Depression Treatment Urdu Alamat Depression Ka ilaj In Hindi Depression Symptoms

  Lal Gulab      

Hindi Depression Ka ilaj In Urdu Depression Treatment In Urdu Symptoms Depression Ki Alamat Kya Hai

Aap jitna bhi khud ko dabao mein mehsus karen aik sehat mand khana aap ki pareshani ko dor kardeta hai. Kahte hen ke badshah ki tarah nashta karo, ameer ki tarah dophair ka khana khao aur fakeer ki tarah rat ka khana khao. Aj kal nehaar munh coffee ya chai pene ka rawaj hai. Yaad rakhain ye aap ke andruni nizam ko kharab kardeta hai.

Aj kal ki machini zindagi mein depression aik am marz hai kyun ke hamare asab roz mara ke masail se nimat te nimat te basa aukat itne thak jate hen ke hum sukoon ki talash mein pareshan rahte hein aur sukoon naam ki shae dhondhte dhondhte mazid pareshaniyon ka shikar hojate hein. High blood pressure kalb nervous break down is par shor zindagi ke tohfe hein.

Aksar khawateen inhain nazar andaz kardeti hein. Bemariyan barhne ki surat mein doctor ke pas jati hein. Doctor jo adwiyat tajweez karte hein wo chand din to asar zarur dikhati hein lekin jar se Bemariyan khatam nahin hosakti. Apni sab se bari malij aap khud hein. Jis tarah machine ko tail dete raho to wo thek rahti hai isi tarah bar waqt ilaj aur parhez hamen behtar sehat mand zindagi ata karta hai. Albata ye aap par manhasir hai ke aap apne masail hal karne aur in ke ilaj ke liye aisa andaz zindagi apnaen jo waqti tor par nahin balke sari zindagi aap ko pur sakoon aur sehat mand rakh sake. Is ke liye darj zail hidayat par amal karen aur khush rahen. Masroofiyat ke bawajood apne liye waqt nikalen.

Aik adat ko mamool banalen wo ye ke kamo se farig hone ke bad aik kursi par itminan se bethain. Is ki pasht par sar tikaen, tangain dheeli chor den aur nak se sans le kar mun se nikalen. Tamam tar tawaja sans ke ane jane par rakhen. Ye amal dus bees minute tak karen. Rafta rafta aap khud mehsus karengi ke is tarah aap ko sukoon mil raha hai. Yad rakhain..... Thakan ka hal sona nahin hai kyun ke ankh Khulne par bhi thakan mehsus hosakti hai. Raat ko kam az kam 7,8 ghante zarur soen agar na sosaken to din mein adha ya aik ghanta zarur soain.

Aap ne dekha suna bhi hoga ke khubsurat, smart khawateen bharpur nend leti hein. Dophair ko sone ki adat hoti hai. Umar barhne ke sath sath nend mein kami hojati hai. Is liye pareshan hone ki katai zarurat nahin wese bhi 7,8 ghante sona sehat ke liye acha hota hai lekin kabhi to lait te hi nend ajati hai kabhi pahron karwatain badalte raho to nend nahi ati. Ye aik fitri amal hai apne aap ko zabardasti na solain. Nend nahin ahrahi to mutala karen. Parhte parhte nend ahjaegi. Ye gor karen ke aap jis kamre mein bistar par hen waha aap ki kitni martaba ankh khuli hai. Kamre mein kisi ki ahat se aap ki ankh khul jati hai. Aap sona bhi chahti hein lekin nend nahin ati, mukamal aur pur sukoon nend. Sehat mand ghiza pareshani dor karti hai aap jitna bhi khud ko dabao mein Mehsus karen aik sehat mand khana aap ki pareshani ko dor kardeta hai kahte hen ke badshah ki tarah nashta karo, ameer ki tarah dophair ka khana khao aur fakeer ki tarah raat ka khana khao....

Aj kal nehar mun coffee ya chae pene ka rawaj hai. Yad rakhen ye aap ke andruni nizam ko kharab kardeta hai. Subha jaldi uthain aur pur sukoon fiza mein nashta karen. Is tarah pura din khush gawar guzrega. Nashta din ka eham khana hai is liye nashta zarur karen. Nashta mein anda, double roti aur doodh ki lasi wagera zarur khain. Cheeni ki jaga shahad istamal karen. Tale hue khano, dabe ke khano, charbi wala gosht aur tail ghee ke khano se parhez karen. Dukano se milne wale juice na piyain balke ghar mein banain. Coffee, chae, zayada namak aur bagair ubla hua pani sehat ke liye nuksan da hai. Ise kam se kam istamal karen.

Adwiyat aur nasha awar cheezon ka istamal pan chalia ka istamal barhta jaraha hai lekin ye Cheezain waqt se pehle burha kardeti hein jild jhalasne lagti hai. Bal grne lgte hein aur ankhain apni chamak kho deti hain in se guraiz karen. Naiz nend ki goliyon ka bhi khud ko adi na banain. Khud ko pur sukoon rakhne ke liye in tamam chezon main sahara talash na karen kyun ke ye bari bemariyon ki janam deti hai. Aik sehat mand jism ke liye warzish intehai zaruri hai. Is se insan fit rahta hai. Dimag par kam bojh rahta hai. Jism ke aza aur pathon ke khechao se sukoon mehsus hota hai.

Warzish ka aik faida ye bhi hai ke aap mutanasib jism ki malik hosakti hein. Zindagi ko pursakoon rakhne ke liye zat ka pur aitamad hona zaruri hai. Khud ko kabhi khubsurti ya dolat ki kami ki waja se kam tar na janain. Ye aik buri adat hai jo aap ki sehat ki dushman hai. Aap apni zat par aitamad karke khud ko manwa sakti hen. Lehaza is baat par karhna chor dain ke meri sathi bohat achi hai aur mein nahin. Yakenan aap mein bhi aisi koi khoobi hogi bus ise shanakht karna aap ka kam hai phir yakenan aap bhi kisi se kam nahin. Ye kuch zindagi guzarne ke andaz hein. Agar aap in par amal paira hongi to is mein koi shak nahin ke aap zindagi jesi naimat se mukamal lutuf andoz hon.
logoblog

Thanks for reading Depression Treatment Urdu Alamat Depression Ka ilaj In Hindi Depression Symptoms

No comments:

Post a Comment