Mobile Phone History Urdu Mobile Phone Information Hindi Mobile Ki Malomat

  Lal Gulab      

 Mobile Phone History Urdu - Mobile Information In Hindi

Mobile Phone Ki Tarikh: America ki AT&T company ne 1947 mein pehli baar commercial bunyadon par aisay mobile phone set mutarif karwaye, jin ke zariye highways par safar karne wale calling ki sahoolat se faida utha sakte thay. Is company ka aghaz 1946 mein hua aur phir America ki 100 cities mein mobile service ka aghaz hua. Us waqt sarfeen ki total tadad 5000 thi, jabkeh har haftay 30,000 calls milai jati thien. Ye calls aik operaator milaya karta tha aur mobile phone ke hamil shakhs ko baat karne aur baat sunnay ke liye phone par nisb aik khass batan dabana hota tha.

Un dinon mobile phone system ka wazan 36 kg tak hua karta tha. Ye technology zayada taraqi yafta na thi, is liye is maidan mein sarmaya kari karna aur munafa kamana bare challenges thay. Us zamane mein mobile service chunkay radio system ki marhoon minat thi, jabkeh is hawalay se sirf 3 radio channels dastyab thay, is liye aik waqt mein mukhtalif shehron mein sirf 3 customer aik waqt mein baat kar sakte thay. Mobile phone service bohat mehngi bhi thi. Is service se faida uthane ke liye customs ko 15 dollars mahana ada karna hote thay. Is ke ilawa 0.30 se 0.40 dollar per call ke hisab se adaigi bhi us ke zumay thi.

Mobile Phone Ki Malomat:

Aik private company ne 1960 ke zamanay mein At & T ke muqablay mein RCC yani radio common carrier mutarif karai. Ye technology At & T ki  IMTS technology ke muqablay mein layi gayi thi jo 1980 tak istemal hoti rahi.

1993 mein IGM Simmon ne market mein qadam rakha aur us ne intihai modern mobile mutarif karwaya jis mein calendar, address book, ghari, calculator ki sahulat mojood thi. Us door mein mobile phone ki battery life ko bhi qadre barha diya gaya aur mobile sales ki barhti hoi tadad ne cell phones ke aam use ko shuru karne mein madad ki.

1993 mein Finland mein pehli martaba mobile phone se mobile phone par SMS bheeja gaya. 2G technology ne mobile ko media programs tak bhi rasai di. 1998 mein mobile phones ke andar mukhtalif manpasand ringtone download karne ki sahoolat bhi paish kar di. 2000 mein Finland mein free headlines ki sahoolat bhi faraham kar di gayi thi. Is tarah Finland aur Sweden mein 1998 mein mobile phone ke zariye adaigiyon ka silsila bhi shuru kiya gaya. 1999 mein online banking aur credit card ka silsila shuru kiya gaya aur youn dekhte hi dekhte ye ijad puri dunya ke taqreeban har ghar tak pohanch gayi balkeh khuch mumalik mein taqreeban har insan ke paas is ki sahoolat mojood hai.
logoblog

Thanks for reading Mobile Phone History Urdu Mobile Phone Information Hindi Mobile Ki Malomat

No comments:

Post a Comment