Nakseer Ka ilaj Urdu Nakseer Treatment Hindi Nakseer Home Remedy Symptoms Epistaxis Disease

  Lal Gulab      
Epistaxis Problem - Ghareelu ilaj Nakseer Phootna - Hindi Nakseer Ka ilaj Urdu

Symptoms Nakseer Treatment In Urdu  At Home: Achanak naak se khoon behne ya nakseer phootne ka tajarba hum ko aksar afrad ko hota rahta hai aur zayada tar surton main is main pareshani wali koi bat nahin hoti. Injury hone ki surat mein jaise koi cheez chehre se takra jae ya nak main ungli dalne se bhi ke andar naram o nazuk khoon ki naliyan majrooh hojati hain aur khoon rasne lagta hai. Taham nakseer ki ek aam waja khushk hua hoti hai. Wazia rahe ke sardiyon main hawa main nami ka tanasub ghat jata hai aur agar kamre main heater jal raha hoto is se bhi khushk hojati hai aur ye khushk hawa nak ke andruni dewar ko bhi khushk kardaiti hai jis se nak se andar ka lasdar mada thoos shakal ikhtiyar karleta hai phir wahan kharish hone lagti hai. Aisi surat main agar ise kharoch dia jae to waha se bari asani se khoon bi niklega.

Nakseer Ki Wajah - Reason Nakseer ki ek aur waja infection hota hai jise nazla zukam main nak ki andruni dewarain matrom ho jati Hain aur waha khoon ka bhao barh jata hai. Nak ki andruni dewarain ki sozish barh jati hai. Aur zara se thes ya ungli ki chair char khoon ke bahao ke rasta daiti hai. Nak behne ka band hone ki surat main illergy main jo spray istamal kie jate hain aur jis main steroids shamil hote hain wo bhi nak main kharash dal sakte hain waha se khoon behne ka sabab ban sakte hain. Nakseer phoote ko tibi istalah main Epistaxis kahte hain jis ki do kism hoti hain ek nakseer nak ke samne ke hise Anterior ki hoti hai aur dusri piche posterior hise ki. Samne ke hise main jo nakseer phooti hai wo bohat aam daikhi jati hai ye zayada khatarak nahin. Nak ke samne ke hise se khoon is waqt nikalna shuru hota hai jab nak ko taksem karne wali darmiyani naram hadi ke ek makam par jise Little's area kahte hain koi nuksan nuksan puhnchta hai.Youn woh jagah hai jahan khoon ki 3 naliyan baham milti hain aur mazkora bala wajuhat ki bina par is nazuk aur hasas makam se aksar khoon ka rasao dekhne main ata hai.

Naak ke pichle hise se khoon ka jo rasao hota hai wo kam dekha jata hai lekin ye pareshan kardaine wali hosakti hai kyunke is main khoon ka rasao in sharyano se hota hai jo nak ke garhe ki pichli janib se guzarti hain. Agar in sharyano main se koi phat jae to khoon tezi se zaya hosakta hai aur mamla sangeen noiyat ikhtiar karsakta hai. Agar nakseer nak ke pichle hise main hai to phir mareez ko ispatal main specilist ki tawaja ki zarurat hoti. Is nakseer main chonke khoon halak main utarne lagta hai is se bhi farak ka pata chal jata hai. Naak se khoon behne ki shikayat shaz o nadir khoon ke bahao main koi nuks ya cancer ki waja se hosakti hai. Apne ye hai ke apke shohar is nakseer ki shikayat ke sawa degar surat main sehat mand hain is liye is amar ka koi imkan nahin hai joke wo khoon ke bahao ke kisi sangen arze main mubtala hon is liye ke koi alamatain bhi maujood nahin hain jin logo ko aksar o beshtar nakseer phootne ki shikayat hoti hai wo agar docter ke pas mashware ke liye jate hain to inhain yahi bataya jata hai ke bohat mumkin hai wo musalsal khushk ya thandi hawa ki zad main hain ya inko bar bar nazla zukam horaha hai ya wo nak main spray wali dawa aur koi aur dawa istamal kar rahe hain.

Zayada tar logo mein is masle ka eham taren sabab nak ka wohi nazuk aur hasas ilaka hota hai jise little's area kahte hain aur waha sozish wagera ki waja se khoon ka rasao shuru hojata hai. Yahan ye batana bhi zaruri hai ke agar kisi ko nakseer phoote to ise band karne ke liye kya karna chahye. Sab se pehle to mutalka shakhs ko bajae laitne ke beth jana chahye ya khara hona chahye is liye ke laitne se khoon peche chala jaega aur hosakta hai halak se Neche bhi utar jae jo bohat se logo ke liye nagawar bhi hosakta hai. Iske bad nak chenkain take agar koi khoon ki fitki jami hai to wo bahir nikal jae go ke is se kuch lamhe ke liye khoon ka bahao zayada bhi hosakta hai. Ab nak ke asal hise ko anghothe aur ungli ki madad se dabain. Aam tor par log nak ki ubhri hui hadi wale hise ko dabate hain jis se koi fark nahin part.

Donon sorakhon ko sakhti se dabakar kam az kam dus min tak band rakhain is doran mun se sans lete rahen iske bad bhi khoon behna jari rahe to yahi amal dubara karen lekin is bar 30min tak nak dabae rakhen. Agar khoon behna na ruke to docter ko dikhain kyunke is main bazahir ye hosakta hai ke khoon nak ke pichle hise se ahraha ho. Agar nak ke andar koi nazuk hasas makam khoon behne ka sabab ban raha hai jis ka imkan zayada hai to aksar general practishnis ke pas ye maharat aur tajarba hota hai ke wo koi crystal ya silver nitrate istemal karte hue is jaga ko band kardain. Youn ye masla hal hojata hai naak ke raste se khoon ka behna amuman ek nithne se behta hai. Garmiyon ke mausam mein ye taklif am tor se hoti hai taiz bukhar, kal khansi ke natije main bhi ye shikayat hojati hai.

Baz aukat dimag main khoon ki ziyadti ya jism main khoon ki ziyadti ke sabab qudrat zayada dabao ko bazariya nakseer kharij kardti hai. Agar thora khoon kharij ho aur khoon nikalne ke bad tabiyat halki mehsus hoto is taraf zayad tawaja aur ilaj ki zarurat nahin agar iske natije main kamzori mehsus ho aur musalsal khoon kharij hoto foran ilaj ki taraf tawaja daini chahye. Ilaj: thanda pani sar par dalen, baraf ki theli rakhain mun se sans lain. Steptokrom, steptandan ya glyodain ka injection lagain. Stepto bayan ya steptosid ki ek ek goli din main 3 bar khilain agar khoon kisi surat main na ruke to pre marin ka injection ya waridi bohat ahsta lagain jigar ki Kharabi ya jigar ke kisi marz main agar marez mubtala hoto ye injection na lagain yunani main karas bandhis khoon, hamdard dawa khana 2,2 goli din main 3 bar khilain. Khoon rukne ke bad kuch din tak calcium lactate ek goli subha sham khelate rahe take nakseer dubara na khul jae. Mirch garam masala cheezon se parhaiz karen.
logoblog

Thanks for reading Nakseer Ka ilaj Urdu Nakseer Treatment Hindi Nakseer Home Remedy Symptoms Epistaxis Disease

No comments:

Post a Comment