Yogurt Benefits Urdu Dahi Ke Faide In Hindi Yogurt For Weight Loss Dahi Fawaid

  Lal Gulab      

Dahi Benefits In Urdu Yogurt Benefits In Hindi Dahi Ke Faide In Urdu

Urdu Information Yogurt History Dahi ko Arabic mein libon persian mein mast aur english mein yogurt kehte hain sadiyon se ye insani khorak ka hisa raha hai. Zamana qabal az tareekh ka insan bhi gaye, bakri, bhains, camel aur bhed ke doodh ko batoor ghaza istemal kiya karta tha. Un ke maweshiyon ke doodh ki maqdar kam hoti thi is liye woh isay janwaron ki khalon ya khurdaray mitti ke bartanon mein jama kar laitay thay takeh zaroorat ke waqt asani se istemal kiya jaye. Shuru shuru mein isay janwaron se hasil karne ke baad usi tarah kachi halat mein rakhne ki koshish ki gayi lekin kache doodh ko mehfooz halat mein rakhna woh bhi is tarah keh us ki ghazaiyat bhi barqarar rahe na mumkin si baat sabat hoi. Is maslay ka hal ittefaqi tor par daryaft ho gaya kaha jata hai keh janoob maghribi asia ke wasi alaqon mein safar karne wale "nomaad" qabeelay wale doodh ki shakal mein apni rasad ko bhed ki khal se banay hue theelay mein rakha karte aur usay apne janwaron ki peth par bandh diya karte thay. Ayam safar mein woh theelay musalsal hiltay rehtay us par suraj ki tapish bhi apna asar dikhati rehti. Natija ye hota ke doodh khameer ban kar neem thos shakal ikhtyar kar laita woh is baat se na waqif thay keh bhed ki khaal ke androoni hisay mein chupay hue bacteria ne doodh ko khameer kar ke dahi ki shakal de di hai.

Shuru mein doodh ki is shakal ko bohat kam maqdar mein istemal kiya jata tha kyoun keh nomaad qabeelay wale usay zehrila samajhtay thay phir ahista ahista tajarbay se ye baat samne ayi keh doodh ki ye nayi shakal muzhar sehat nahin mojzati ghaza hai. Jub dahi ki afadiat samne ayi tou isay banane ka tarika daryaft kiya gaya doodh ko jamanay ke liye unhon ne is mein thora sa dahi mila liya. Is tajarbay ne kamyabi ata ki aur phir dheeray dheeray ye baat bhi sabat ho gayi keh khata aur khameer kiya hua doodh taza doodh se bohat zayada fayde mand hai ye na sirf zayada arsay tak achi halat mein rehta hai balkeh is ka zaiqa bhi mazedar ho jata hai.

Yogurt In Bulgaria Country

Bulgaria ke logon ki tabai umar degar mulkon se zayada hai science danon ne musalsal tajarbon aur tajzia ke baad pata chalaya keh is ki aik wajah dahi bhi hai wahan ke log yogurt ka istemal bohat zayada karte hain.

Yogurt In France

France mein isay "Hayat Jaodaan" ka naam diya gaya hai 1700 mein france ka king first kisi bimri mein aisa phansa keh koi ilaj kar gar nahin hota tha naqahat is qadar barh gayi thi keh woh bethnay ki quwat bhi kho chuka tha us ke ilaj ke liye mashriq baeed ke aik mualij ko bulaya gaya us ne badshah ko sirf dahi ka istemal karaya aur king first sehat yaab ho gaya.

Yogurt Benefits In Hindi & Urdu For Health Face Hair Beauty

1908 ke aik nobel inam yafta ne barson ki tehqeeq ke baad dahi ke khawas yani dahi ke fawaid par tehqeeq ki aur bataya keh yehi woh ghaza hai jo insan ko taweel umar guzarnay ke mawaqa faraham karti hai.

Anton ke nazaam ke andar aik khas tadad mein bacteria paye jate hain jinhain flora kaha jata hai dahi falora ki parwarish mein mawan sabat hota hai antibiotics medicines flora ko khatam kar deti hain is liye baaz doctors antibiotics medicines ke sath dahi khane ka mashwara dete hain dahi bacteria ke infections ko bhi rokta hai. Balon mein khushki khatam na hoti ho tou anday ke sath yogurt behtareen totka hai is ka tareeqa aap ko yaqeenan maloom ho ga aur jo nahin jantay un ke liye lalguab site par tafseelat faraham ki gayi hain.

Madeed Fayde Aur Dahi Ka Istemal Yogurt Uses And Calories

Ghazai mahireen ke mutabiq yogurt mein protien, calcium aur Vitamin B achi khasi maqdar mein mojod hoti hai albata iron aur vitamin c is mein bilkul nahin hota gaye ke doodh (cow milk) ke muqablay mein bheenc ka doodh se bana hua dahi zayada taqatwar hota hai us mein chiknai protien aur dusre ghazai ajza zayada paye jatay hain dahi ke upar ko pani ata hai us mein vitamins aur minerals waghera achi khasi maqdar mein mojood hote hain kyoun keh woh doodh ka hi pani hota hai jub doodh jamta hai tou pani us ke uper ajata hai jisay dahi mein milaya jata hai.

Yogurt na sirf khanon ko lazeez banata hai balkeh ghazaiyat bhi faraham karta hai jism ki zarooriyat ko bhi pura karta hai is ki sub se bari khasiyat ye hai keh ye na sirf ba asani hazam ho jata hai balkeh anton ke nazam par bhi khushgawar asar dalta hai usay healthy banata hai us mein chiknai aur hararay intihai kam maqdar mein hotay hain 1 cup dahi ke andar sirf 120 hararay (calories) paye jate hain itni kam maqdar mein calories ke hamil dahi mein aise kayi iqsam ke ghazai ajza hote hain jo insani sehat ke liye intihai zaroori hain. Maslan protien, makhan, niklay doodh se banay dahi ke 1 cup mein 8 gram protien hoti hai jab keh khalis doodh se banay dahi ke aik cup mein 7 gram. Dahi ki itni hi maqdar mein (makhan niklay hue doodh se banaye gaye dahi mein) aik mili gram iron 294 mili gram calcium, 270 gram phosphorus, 50 mili gram potassium aur 19 mili gram sodium paya jata hai.

Yogurt For Weight Loss In Urdu Dahi For Skin In Hindi

Dieting karne aur wazan kam karne walon ke liye dahi aik ideal food hai kyoun keh is ke andar calories ki tadad intihai kam hoti hai jis ki maqdar uper likhi ja chuki hai isi tarah chiknai ki kam hoti hai ab ye baat sabat ho chuki hai keh dahi ke faide health ke liye itnay zayada hain keh inhain bachon se lay kar bazurgon tak pasand kiya jata hai.
logoblog

Thanks for reading Yogurt Benefits Urdu Dahi Ke Faide In Hindi Yogurt For Weight Loss Dahi Fawaid

No comments:

Post a Comment