Sabudana Benefits In Urdu Sabudana Ke Faide In Urdu Sabudana In Pregnancy In Hindi For Babies

  Lal Gulab      

Urdu Sabudana Ke Fayde In Hindi Sabudana In Pregnancy And For Babies Height Sago Beans

Sabudana Benefits In Urdu Sabudana Ke Faide In Hindi: Sago Rakhe Sehat Mand Gharana: Sabudana se hum sub hi waqif hain har ghar mein istemal hone wala sagudana ya sagodana apne andar bohat fayde samoye hue hai. Ye safed aur gol chote chote motiyon jese dane hote hain jinhain baaz log sabudana bhi kehte hain. Sago dana bohat halki ghaza hai amooman logon mein isay pait ki kharabi, bimari ya bachon ki khorak ke hawalay se jana jata hai albata bachon aur bimar afrad aur bazurgon ke ilawa isay sehat mand log bhi istemal kar saktay hain ye nihayat sasta aur asan tareeqa hai jis ke zariye aap apni tawanai bahal kar ke sehat mand zindagi ki taraf barh saktay hain ye bohat halki aur zood hazam diet hai. Is article pura parhiye kyoun ke isay parhne ke baad aap ko woh information hasil ho jaye gi jo aap ke aur aap ke bachon ke liye bohat kaam aye gi kyoun keh is aham diet mein agey chal kar aap ko batayain ge keh kis tarah folic acid intihai zaroori hai.

Sabudana Ka Isteaml How To Use Sabudana In Urdu

  • Sabudana kheer, puding soup cake khichdi aur is ke ilawa kisi bhi chez ko garha karne ke liye istemal kiya jata hai.
  • Khali doodh ya pani mein paka kar bhi istemal kiya ja sakta hai aur garha hone par hasb zaroorat cheeni mila kar istemal kiya ja sakta hai.
  • Jo bache isay khana pasand na karain tou aap un ke liye sabodana ko doodh mein paka kar phir chan kar unhain woh doodh pila sakti hain.
  • Isay aloo mein mila kar is ke mazeed cutlets bhi banaye ja sakte hain is ki kheer mein balai, khoya, pista, badam mila kar mitti ke payalon mein jama kar khayain chahain tou arq gulab ya ruh kewra shamil kar lain.

Sabudana Ke Fawaid In Hindi

Sagodana mein chupay hain health ke woh benefits jo aap ke liye mufeed sabit hote hain.

1: Pathon Ki Afzaish Mein Madad

Isay aap apni rozmara ki ghaza mein shamil kar sakte hain sabudana aap ko aik sehatmand protein faraham karta hai is ke istemal se pathon ki mazbooti hoti hai.

2: Hadiyon Ki Nash o Numa Ko Behtar Banata Hai

Is mein mojood calcium iron aur fiber hadiyon ki sehat aur lachak ko behtar banane mein bohat aham kardar ada karte hain is ka istemal aap ko puray din mein hone wali thakawat se nijat dila sakta hai is ke ilawa isay bachon ki ibtidai ghazaon mein shamil kiya jata hai takeh un ki bones mein jaan aye aur qad barhay.

3: Sabudana For Blood Pressure Control Rakhne Mein Muawan

Is ka aik aur mazedar faida ye hai keh blood pressure ke mareez sagudana khayain tou woh asani se apne blood pressure ke maslay par qabu pa sakte hain is mein potassium khoon ki gardish ko behtar bana kar aap ke dil ko sahi tarah kaam karne mein muawan hota hai.

4: Tawanai Ke Farogh Ke Liye

Kasrat ya degar jismani sargarmiyon mein zayada dair tak mashghool rehne se jism ki tawanai kam hone lagti hai aur thakawat mehsoos hoti hai aisay mein agar apne khanay mein sabudana shamil kar liya jaye tou is se aap ki tawanai fori bahal ho jaye gi nashtay mein bhi is ka istemal acha hai sabudana ka nashta kar ke aap pura din fresh rehtay hain.

5: Sabudana For Weight Gain Ke Khawahish Mand Afrad Ke Liye

Agar aap wazan barhanay ke khawahish mand hain tou aap sabudana istemal karain hamare haam aam tor par mothers apne bachon ke patlay hone ki wajah se preshan nazar ati hain sabudana khilane se bache ka wazan bhi barhay ga aur ye suppliments se zayada behtar hai.

6: Paidaeshi Naqais Ko Rokta Hai - Eating Sabudana In Pregnancy Is Good

Sabudana mein folic acid aur vatimin b complex hota hai jo aam paidaeshi naqais ke khilaf hifazat karta hai aur is se bache ki munasib nash o numa hoti hai is liye isay pregnancy mein khawateen ko bhi zaroor khana chahiye.

7: Amal Inhzaam Ko Behtar Banata Hai

Ye aap ke inhzaam ko behtar banata hai is se meday ke aam masail jesay qabz, bad hazmi aur gas waghera ke sath sath chelesterol level behtar banane mein behtar hai white sagudana jism ki charbi bhi kam karta hai.

8: Qad Mein Izafa Ka Sabab Good For Height

Agar aap barhne wale bachon ko sagudana khilayain tou is ke baqaida istemal se aap ke bachon ke qad mein izafa ho sakta hai bachon ke liye ye bari zaroori ghaza hai aur behtareen hai.
logoblog

Thanks for reading Sabudana Benefits In Urdu Sabudana Ke Faide In Urdu Sabudana In Pregnancy In Hindi For Babies

No comments:

Post a Comment