How To Make Cricket Pitch Banane Ka Tarika Urdu Hindi Cricket Pitch Size Information Lenght

  Lal Gulab      
Hindi How To Make Cricket Pitch Banane Ka Tarika In Urdu Cricket Pitch Size Measurements Dimensions And Construction Hindi Mein Kaise Karein Aaj Is Bare Mein Behtareen Tips Paish Ki Ja Rahi Hain Jis Se Aap Ko Is Ki Tayari Mein Asaan Method Maloom Ho Ga

Cricket Pitch Information Hindi Details Cricket Pitch Length In Feet

Cricket ek aisa khail hai jo giyara khiladiyon par mushtamil do teams ke darmiyan khela jata hai. Ye khail gaind aur bale ke zariye khaila jata hai jiska maidan baidwi shakal ka hota hai. Maidan ke darmiyan main pitch hoti hai cricket pitch ki lambai qanon ke mutabik 66 feet (12.20 gaz aur agar yards mein maloom karna chahte hain tou ye 22 yard banti hai) aur cricket pitch ki chorai 10 feet (05.3 gaz) hoti hai. Pitch ke donon janib 3, 3 lakdiyan nisb  ki jati hain jinhain wicket kaha jata hai. Cricket ground mein mojood team ka 1 player (bowler) chamray se bani 1 bowl ko pitch ki aik janib se hath ghuma kar dusri team ke batsman ko phenkta hai. Aam tor par bowl batsman tak pohanchne se pehle aik baar uchalti hai aur batsman apni wicket ka difa karta hai. Dusra batsman jo non stricker kehlata hai gaind baaz ke gaind karane wali jagah khara hota hai.

Aam tor par bale baz apne bat ke zariye gaind ko marne ki koshish karta hai aur is koshish ke doran apne dusre sathi bale baz ki janib dorta hai is tarah dono ko Pitch par ek dusre ki jaga puhnchne par ek run milta hai. Wo gaind bale par na lagne ki surat main bhi run banasakta hai. Agar gaind itni quwat se vickets ko takrae ke is par rakhi gai galiyan zamen par girjaen to bale baz maidan badar kardia jata hai. Is amal ko out hona kahte hain. Out hone ki degar kai iksam bhi hain jin main bale baz ke bale se gaind lag kar zamen par girne se kabal mukhalif team ke rukan ka ise pakarlaita (catch) bale baz ki tang par gaind ka is waqt lagna jab wo vicket ki sedh main ho (LBW) dor mukamal karne se kabal harif team ka gaind wickets per maar dena.
Run out degar shamil hain. Ek achi pitch ko mazbot aur khushk hona chahye jis main munasib mikdar main pani dala gaya ho khas tor par one day matches aur T20matches ki pitch aisi honi chahye jis main khail ke ikhtatam tak koi tabdeeli ronuma na ho jaisa ke aksar daikha gaya hai ke pehli inings ke bad pitch main turn aur bounce mein farq ajata hai aur dusri inings main bale bazon ko mushkilat ka samna karna parta hai. Pitch main ghas kam ya zayada mikdar main nahin honi chahye kyunke dono surton main bale baz ke darmiyan tawazun barkarar nahin rahta zayada ghas hone ki surat main gaind baz faida utha laite hain jabke kam ghas hone ke surat main amuman bale bazon ko faida hojata hai. Kisi bhi pitch ki tayari main sab se eham ansar wo mati hoti hai jis se pitch tayar ki jarahi ho, kyunke mati ki kuch kismain gaind ko zayada uchal daiti hain aur kuch kam go ke is bat ka daro madar mausami halat par bhi hota hai lekin baz mati par mausam ka asar kam hota hai aur baz par zayada.

Mitti Ki Iksam Aur Khasusiyat

Chikni mati aur kali mitti is kisam ki mati mazboot jor banane ki salahiyat rakhti hai lekin ye mati pani ko jald jazab nahin karti is liye pani parne par ye mati zayada dair tak geli rahti hai. Lal mati, is kisam ki mati mazboot Jor nahin banati albata ye pani ko jald jazab karleti hai. Peli mati, ye mati mazboot jor banane ki salahiyat rakhti hai. Pitch ki tayari main amuman mati ki yahi iksam istamal hoti hai. Lekin is bat ka inhasar mulk ki geography surat hal par bhi hota hai mati ke ilawa pitch ki tayari main khad ko bhi shamil kia jata hai joke pitch main maujood ghas ki nasho numa keliye zaruri hota hai.

