Kashmir Essay In Urdu Kashmir Day Speech Masla e Kashmir Youm-e-Yakjehti

  Lal Gulab      
Kashmir Essay In Urdu: Kashmir Day Par Mazmoon Likhain - Short Paragraph on Kashmir:
Kashmir dunya ka woh bad qismat khita hai jis ko aaj tak azadi naseeb nahin ho saki kashmir beauty hai paradise hai yai aik jannat jesi khubsurat jagah hai. Kaha jata ke kashmir dunya ka qadeem tareen tanaza hai aur ye bhi kaha jata hai ke agar naam nihad muhazab dunya n is tanaza ko hal nahin kiya tou shayed dunya mein pehli baqaida aalmi atomic jang aur dunya ki aik bari tabahi ka sabab kashmir hi banay ga. Kashmiron ki bahadari aur kashmir par bharati tasalat ki wajah se izhar e yakjehti ke tor par Pakistani qaum guzashta kayi dahaiyon se har saal 5 february ko youm e yakjehti kashmir manati hai. Yahan hum rayasat jammu kashmir aur tanaza kashmir ke mazi, haal aur mustaqbil ke hawale se khuch tareekhi haqaiq paish karain gey jo tareekh ke students ke liye intihai aham paragraphs hain.
Kashmir Valley Pakistan - Heaven on Earth - A peaceful place in Pakistani controlled kashmir

Neighboring countries - Parosi Mumalik: 15 August 1947 tak qaim rayasat jammu kashmir ka majmoi raqba 84 zahar 471 muraba meel hai ye jagah dunya ke 3 pahari silsilon par waqia hai (karakoram, himalaya, hindu kush). Is ki sarhadain majmoi tor par 5 mumalik se milti hain.

Rayasat Ke Hisay: Is waqt rayasat jammau kashmir 4 hison mein taqseem hai jo 3 mumalik Pakistan, India aur China ke control mein hai. Pakistan ke paas 28 hazar muraba meel Gilgit Bultistan aur taqreeban 4500 muraba meel azad kashmir, bharat ke paas wadi kashmir, jammu aur kargil, ladakh jabkeh  China ke paas 10 hazar muraba meel aqsaye chin ka alaqa hai. Albata cheen ne khuch alaqa 1963 ki jang mein bharat se cheena jabkeh 1900 muraba meel alaqa Pakistan se 16 march 1963 mein Pakistan China agreement ke teht hasil kiya hai.

Kashmiriyon Ki Bad Qismati Ka Aghaz: Kashmiriyon ki badqismati ka aghaz 16 march 1846 mein agreement amritsar ke sath hi jis ke zariye gulab singh ne angrez se 75 lakh nanak shahi mein jamu kashmir aur hazara ka alaqa khareed kar ghulam banaya jabkeh gilgil bultistan, kargil aur ladakh ke alaqaon par qabza kar ke aik mazboot aur mustehkam rayasat qaim ki, mahraha kashmir ne Musalmanon par zulam ki intiha kar di kyoun ke hukamran tabqa aqliyati tha jabkeh khitay ki 85% abadi Musalmanon ki thi is liye hukamran hamesha Musalmanon se hi khatra mehsoos karte thay. Mahraja ne Musalmanon ko pasmanda rakhne ke liye bari koshishain ki yehi wajah hai ke 1846 ke baad dogra hukamranon ke khilaf 1931 tak koi numayan awaz nahin uthi, Is arsay mein Musalmanon ki nisf darjan se zaid anjmanain ya jamatien ban chuki thien magar dogra ke zulam-o-sitam ki wajah se Musalman sar na utha sakay.

Jadojehad Ka Aghaz: Hum jub rayasat jammu kashmir ka jaiza laite hain tou dogra hukamranon ke dor mein 1924 tak siasi khamoshi nazar aati hai. Ye khamoshi 1924 mein us waqt tooti jub sirinagar mein kaam karne wale resham ke karkhanon ke workers ne apne oper hone wale muzalim ke khilaf awaz uthai aur puri riyasat ne un ki awaz mein awaz milai aur youn puri riyasat mein ahtjaj shuru ho gya, is tehreek ko bhi dogron ne taqat ke zor par khatam karne ki koshish ki, waqti tor par ye tehreek kamzor zaroor hoi magar is ke baad riyasat ke awam mein bedari aayi aur azadi ka jazba tawana hua.

Azad Hakumat Ka Qayam - Independent Govrnment: 24 october 1947 ko Azad Kashmir government ka elaan kiya gya jis ke pehle sadar Ghulam Nabi thay. Taqseem hind ke formula ke mutabiq riyasat jammu kashmir mein 85% Musalman hone ki wajah se riyasat Pakistan ka hisa banti thi magar hukamran kyoun keh dog-ra tha is liye us ki koshish rahi k riyasat ko bharat ka hisa banaya jaye ya is ki khud musktar hesiyat ko bahaal rakha jaye jabkeh Muslims ka mutalba riyasat ko Pakistan ka hisa banana tha magar dogra takheeri harbay istemal karta raha yehi wajah hai ke 24 october 1947 ko Azad Kashmir mein Azad hukumat ke qayam ke sath hi muhajreen ne srinagar ki taraf rukh kiya aur sirinagar tak ke alaqay par qabza kar liya aur mahraja darulhakumat se bhag kar jammu chala gya.

