Urdu Funny Dialogue Between Patient And Doctor 1
Mareez Aur Tabeeb
Marez: Aslam o alaikum! Hakem sahab.
Tabeb: Walekum aslam! Tashref rakhiye.
Marez: Hakeem sahab! Tashref rakhna hi to mushkil hai.
Tabeb: Kyu bhai aisi kya taklef hogai hai.
Marez: Taklef hi taklef hai raat bhar pareshan raha hun ghari bhar so nahin saka.
Tabeb: Takleef to bhai taklif hi hai sehat theek na ho to chain nahin ata.
Marez: Khuch dawa bhi dijiye mara ja raha hun.
Tabeb: Bemari batao to dawa dun main aap ko.
Marez: Hakem sahab! pait mein sakhat dard hai bethe chain ata hai na laite.
Tabeb: Ye dard aap ko kab se hai aur is ke liye khud se tou koi dawa nahin li?
Marez: Aaj rat se dard mehsoos kar raha hon main aur maine koi dawa abhi tak is pait dard ke liye istemal nahin ki.
Tabeb: Raat ko aap ne kya khaya tha jis ki wajah se aap ko pait dard hai?
Marez: Maine taqreeban bohat kam khaya tha bas aik roti ka tukra khaya tha.
Tabeb: Kya aap ne pehle kabhi roti nahin khai? Rat ki roti mein kya khas baat thi?
Marez: Raat ki roti mein khas bat ye thi ke wo jali hui thi.
Tabeb: Aray! Tum jali hui roti kha gae?
Marez: Sirf ek tukra khaya tha bhook kafi lagi hoi thi.
Tabeb: oho! Kya ap ki nazar kamzor hai lait jao tumhari ankhon mein daru dalta hun.
Marez: Nazar thek hai pait mein kuch daliye ta ke dard se jaan bache.
Tabeb: Wada karo ke aenda jali hui roti nahin khao ge.
Marez: So baar wada karta hun, Hae mera pait! ( tabiyat mashil ki ek goli marez ko khilata hai)
Marez: Hakem sahab! shukriya dard kum horaha hai mein jata hun.
Tabeb: O bhai tehro! Dawa ki qeemat to dete jao.
Mareez: Dawa ki qeemat dard se aram hi to hai.
Tabeb: Dawa ki qeemat daam bhi hain, jin se dawaen kharedi jati hen.
Marez: (Dawa ki qeemat ada karke) Asslam o alaikum! Hakem sahab.
Tabeb: Walekum Salam Roti khane se pehle dekh liya karo ke jali hui to nahin. (marez shukria ada karta hua chala jata hai).
Conversation Between Doctor And Patient In Urdu 2
Naeem: Hello doctor
Doctor: Aap kese hain naeem?
Naeem: Mujhe dil ki taklef hai.
Doctor: Meherbani kar ke apna coat utar dain main pehle apka dil aur phepre check karunga.
Naeem: Bilkul thek hai janab.
Doctor: Ap ke phepre to bilkul thek hen, lekin dil mein kuch kamzori hai. Kya ap zayada ghee mein tali hoi cheezain istemal kartay hain?
Naeem: Je han janab kya mere dil par is bat ka asar hua hai?
Doctor: Mera khayal hai ke aap ko ghee mein tali hoi cheezon se parhaiz karna chahiye aur light exercise karain aur sakhat warzish se parhez karen.
Naeem: Mujhe pehle hi warzish karne ki adat nhn hai.
Doctor: Tab tou aap ko subah sawere sair ko jana chahye aur sham ke khane ke baad bhi chehal qadmi karni chahiye ye raha aap ka nuskha.
Naeem: Nuskha lete hue buhat shukria docter sahab ye rahi aap ki fees.
Doctor: Shukriya janab mein umed karta hun ke ap meri hidayat par jaldi behtar hone ke liye amal karenge.
Naeem: Yaqeenan main zarur karunga janab.
Please tell me which theme you are using.
ReplyDeleteYe theme maine khud design ki hai
Delete