Agriculture Urdu Essay Importance Of Agriculture In Pakistan In Urdu Note Agriculture Speech

  Lal Gulab      

Agriculture Essay In Urdu Agriculture Importance In Pakistan Agriculture Ki Ahmiyat (Zarat)

Zarat What Is Agriculture Kya Hai? Taruf / Zarat Ki Tareef: Zarat jis ka mueshat mein bohat bara kardar hai woh shoba hai jis ka taluq zameen se paidawar hasil karne se hai maslan kapas aur gandum ki paidawar.

Zarai Shoba Mulki Sanaton Ki Bunyad

Zarai taraqi ke baghair mulk mein sanatain lagana bohat mushkil hai kyoun keh in ke liye khan maal yehi shoba faraham karta hai jis qadar zayada se zayada kham maal faraham hota rehta hai usi qadar sanati taraqi hoti rehti hai is ke baraks agar sanati taraqi ruk jaye aur kham maal faraham na ho tou sanati shoba bhi zawal ka shikar ho sakta hai.

Rozgar Ki Farahmi

Pakistan bunyadi tor par aik zarai mulk hai jis ki 50% abadi dihaton mein rehti hai aur is abadi ka tamam tar inhsaar zaraat par hai goya zarat Pakistan ki 50% abadi ke liye rozgar faraham karti hai. Lihaza jis qadar Pakistan mein zarai taraqi ho gi usi qadar rozgar ke mawaqa faraham hote hayain ge.

Zare Mubadla Ka Zariya

Zarai shoba zare mubadla hasil karne ka behtareen zariya hai Pakistan naqad aur faslon se kaseer zare mubadla kamata hai jis se hamari muashi halat behtar hoti jati hai aur beroni tijarat mein sahulatien paida hoti hain is liye jitna zarat ko behtar banane par tawaja dain ge utna humain behtar andaz mein zar e mubadla hasil ho ga. aur Pakistan ki muashi halat bhi behtar hoti jaye gi aur nayi tijarati mandiyon mein bhi zayada se zayada moqa hasil hon ge.

Khud Kafalat Ka Zariya

Zarai shoba mulki abadi ki khorak mohaiya karta hai aur yehi Pakistan ki abadi ke rozgar ka sub se bara zariya hai aur Pakistan ki zarai hikmat amli mein khud kafalat ke asoolon ko markazi hesiyat hasil hai is liye Pakistan ki ye koshish hai keh jald az jald khorak ke mamlay mein khud kafeel ho jayain. Hukumat Pakistan ne khud kafalat ke husool ke liye achi faslain ugane ke ilawa model farm, dairy farm aur poultry farm ki taraf bhi khasoosi tawaja di hai kyoun keh tamam farms ka taluq barah e rast zarai shoba se hai.

Mayar e Zindagi Par Asar

Zarai taraqi se na sirf mulki daulat mein izafa hota hai balkeh is se awam ke karobar ko bhi char chand lag jatay hain aur un ki tarz zindagi mein bhi numayan tabdeeliyan runama ho jati hain muashi istehkam se awam khush rehte hain aur un ka mayar zindagi bhi behtar hota hai awam ko zaroorat zindagi ko pura karne ke liye zayada se zayada karobar aur rozgar milne lagta hai tou woh muasharti buraiyon aur najaiz zaraye amdani se bhi bach jatay hain. Lekin haliya khuch salon mein zarat ka shoba mehngai, ghurbat ki wajah se kafi mutasir hua hai aur guzashta salon ke sailaab se hone wala nuqsan zarat ke shoba ko kafi nuqsan deh sabat hua. Zarat (Agriculture) ke shoba ki taraqi ke silsile mein behtar iqdamat kiye jayain aur sailab ki surathal ke paish nazar aisi hikmat amli banai jaye jis se un alaqon ko mehfooz rakha ja sakay jo kasht ke alaqay hain.
logoblog

Thanks for reading Agriculture Urdu Essay Importance Of Agriculture In Pakistan In Urdu Note Agriculture Speech

No comments:

Post a Comment