Kargil History In Urdu Kargil War Reality Kargil Jang 1999 Ladai Information

  Lal Gulab      

Kargil History In Urdu Kargil War Information In Hindi


Kargil jang control line par hone wali ek mahdood jang thi jo pakistan aur hindustan ke darmiyan 1999 main lari gai. Is jang main wazia kamyabi kisi mulk ko na mil saki.

Geography Of Kargil District

Ladakh aur Srinagar ka wahid zameeni rasta yahan se guzarta hai. Siachen par majood bharti fooj ki kamak o rasad ke liye kargil ka rasta hi behtar rasta hai. Kargil se siachen tak ka rasta saal se 10 months tak baraf ki qaid mein rahta hai aur sirf 2 months ke liye ye shahrah siachen ke baraf posh paharon tak pohanchne ke liye istamal ki jati hai. Bharat ko inhi mahinon main foji check posts aur foji units mein kaam karne wale bharti lashkar ki khorak aur degar zaruriyat ko siachen ki chotiyon tak lay jane ka task pura karna hota hai. Kisi zamane main pahariyan aur siachen Pakistani milkiyat the jahan bad azan bharti forces ne kabza jama lia tha.

Kargil Ki Haqeeqat - Kargil War Reality

Wajpai Ka Bayan: Ek bar is waqt ke bharti wazir azam wajpai pakistan dore par ae aur lahore main inhon ne pakistani wazir azam nawaz sharif se gila kia ke ham apki maizbani se mustafid horahe hain magar apki foj ne kargil par kabza karlia hai. Wazir azam ki sadarat main 27 may 1998 ko pakistan main hangami difai ijlas munakid hua jis main behri, bari aur fizai afwaj ke sarbarhan shamil the. Bari aur fizai sarbarhan ne nawaz sharif ko bataya ke hamain is maham joi ki bhanak tak maloom hai.

Nawaz Sharif Ka Bayan

Us waqt ke Pakistani wazir-e-azam aur muslim league (N) ke qaid Mian Nawaz Sharif ne kaha ke kargil jang ke zimedar Parvez Musharaf the, siyasi khila hamesha amriyat ke dor main paid hota hai. Bharti magzine tahilka ko interview main inhon ne kaha ke parvez musharaf kargil jang ke zimedar the. Jab in se bharat ke qoumi salamati ke musheer M K narain ke is bayan ke bare main pucha gaya jis main inhon ne kaha tha ke parvez musharaf ke istifa ke bad pakistan main siyasi khila paida hojaega to is ke jawab main nawaz sharif ne kaha ke siyasi khila hamesha amriyat ke dor main paida hota hai. Pak bharat mazakirat ke hawale se inhon ne kaha ke dono parosi mumalik ke darmiyan aman amal jari rahna chahye, inhon ne bharat par zor dia ke wo masla kashmir ko hal kare aur hal aisa hona chahye jise khite ke awam kabool karain.

Bharti General Ka Aitraf

Bharti foj ke sabik general kashpal ne aitaraf kia ke kargil jang haqiqat main bharat ne nahin jeeti. Nai delhi main bharti tv ko diye gae interview main kargil jang main formation commander laftinate general retired kashpal ka kahna tha ke 1999 main kargil jang main 527 fojiyon ki janain zaya hui aur bharat ne ilaka wapis hasil karlia tha. Inhon ne kaha "mere khayal main jang main itni janain zaya hone ko kamyab nahin kaha jasakta." kashpal ne kaha ke jang main bharat na sirf maidan jang main balke sifarti muhaz par bhi nakam raha.

Bharti Fauji Tribunal Ka Kargil Jang Ki Tarikh Dobara Likhne Ka Hukam

Bharat main ek foji trabonal ne hukum dia hai ke 2009 main wakoh pazir hone wali kargil jang ki tarikh dubara likhi jae. Foji trabonal ne ye hukum is inkishaf ke bad dia ke kargil jang main batalaik center main tainat brigadiar dewendar singh ki jang ki reports ko general kashpal ne tabdeel kardia tha jis ke ye report foji tarikh ka hisa bangai. Bharti tv channal se guftugu karte hue bragadiar dewendar singh ne kaha ke kargil par inki report ko inke senior afsiran ne gair haqiqi karar dekar is main tabdiliyan ki thin. Taham gayara sal bad foji trabonal ne inki asal report ki himayat ki.

Parvez Musharaf Ka Mutnaza Kardar

Sabiq Pakistani general o sadar Parvez Musharaf ka kirdar kargil jang ke hawale se mutanaza raha hai. Parvez Musharaf ne bharat ke ek television channal ko diye gae interview main kaha ke kargil ko ek bari kamyabi karar daite hue kaha ke is jang ke sabab hi kashmir ke masle par bharat pakistan se mazakirat ke liye razamand hua tha. Inhon ne ye bhi dawa kia ke iski waja se new delhi ke rawaiye main tabdeeli ai thi aur wo mazakirat ke zariye kashmir ke tanaze ke hal ke liye tayar hua tha. Bharti foj ke sabik sarbarah v p malik ne kaha ke pakistan ke sabik sadar parvez musharaf ne kargil jang ke bare main jhoot bola. Inhon ne kaha ke kargil jang ke bare main parvez musharaf ne musalsal bayanat tabdeel kiye. Inhon ne kaha ke pehle musharaf ne kaha the ke kargil main foj ke bajae mujahideen lar rahe hain iske bad musharaf ne tasleem kia ke kargil jang foj ne lari. Kargil ke zariye kashmir ke masle ko almi satah par dubara ujagar karne ke parvez musharaf ke bayan par tabsara karte hue inhon ne kaha ke kargil main pakistani fojiyon ki halakaton ko pakistan ne tasleem nahin kia aur inki lashain wasool karne se inkar kardia.

Kargil Jung Mein Israel Ka Kardar

10 February 2008 ko new delhi main israil ke safeer mark sofar ne ek chonka daine wala inkishaf karte hue bataya ke in ke mulk ne 1999 main pakistan ke sath kargil ki jang ka rukh badalne main bharat ki madad ki thi. Kashmir media service ke mutabik ek hafta roza "I T lak" ko interview main israili safer ne bataya ke kis tarah kargil ke bad dono mulkon ke difai talukat ko firog hasil hua jab israil ne ek nazuk marhale par zameemi surat hal badalne main bharat ko bachaya.
logoblog

Thanks for reading Kargil History In Urdu Kargil War Reality Kargil Jang 1999 Ladai Information

No comments:

Post a Comment