Cat Essay In Urdu Billi Cat Essay In Hindi Billi Par Nibandh Mazmoon Short Note

  Lal Gulab      

Cat Essay In Urdu Billi Par Mazmoon Nibandh Cat Hindi Essay Billi Short Note

Billi: Naram o nazuk nazar anay wali biliyan aik behtareen paltu janwar hain. Billi se aap jitna pyar karain gey ye aap se bhi utna hi pyar kare gi, aap jub bhi ghar ayain gey ye aap ki muntazir ho gi, aap se khoob pyar lay gi aur kheelay gi. Biliyon ko pasand kiye jane ki aik bari wajah un ki khud ko saaf rakhne ki adat bhi hai. Ye rozana apni zuban se apne panjon aur jism ke mukhtalif hison ko saaf karti hain.

Shakal o surat se bhooli bhali nazar anay wali billiyon ka taluq darasal dunya ke behtareen shikari janwaron se hai. Sheer aur cheeta ki tarah ghareelu billiyan bhi shikar ka peecha karti hain, us se kheelti hain magar unhain marne ke baad khati nahin hain. Ghar mein koi chooha ya keera nazar anay ki dair hai keh billi foran us par lapkay gi.

Hamare haan persian cat, turkish aur russian billi gharon mein pali jati hain magar lambe balon, bare aur numayan chehre ki wajah se persian billi zayada maqbool hai.  Russian aur sayaami ki qeemat 1500 se 4000 tak aur persian ki qeemat 5000 se 12000 rupees tak hai jabkeh fancy qisam ki billiyon ki qeemat 20000 se zaid hai.

Aik billi ki khorak par anay wala mahana kharcha 800 se 1300 tak hai. Ghareelu billiyon ko doodh aur gosht aur doodh zayada maqdar mein nahin dena chahiye, khas tor par persian billi ko kyoun keh alergy ya un ke baal girne ka khadsha rehta hai. Gosht rozana ke bajaye haftay mein chand aik baar woh bhi chote gosht ka aur ubla hua hona chahiye. Kutton aur billiyon ko ubla hua gosht dene ki wajah unhain katnay ki adat se bachana hai. Kutton ki tarah billiyon se bhi rozana mukhtalif kheel kheelnay se unhain training di jati hai unhain apne paas bithaya jata hai aur khuch log un ke chehre aur gardan par bhi bohat pyar karte hain is tarah billi active aur tawana rehti hai.
 
Bacho aap students ko hamare ye billi par mazmoon kesa laga? ye kisi bhi class ke bachon ke liye istemal kiya ja sakta hai jin mein 1,2,3,4,5,6,7,8,9 aur 10 class ke students shamil hain agar aap ko cat par essay aur chahiye tou ye lain hum aap ke liye aik aur cat par paragraph urdu mein likha hua de rahay hain agar is ke ilawa bhi aur article is par chahiye tou bacho aap hamari team ko comment kar ke batao.

2nd Essay On Cat In Urdu

logoblog

Thanks for reading Cat Essay In Urdu Billi Cat Essay In Hindi Billi Par Nibandh Mazmoon Short Note

No comments:

Post a Comment