Finland History In Urdu Finland Information In Hindi Finland Ki Tarikh

  Lal Gulab      

Finland History In Urdu Finland Information In Hindi

Tarikh Finland bar-e-azam Europe ke shumal mein waqia hai finland ki abadi 55 lack hai jin mein 2 lack afrad ghair mulki hain is ke janoob mein Khaleef Finland shumal mein Norway mashriq mein Rus aur maghrib mein samandar aur Sweden mojood hain.

Ibtdai Door

Finland mein sub se pehle insan ne 7000 saal qaaf meem mein akhri barfani door (Ice Age) ke baad se rihaesh rakhna shuru kiya. Us door ke Finland ke bashinday shikari aur galah baan thay. Mazay ki baat ye hai keh us door ke shikari barf par chalne ke liye darakhton ki chaal ka istemal karte thay.

1500 Se 1800 Tak Ka Finland

Mojooda finland ka darul hukumat (rajdhani) Helsinki 1550 mein tameer hua jo keh Finland ka naya capital bana. Ye shehar khubsurat hai is ko europe ka sub se kam umar darul hukumat hone ka aizaz hasil hai. 1741 mein Finland ki Rus se jang chhir gyi aur Rus ne Fnland par qabza kar liya lekin Abo agreement  ke teht 1743 mein jang bandi hoi aur qtatus quo yani jo jis haal mein hai har chez ko wese hi chhor diya gaya jese woh jang se pehle thi.

20th Century Ka Finland

6 december 1917 ko parliament ne finland ko azad mumlikat qarar diya usi doran october 1917 mein qadamat pasand hukumat chuni gayi. Azadi ke baad Finland ki zarat mein islahat ki gayien 1941 mein Finland ne Germany se agreement kar ke Russia par hamla kar diya. par 1944 ko Rus se jang bandi ka muahda hua aur is wajah se bara alaqa Rus ke hawale karna parra 1947 mein Finland ne Rus se akhri baar aman agreement kiya.

Mojoda Finland

1991 mein Rus ke zawal ke baad 1947 ka agreement bay asar ho gaya aur usay 1992 ke naye agreement se badal diya gaya is agreement mein donon mulkon ne is baat par ittefaq kiya keh unhain apne tanazat dostana tareeqe se hal karne chahiyain.
logoblog

Thanks for reading Finland History In Urdu Finland Information In Hindi Finland Ki Tarikh

No comments:

Post a Comment