Qayamat Ki Peshgoiyan Ghalat Sabit Dunya Ki Peshgoi 17 December 1919

  Lal Gulab      
Dunya Ke Khatam Hone Ki Peshgoi Ghalat Sabit: Professor Albert 1853 mein italy mein paida hua woh 1903 mein apni biwi angelina aur bachon ke sath amreeca muntaqil ho gaya jahan us ne san fransisco mein apna aik ghar banaya. Un dinon professor Albert ke bare mein amreeca samait dunya ke mukhtalif akhbarat mein khabrain bhi chapa karti thien yehi wajah hai keh akhbar parhne wale amreeci ye jantay thay keh Professor Albert aik mahir mausmiyat hai. 17 august 1919 ko bhi aik amreeci akhbar mein Professor Albert ki aik tehqeeq chapi gayi jis ke mutabiq dunya 17 december 1919 ko khatam ho rahi thi. Dunya ke khatamay ki khabar parh kar amreeci ghabra gaye. Jis din akhbar mein dunya ke khatmay ki khabar chapi thi us din itwar ka din tha. Ye khabar aag ki tarah pehle puray amreeca mein pheeli us ke baad puri dunya tak ja pohanchi.

Khabar ke mutabiq Professor Albert ka kehna tha keh us ne hisab lagaya hai keh 17 december 1919 ko 6 saiyaron ki wajah se suraj dhamakay se phat jaye ga aur us mein aik bara sorakh ho jaye ga jis ki wajah se puri zameen par dunya ki tareekh ke sub se bare zalzalay ayain ge atish fishan pahar phat parain ge aur un se nikalnay wala lava zameen par tabahi macha de ga. Professor Albert ka ye bhi kehna tha keh us ne jo hisab lagaya hai us ke hisab ke mutabiq bare tufani baqoolay bhi zameen par tabahi machayain ge aur zameen ke har konay mein aise tufan uthain ge jo zameen par har chez ka khatma kar dain ge.

Yani asaan alfaz mein ye keh Professor Albert ne dunya walon ko ye bataya tha keh un ke paas sirf 123 din hain jo karna hai kar lain us ke baad na woh rahain ge aur na hi saiyara zameen.

Is peshgoi ke baad amreeca mein shadeed khauf ki fiza thi Professor Albert ne kayi logon ki zindagiyan dao par laga dien thien kyun keh amreeca mein rehnay wale kayi log 17 december 1919 ka din anay se pehle hi khudkushi karne ka soch rahe thay. Woh log jo Professor Albert ki peshgoi ko sach samajh baithay thay un mein se kuch logon ne tou 17 december 1919 ka din anay se pehle hi qayamat anay se pehle hi khudkushi kar li.

Amreeci riyasat New York ke shehar Saratoga Springs mein rehnay wala aik shakhs jis ka naam Samuel tha us ki 54 sala biwi bhi un logon mein shamil thi jinhon ne dunya khatam hone ke dar se khudkushi kar li thi.

16 December 1919

Woh 16 december 1919 ki aik sham thi jo keh tezi se dhalti ja rahi thi aur 17 december 1919 ka aghaz hone mein bas kuch hi ghantay baqi thay. Professor Albert ki peshgoi ke mutabiq 17 december 1919 wohi din tha jis din qayamat anay wali thi. Amreeci riyasat Oklahoma ki kanon mein kaam karne walon ne kanon mein janay se inkar kar diya tha kyun keh woh bhi Professor Albert ki peshgoi par yaqeen kar baithay thay aur nahin chahte thay keh qayamat anay par woh un kanon mein zinda dafan ho jayain.

Amreeci riyasat Ohio mein rehnay wala aik kisan apne kheet chhor kar 60 meel door Ohio ke hi aik shehar Cleveland ki taraf chal nikla tha. Jahan woh jheel erie ke kinaron par khara ho kar dunya ko khatam hota hua dekhna chahta tha. Is ke liye us ne us zamanay mein 15 dollar ki intihai mehngi ticket khareedi thi. Jahan Professor Albert ki peshgoi se log khauf zada thay wahin kuch log aise bhi thay jo is peshgoi se paisa bananay mein lage hue thay. Unhi logon ne jheel erie ke kinaron par aik makhsoos jagah par suraj ko tabah hotay hue dekhne ke liye khas ahtmam kiya tha. Aur jo koi wahan akar suraj aur dunya ko tabah hotay hue dekhna chahta tha un ke liye ticket ka rate 15 dollar rakha gaya tha. Itni mehngi ticket honay ke bawajood bhi bohat bari tadad mein logon ne ticketain khareed rakhi thien kyun keh woh akelay nahin aik sath marna aur dunya ko khatam hotay hue dekhna chahtay thay.

