Tehreek e Khilafat Urdu 1919 Khilafat Movement Urdu Notes Hindi Summary Tehreek e Khilafat Pakistan

  Lal Gulab      

Essay Tehreek-e-Khilafat 1919 In Urdu Khilafat Movement Notes In Urdu Summary Khilafat Movement 1919 In Hindi


Information & History Khilafat Movement Urdu Tehreek e Khilafat Kya Hai? Saltanat Usmania ki hifazat ke liye hindustan ke Musalmanon ki taraf se shuru ki jane wali tehreek e khilafat ahista ahista aik maqbool civil na farmani ki tehrik mein tabdeel ho gayi.

Saltanat Usmania (Ottoman Empire)

Pehli jang-e-azeem mein markazi quwaton (German aur Austrian) ki himayat karne ke baad saltanat usmania ko aik azeem askari shikast ka samna karna parra. Khilafat ki kursi ke tor par saltanat usmania dunya bhar ke Musalmanon ke liye mazhabi ahmiyat rakhti thi. Bohat se log saltanat ki qismat ke bare mein fikar mand thay kyoun keh ye zahir tha keh ittehadi (Bartania, France aur Russia) saltanat ko taqseem karne ki koshish mein hain agarchah is par puri Muslim dunya ne ahtejaj kiya lekin sub se numayan rad e amal bar-e-sagheer se aya.

Khilafat Ka Aghaz (Khilafat Begins) K

1919 mein Maulana Mohammad Ali Jauhar ne apne bhai Maulana Shaukat Ali aur Maulana Abul Kalam Azad jese degar Musalman rehnumaon ke humrah saltanat usmania ko bachanay ki gharz se khilafat committee tashkeel di unhon ne angreezon par zor diya keh woh jang-e-azeem awwal ke doran saltanat usmania ki hifazat se mutaliq kiye gaye wadon ko pura karain.

Misaq e Lukhnow ke baad Muslim hindu ittehad arooj par tha 1920 mein khilafat committee ne indian national committee ke sath ittehad qaim kiya gandhi ne intihai maslahat ke sath aik bari abadi ko apne sath shareek karne ki gharz se soraaj ya khud mukhtar hukamrani ke tasawar ko is tehrik e khilafat ke sath munsalik kiya zayada tar siasi rehnumaon ne is maqsad ki himayat ki siwaye Jinnah ke jin ke mutabiq khud mukhtar hukamrani ki ye maang qabal az waqt thi unhon ne congress se mustafi hote hue apne aap ko is tehreek se door rakha.

Ye tehreek mulki satah par pehli mashoor civil na farmani ki tehreek ke tor par samne ayi logon ne bartanwi ashya ka boycott kar diya, qanoon aur adalton ko tark kiya aur school aur college khali kar diye is mashoor ah o baka aur bay misal Muslim Hindu ittehad ke sath ye tehreek 1857 ki jang-e-azadi ke baad sub se bara siasi khatra sabat hoi.

Tehreek Ka Ikhtitam (End of Movement)

Intihai mutasir kun kamyabiyon ke bawajood ye khilafat movement inteshar ka shikar ho gayi pur aman tor par shuru hone wali ye tehreek 1922 mein Chauri Chaura ka waqia ke sath tashadad ki simat barhi jisay dekhte hue gandhi ne khud mukhtar hukamrani ki is jad o jehd ko mansookh kar diya. Is karwai ke baad Musalmanon ko mayoosi ka samna karna parra aur youn congress khilafat ittehad kamzoor hua. Musalmanon ko akhri dhachka tab laga jub 1924 mein Mustafa Kemal ne saltanat usmania ka takhta palat diya aur khilafat ka khatma karte hue Turkey aik secular riyasat bana. Taham is tajarbay ke zariye Musalmanon ne apne aap ko siasi tor par munazam karne aur aik maqsad ke liye larnay ke hawalay se karamad sabaq seekha.
logoblog

Thanks for reading Tehreek e Khilafat Urdu 1919 Khilafat Movement Urdu Notes Hindi Summary Tehreek e Khilafat Pakistan

No comments:

Post a Comment