Kashmir Par India Ka Qabza: 26 october 1947 ko mahraja kashmir ne na sirf bharat se fauji madad talab ki balkeh bharat ke sath ilhaq ki darkhawast bhi di aur bharat kyoun ke kashmir par qabza ke moqay ki talash mein tha lihaza 27 october ko bharati fauj kashmir par qabaz hoi, dusri taraf Pakistan ki ghalat hikmat amli ki wajah se mahajreen ko azad kiya hua aik alaqa bhi khali karna para aur majbooran paspai ikhtiyar karna parri, bharat kashmir mein is waday ke sath dakhil hua tha ke aman ke qayam ke baad kashmir se wapas chala jaye ga magar aaj tak bharat ki wapsi nahin hoi.

Gilgil Bultistan Ki Azadi: Dusri taraf jib srinagar mein bharti qabza hua aur azad kashmir mein azad hukumat qaim hoi tou 1 nivember 1947 ko gilgil mein bhi baghawat hoi. Dogra governor ghansar singh ko giraftar kar ke Islami Jamhuria Gilgit ki bunyad rakhi gyi jabkeh baltistan aur degar alaqon mein 1948 atk jang jari rahi. 16 november 1947 ko Pakistan ne us par apna control hasil kiya angrez ke janay ke baad kashmiriyon ko dogra se azadi tou mili magar riyasat jammu kashmir ka aik barra hisa bharti ghulami mein chala gya jub se ab tak masla kashmir puri dunya ke liye tabahi ka sabab banta ja raha hai.

Tanaza Kashmir UNO Mein: 1 january 1948 ko bharat aqwam-e-mutehda mein khud gya jis par 17 january 1948 ko aqwam-e-mutehda ne aik qarardad manzor ki aur 20 january ko Pakistan bharat commission qaim kiya jis ki sifarishat ki roshni mein 5 august 1948 aur 1 januaray 1949 ki aqwam-e-mutehda ki qarardadonke mutabiq 84 hazar 471 muraba meel par pheeli hoi puri riyasat jammu kashmir mutnaza hai is mein woh tamam hisay shamil hain jo Pakistan, China aur India ke paas hain. United Nation ne 17 april 1948, 13 august 1948, 5 january 1949 aur 23 december 1952 ko kashmir ko istaswab-e-raye ka haq dene ki qarardadain paas ki hain. aqwam-e-mutehda ki qarardadon ke mutabiq kashmir ki kismat ka faisla aqwam-e-mutehda ki nagrani mein istaswab-e-raye se kiya jaye ga magar bharat ne almi aur muqami tor par hone wale agreements se mukarnay ka rasta apnaya. 1948 se 1957 tak Russia UNO mein ghair janibdar raha magar baad mein 20 february 1957 aur 22 june 1962 ko kashmir ke hawale se aqwam-e-mutehda ki qaradaron ko veto aur bharat ki hamayat karta raha.

indian occupied kashmir - where kashmir want freedom from india
Speech on Youm e Yakjehti Kashmir Day In Pakistan:
Tanaza Kashmir Aur Pakistan India War: Dunya bhar khas kar Pakistan ke Muslims 5 february ko youm e yakjehti kashmir manatay hain aur Kashmir ki azadi ke liye apni ikhlaqi madad ke azam ka izhar karte hain. Pakistan mein is roz aam tateel yani public holiday hoti hai aur is silsile ka aghaz 1990 mein jamat-e-Islami ki appeal se hua, us waqt Pakistan mein benazir bhutto ki hukumat thi tab se ab tak ye silsila jari hai. Kashmiriyon se izhar-e-yakjehti ka din tareekh mein pehli baar 14 august 1931 ko puray bar-e-sagheer mein manaya gya. Is ke ilawa kashmir 13 july ko 1931 ke shohda aur 6 november ko 1947 ke shohda ki yaad mein yom-e-shoshda, 24 october ko 1947 mein azad kashmir hukumat ke qayam ki yaad mein youm-e-azadi, 27 october ko 1947 ke bharti tasalat, 27 july ko 1949 mein kashmiriyon ko taqseem karne wali LOC ke khilaf aur har saal 26 january ko bharti youm-e-jamhuria ke moqa par youm-e-siya manate hain.
logoblog

Thanks for reading Kashmir Essay In Urdu Kashmir Day Speech Masla e Kashmir Youm-e-Yakjehti

No comments:

Post a Comment