Safed Motia Ka ilaj Urdu Safed Motia Treatment In Hindi Motia Bind Operation Symptoms

  Lal Gulab      

Symptoms Safed Motia Ka ilaj Urdu Safaid Motia Treatment In Hindi

Safaid Motiya: Insani ankh mein Allah Pak ke banae hue lens main agar kisi waja se dhundh lapan ajae to urf aam main ise ham safaid motiya ke name se jante hain. Safaid motiya ban ne ki kai wajohat hain. In main sar fahrist barhti hui umar ya bhurhapa ha, ju ju insani umar barhti hai safaid motiya ban ne ke chances barhte hain amuman 60 se 70 sal tak ke khawateen o hazrat main safaid motiya banne ki sarah zayada hai. Kabhi kabhar dihat main rahne wale aise khawateen o hazrat bhi ae din eye out door main ate hain jin ki umar 70sal se lag bhag hoti hai magar inhain safaid motiya ke bilkul shikayat nahin hoti. Ye ek qudarti amal ya qudrat ka nizam hai aisa kehna beja na hoga.

Is main kisi khas dawa, khorak, multi vitamin ankhon main safaid motiya ko rokne wale eye drop ka koi amal dakhal nahin. Safaid motiye banne ki dusri waja sugar hai jin logo ki sugar control nahin inhain bohat jald safaid motiya banjate hain ye marez nojawan bhi hosakte hain. Hamare muwashire main bad kismati se sugar ko koi lift nahin karata jab mamla bigar karna kabil kabool hal ki taraf gamzan hojata hai tab jakar hosh ata hai. Yahan par mujhe shaikh sadi ki khobsurat bat yad ah rahi hai ke " waqt aur samjh dono ek sath khush kismat logo ko milti hai kyun ke aksar waqt par samjh nahin hoti aur samjh ane par waqt nahin milta". Ji han bilkul isi tarah ham sugar ke mamle main bohat zayada tashwish ka izhar nahin karte.

Sugar aisi bemari hai agar ye control na hoto phir isne hamare dil, dimag, gurde aur ankhon ko mutasir karne main dair nahin lagani aur jab bat bohat barh jae to phir docters hazrat bhi bebas dikhai daite hain isliye waqt par apni zindagi ko bachane keliye is bat ka faisla karna bohat zaruri hai ke sugar ko control kia jae aisa na karna zehar katil laine ke motaradif hai. Baaz aukat aisa bhi daikha gaya hai ke sugar control na rakhne wale mareez ne docter ko ankhon ka maina karaya is waqt safaid motiya nahin tha lekin kuch dino ke bad iski nazar dhundh lagai jab phir jakar ai surgon ko maina karwaya to maloom hua ke ankhon main to safaid motiya utar aya.

Is se ye pata chala ke ye ab hamare apne hath main hai ke ham sugar ko control rakh kar safaid motiye se mehfuz rahain sugar ke sath sath choli daman ka sath rakhne wali dusri bemari blood presure hai. Khush kismati se blood presure ka safaid motiye ke banne ke amal main koi hisa nahin. Blood presure control na rakhne wale afrad ke dimag dil gurde aur ankhon ke noor ke parde par to asrat ainge safaid motiya banne main iska koi amal dakhal nahin inke ilawa safaid motiye ban ne ki wajuhat main jism ki kuch makhsos bemariyan jild ki ek khas bemari noor ke parde ke kharab hone ki kuch bemariyan khas tor par andrata yani rat ko nazar na ane wale marezon main safaid motiya ban sakta hai. Iske ilawa ankh main ek hi emergency hoti hai wo hai kala motiya jo binai ka ek khamosh katil hai.

Is main safaid motiya jo bohat zayada pak jata hai jiski waja se kala motiya ban jata hai jis main safaid motiya zayada tar bante tot gaya hai. Jin logo main ainak ka munfi number zayada ho ankh ke androni soozish ya ankh par chot lagne curent lagne kuch makhsos shuwaon ke bad aur khas tor par aise log jo steroid adwiyat ka istamal thook ke hisab ya kisi bemari maslan joron ka dard, dama ya kuch aur andruni jismani bemariyon main steroid ka istamal karte hain in main safaid motiya banne ke imkanat barh jate hain. Safaid motiya koi khatarnak chez nahin agar kisi ko safaid motiya ah gaya hai to ye kabil ilaj hai.

Aaj kal jadid dor main motiya banne par lazer se iska operation intehai mufid hai khas tor par sugar ke marezon ke liye ye ek naimat hai ab wo dor chala gaya hai ke jab safaid motiya bohat zayada pak jane ya nazar bilkul band hone ka intezar kia jata tha phir jakar operation kia jata tha ab lazer ke zariye bagair tankon ke operation kardia jata hai. Safaid motiye ke operation se pehle eye surgon ke liye in malumat ka jan na bohat zaruri hai maslan mareez ko sugar, blood presure, dil ka masla, anjaina , falij, joron ke dard, dama koi aur sans ka arza khon ki bemari mirgi, aids ya kala yarkan to nahin phir ankh ke papoton, ankh ki patli, ankh ke andruni sakht, lanes aur ankh ke noor ke parde ka maina kia jata hai. 

Ankh ka pressure bhi check kiya jata hai eye surgeon ke liye operation se pehle ye faisla karna hota hai ke isne ye operation lanes yani fako ultra sound se karna ya sada yani tankon wala operation karna hai agar bohat zayada motiya pak gaya hoto phir lazer se operation to hojata hai magar iski kuch paichidgiyan hone ke kawi imkanat hote hain marez ki ankhon ka maina karne ke bad ye tasali karna parti hai ke ankh ki patli noor ka parda agar durust halat main hai to phir safaid motiya ke operation ke result bohat ache hain. Lazer se operation karne main faida ye hai ke is main ankh par bohat chota sa cut laga kar lazer ke ale ko ankh main dakhil karke motiye ko suck karlia jata hai. 

Phir is main Foldable lens daal dia jata hai sada operation main bara cut lagaya jata hai jis mein 8 se 6 stiches lagae jate hain is main bhi masnoi lanes dala jata hai kuch log is tohmat ka bohat shikar hain ke ham ne masnoi lanes nahin dalwana, aisa karna bohat khatarnak hai kyun ke lanes na dalne se operation ke bad 10plus number ki ainak lagwane ke sath sath noor ke parde ke ukharne ke chances barh jate hain masnoi lanes bilkul isi jaga par jakar lag jata hai jahan par Allah karim ka banaya hua lanes tha. Ye ankh ko nahin chubhta na bahir nikalta hai apni jaga par puri zindagi ke liye kam karta hai. Lanes ki bohat qualities hain jo 200rupee se shuru hokar lakhon tak jati hai ab to aise lanes bhi ah gae hain jin se operation ke bad lagai jane wali nazdik ya dor ki ainak ka number bhi lagane ki zarurt nahin parti. Operation ke bad ke 3 mah tak eye drop istamal karne se ankh ka zakham thek hojata hai.
logoblog

Thanks for reading Safed Motia Ka ilaj Urdu Safed Motia Treatment In Hindi Motia Bind Operation Symptoms

No comments:

Post a Comment