Horse Essay In Urdu Horse Paragraph Hindi Essay Horse Speech Ghoray Par Mazmoon

  Lal Gulab      

Horse Essay In Urdu Paragraph on Horse Speech In Urdu Horse Essay In Hindi Horse Par Nibandh

Ghora Par Mazmoon: Ghode ka shumar bare mamalia janwaron mein hota hai aur ye apni raftar aur taqat ki wajah se jana jata hai. Ghora bohat lambe faslay bohat asani se tay kar laita hai aur kam khorak par bhi guzara kar laita hai. Ghoray ne insanon ki tareekh mein bara qeemti kardar mibhaya hai aur insanon ne isay apne safar apni jangon aur kheelon waghera ke mamlat mein is ka istemal kiya hai aur aaj bhi kar raha hai. Ghoray dunya ke har alaqay mein paye jatay hain aur aik andazay ke  mutabiq is waqt dunya mein 60 million ke qareeb ghode hain.

Aik ghoray ka wazan 400 se 500 kilo ke darmyan hota hai ghoray ki khaal par chotay chotay baal jabkeh is ki gardan par lambay baal hote hain aur is ki dum par bhi baal hote hain ye safaid rang mein bhi paya jata hai jo bohat khubsurat lagta hai. Ghora apni ankhon se pechay ki taraf bhi dekh sakta hai is ka jabra bohat mazboot hota hai aur dant tez aur nar ghori ke 40 dant hote hain. Is ki lambi tangain is ko tez bhagne mein madad detay hain. Aaj dunya mein ghoron ki 100 iqsam payi jati hain ye janwar aaj se 4 million saal pehle wajood mein aya.

Insan Aur Ghoray

Dunya mein ghode insani saqafat aur kaam kaaj mein apna kardar ada karte hain. Ghoron ko melon, kheelon mein istemal kiya jata hai ghoray istemal karne ke liye insan aur ghore ke darmiyan kisi qisam ka rabta bohat zaroori hai ghoray ke munh mein lagam dali jati hai jis ki madad se ghore ko apni marzi se chalaya ja sakta hai.

Kheel

Tareekhi aitbar se inhon ne doron aur degar kheelon se apni salahiyatain nikhari hain. Kheelon se majma ko khush karne aur ghoray ko jang mein bhi istemal kiya jata hai zayadaya tar kartab jo ghore karte hain darasal un ki ibtida jangi adwar se hoi thi.

Kaam

Aaj bhi kayi kaam asie hain jo yehi behtar tor par kar sakte hain maslan police ghore par sawar majma ko qabu rakhne aur degar kamon ke liye apni munfarid hesiyat rakhti hai. Maweshi palne wale bhi apne janwar ikatha karne ke liye ghoron ka istemal karte hain kyoun ke zayada tar maweshi door daraz aur intihai mushkil alaqon mein hote hain jahan koi aur sawari nahin ja sakti. Is ke ilawa hasas zameeni alaqon mein jahan mahool ko kharab hone se bachane ke liye gariyan nahin chalai ja saktien ghoray hi wahid hal ban kar samne atay hain. Bohat se kamon ke liye machinon ka istemal kiya jata hai par aah bhi 10 crore ghoray dunya mein pasmanda aur taraqi pazeer mulkon mein zarai aur naqal o hamal ke liye istemal hote hain.

Masnu'at

Insan ghron se bani bohat sari masnooat ko shuru se hi istemal kartay aye hain ye masnuat zinda ghoron aur unhain halak kar ke bhi hasil ki jati hain. Zinda ghoron se hasil shuda masnuat mein ddodh aham hai. Ghode ka gosht insani aur hewani khorak ke liye istemal kiya jata hai is ki khal se tayar hone wale jote, dastanay, jackets, baseball ki gaindain shamil hain.
logoblog

Thanks for reading Horse Essay In Urdu Horse Paragraph Hindi Essay Horse Speech Ghoray Par Mazmoon

No comments:

Post a Comment