Canada

Canada ke subay British Columbia ke aik jazeeray Vancouver Island mein bhi log Professor Albert ki peshgoi ko sach samajh baithay thay. Un logon ne is dunya ko shandar tarikay se alwida kehnay ke liye sharab ki mehfilon ka ahtmam kar rakha tha. Aisa hi kuch amreeci riyasat Wisconsin mein tha jahan log maut ke khauf ko door karne ke liye sharab pee kar raqs karte rahe.

London

London mein bhi Professor Albert ki dunya ke khatmay ki peshgoi ne logon ki needain ura rakhi thien. London mein rehnay wali adhi se zayada abadi sari raat jagti rahi aur hazaron gharon mein adhi raat tak ye duain mangi jati rahien keh kisi tarah ye dunya tabah hone se bach jaye aur qayamat na aye.

17 December 1919

17 december 1919 ka suraj samandar se nikalta hua dikhai de raha tha. Professor Albert ki calculation ke mutabiq ab kisi bhi lamhe suraj dhamakay se phatnay wala tha aur us mein aik bara sorakh honay wala tha jis ke baad zameen shadeed tufanon, zalzalon aur atish fishan paharon ke phatnay se tabah honay wali thi yani qayamat anay wali thi.

Subah se dopehar aur dopehar se sham hoi aur aglay kuch lamhon mein 17 december 1919 ka suraj bhi dhal gaya. Professor Albert ki dunya ke khatmay ki peshgoi ghalat sabit ho chuki thi kyun keh na suraj dhamakay se phata aur na hi dunya ka khatma hua.

Woh log jo 15 dollar ki ticket khareed kar jheel erie ke kinaray suraj ko tabah hotay aur dunya ko khatam hotay hue dekhne ke liye jama hue thay unhain apni raqam zaya hone se zayada is baat ki khushi thi keh woh zinda bach gaye hain aur dunya chal rahi hai.

Dunya ke khatmay ki peshgoi ke ghalat sabit hone ke baad Professor Albert ne mahir mausmiyat ki hesiyat se apni sakh kho di aur logon ka us par se aitbar khatam ho gaya. 17 december 1919 ke baad Professor Albert ne apni sari zindagi aik akhbar ke liye kaam karte hue guzaar di.

Dunya ke khatmay ki tareekh dene wala professor Albert khud tou 1923 mein 70 saal ki umar mein is dunya se chal basa. Lekin us ke is dunya se janay ke 96 saal baad aaj bhi ye dunya us ke bina hi chal rahi hai na saiyaron ki wajah se suraj benoor hua na chand asmanon se ghaib hua aur na hi ye zameen insanon se khali hoi.

Is video mein batai gayi peshgoiyon ke ke mutabiq jis din dunya khatam honi thi woh din guzar chukay hain, dunya ke khatmay ki peshgoiyan karne wale kayi log bhi guzar chukay hain lekin ye dunya aaj bhi chal rahi hai, samandar ki lehrain aaj bhi sahil tak akar zindagi ka ehsas dilati hain, parinde aaj bhi hawaon mein ur rahe hain, janwar aaj bhi jangalon ki ronaq bane hue hain, suraj aaj bhi apne waqt ke mutabiq nikalta hai, chand aur sitare aaj bhi raton ka husn bane hue hain, 8 arab ke qareeb log aaj bhi isi saiyare par apni zindagi jee rahe hain. Ye is baat ka saboot hai keh ye kainaat us din lapaiti jaye gi jub Allah ki marzi ho gi in najoomiyon, sazishi nazriya sazon aur science danon ki pesh goiyon se ye dunya khatam nahin hone wali.

Qayamat ke anay se pehle bohat hi nishaniyan zahir hon gi. Islam mein qayamat ki nishaniyon se murad woh waqiat hain jo qayamat se pehle pesh aa chukay hain ya pesh anay wale hain yani ye woh nishaniyan hain jin ke zahir hone ke baad hi qayamat aye gi. Qayamat ke anay se pehle kon kon si nishaniyan zahir hon gi jin se ye zahir ho jaye ga keh qayamat anay wali hai un qayamat ki nishaniyon par aik mukamal article publish kiya jaye ga.
logoblog

Thanks for reading Qayamat Ki Peshgoiyan Ghalat Sabit Dunya Ki Peshgoi 17 December 1919

No comments:

Post a Comment