohanchte hain. Dusri taraf isi alaqay ke uper se rozana kayi hawai jahazon ki amd-o-raft bhi jari rehti hai.Bermuda Triangle Ke Ibtidai Pur Israr Waqiat:
Is alaqay mein jahazon ki pur israr gumshudgi ke bare mein pehla mazmoon (essay) 17 december 1950 ko miami herald mein shaya hua. Is ke baad 2 saal baad mukhtasir article shaya hua jisay george ne tehreer kiya tha. Us article mein bermuda mein kayi jahazon aur ships ke ghaib hone ka zikar tha jis mein 5 bambaar tayaron par mushtamil flight 19 squadern ke lapata hone ka waqia bhi shamil hai. Isi gumshudgi ke baad is tikon ka taeen kiya jane laga tha. Flight 19 ki gumshudgi ka zikar april 1962 mein aik American magazine mein publish hua is article ko likhne wale ke mutabiq akhri baar flight ke leader ko ye kehte hua suna gaya tha:"Hum safaid pani mein dakhil ho rahe hain humain nahin maloom hum kahan hain, pani sabz nahin, safaid hai."Allen ne ye bhi likha keh behria ki official inquairy mein kaha gaya keh gumshuda hone wale jahaz murikh ki taraf parwaz kar gaye.
Mystery Bermuda Triangle In Hindi Aur Bar -e Azam Atlantis:
Bermuda tirangle ki kahani (story) aur waqiat likhne walon ne inhain samjhane ke liye kayi alag tasawrat paish kiye hain. Aik khayal ye bhi hai keh is ka taluq gharqab hone wale bar-e-azam Atlantis se hai jis ke bare mein kaha ja raha hai keh bahamas ke jazeeray ke paas zair-e-aab chitanain dar haqeeqat atlantis ki baqiat hain ye alaqa kisi had tak bermuda trainangle mein shamil hai ye gumshuda bar-e-azam ke shawahid 1968 mein milna shuru hue is ki roshni mein kaha jata hai ke ye darasal koi deewar hai jisay atlantis ke basiyon ne tameer kiya ho gaya, jabkeh arziyat ke khuch mahireen isay qudrati chitanain bhi qarar de rahe hain. Dusri taraf 2 scientists ne bermuda triangle mein aik ahram aur mujasma daryaft karne ka dawa kiya hai, jis ki sakht misr ke ahramon se milti julti hai. Mahireen ka khayal hai keh ye 10000 saal qabal gharqab hone wale bar-e-azam atlantis ki baqiat hain. Dilchasp baat ye hai keh is alaqay se mutaliq film saaz o hidayat kar steven ne film "Close Encounters Of The Third Kind" banai thi. Is ka markazi khayal flight 19 ke pilots ke bare mein tha. Isi tarah is par bohat si kitabain (books) aur thoeries bhi paish ki ja chuki hain.Truth Behind Bermuda Triangle Information In Urdu:
Bermuda Triangle mein qutab nama ke istemal ke doran ghair mamooli tabdeeli ne is ki pur israriyat mein izafa kiya hai. Shayed yahan par poles ki tabdeeli ke baes qutb numa ki simtain khuch mukhtalif ho jati hain. Aam tor par log is ke bare mein nahin jante. 2000 mein America ne in places ke bare mein maloomat (information) ke bare mein faraham ki thien jahan par tabdeeliyan waqia hoti hain is mein bermuda triangle bhi shamil hai. Is alaqay mein jahaz rani ke doran aik masla khaleej mexico mein pani ka ghair mamooli bahao bhi hai jo florida tak jata hai. Is jagah khaleej ka bahao is tarah hai jese samandar ke andar alag darya rawan ho. Is bahao ki simat samandar ki lehron ke mukhalif aur raftar 2.5 fee second yani 5.6 meel fee ghanta hoti hai jis ki wajah se jahazon ko is simat mein safar karne mein dushwari paish asakti hai. Shayed yehi wajah ho keh jis mein mazi mein khuch jahaz apne rastay se hat gaye hon aur unhain gumshuda qarar de diya gaya ho. Mahireen ye bhi batatay hain keh beh-e-oqyanoos mein khas tor par bermuda triangle mein bare paimanay par methane gas ka ikhraj hota rehta hai jis ki wajah se samandar mein bare bare bulbulay paida hote hain jo kisi bhi jahaz ki gharqabi ka baes ban sakte hain.Gharz ye keh bermuda triangle ke bare mein mashoor baton ki kayi wazahatain di ja chuki hain lekin aaj bhi in par mukamal ittefaq nahin ho saka hai aur ye abhi mahireen arziyat scientists aur kahani likhne walon ki tawajah hasil kiye hue hain.
No comments:
Post a Comment