Nayi Pitch Tayar Karne Mein Shamil Zaroori Awamil: How To Prepare Cricket Pitch New

Kisi bhi achi pitch ki tayari main iski bunyad ka mazboot aur mustahikam hona zaruri hota hai isi waja se pitch banane ke liye zamen ka jo hisa muntakhib kia jata hai is main 3 fit tak garha khoda jata hai jabke iski lambai soft tak rakhi jati hai. Garha khodne ke bad is main munasib mikdar main pani dal kar heavy roller ki madad se roll kia jata hai take puri satah mazboot aur paidar hojae. Cricket ki tayari ke hawale se roller bhi mukhtalif iksam ke hote hain amuman ek se 2 ton tak ke roller pitch ki tayari keliye istamal kiye jate hain. Iske bad is garhe main gathi pathron ka istamal kia jata hai jis se no inch tak bharai ki jati hai. Is bharai ke bad dubara heavy roller chala kar zamen ko hamwar kia jata hai iske bad is par ainton ki do tah jamai jati hain joke mutazad samton main hoti hai. Ainton ki ye tah no inch tak hoti hai. Ainton ke uper phir charcoal aur chani hui mati ki barik tah jamai jati hai jis se ainton ke darmiyan ke sorakh band hojate hain aur pani ko zayada jaldi jazab karne ki salahiyat bhi rakhta hai iske bad kali mati, peli mati, lal mati aur khad ko barabar mila kar no inch ki tah jamai jati hai. Iski tah jamana picth ki tayari ke amal main bohat zaruri hai kyun ke pitch main lagai jane wali ghas is se phalti phoolti hai. Ghas na hone ki surat main pitch toot phoot ka jald shikar hojati hai. Mati ke markab ki akhri do tahain bohat eham hoti hain isi par pitch ka daro madar hota hai.

Mati ka jo markab banaya jata hai us mein ek hisa kali mati, adha hisa lal mati aur 4 hise mukhtalif khadon ke istamal kiye jate hain phir is main 3 inch ki tah jamai jati hai is tah ke uper geli ghas dali jati hai phir dubara ise mati ke isi markab se 6 inch tak bhar dia jata hai. Phir is par lag bhag do din tak pani ka chirkao kia jata hai aur dhoop lagai jati hai. Mati ke markab main abo hawa aur geographia ke hawale se tabdeeli bhi ki jati hai lekin is tabdeeli keliye pitch banane wale mahir curerator ka intehai zairak aur tajarba kar hona zaruri hai. Pani ka chirkao subha o sham do martaba karna zaruri hai. Ghas nikalne ke bad jab iski lambai 4 se 6 inch tak hojati hai to is par halka roller istamal kia jata hai take satah barabar hojae aur agar kisi jaga se satah hamwar na ho to waha mati ka banaya hua markab istamal kia jata hai. Phir is pitch par halke, Darmiyane ya phir bhari roller ka istamal kia jata hai iske istamal ka daromadar mausami aur geography halat par hota hai. Isi tarah pitch par lagai jane wali ghas bhi mahol se mutabikat rakhne wali honi chahye warna iske jald khatam hojane ka imkan hota hai.

Fast Green Bouncy Cricket Pitch Types

Aam tor par 3 kismain hain hari pitch yani green pitch zayada uchal wali pitch aur kam uchal wali pitch, har pitch england aur new zealand main banai jati hain zayada uchal wali janoobi africa main jab ke south asia main kam uchal wali pitch hoti hain. Match se pehle pitch par bhari roller chalane ki sakhti se mamanat hoti hai. Jis pitch par match khela jane wala hota hai waha 8 se dus din pehle bhari roller nahin chalaya jata. Zayada se zayada ek tan wazni roller istamal hota hai jise kam karte karte adha tan karlia jata hai. Isi tarah pitch ko pani daina bhi ahista ahista kam kardia jata hai yaha tak ke match se ekdin pehle pitch ko bilkul pani nahin dia jata Pitch main uchal aur tezi keliye is main ghas zayada chori jati hai. Match shuru hone se kabal pitch ka 3 se 4 inch gehrai tak khushk hona zaruri hota hai. Pitch par roller chalane se pehle iski jhar ponch karwai jati hai take kisi kism ke bale se pitch ka nuksan hone ka andhaisha na rahe. Pitch ki jhar ponch match ke doran bhi waqtan fawaqtan ki jati rahti hai jaise pani ke wakfe ke doran khane ke wakfe ke doran wagera albata ye empire ki sawabdid par hota hai. Agar umpire ko lage ke is se pitch ko nuksan hosakta hai to ground staff ko pitch ki jhar ponch se rok sakta hai.

Match Ke Baad Pitch Ki Dekh Bhal: 

Match ke baad pitch ki daikh bhal zayada zaruri hojati hai ta ke is main mazid match khaile jasakain. Agar kahen se pitch khasta ya toti hui halat main ho to iski pewand kari isi markab se ki jati hai jis se wo pitch banai gai ho. Khad aur pani ka istamal pitch ke dag dhabon ko mitane keliye kia jata Hai. Pitch par maujood ghas main aksar fungas aur algae jesi bemariyan lag jati hain aur agar inka ilaj na kia jae to ye mukamal tor par pitch se ghas ka safaya kardaiti hain is liye inka barwaqt ilaj karna cure rator ki bunyadi zimedari hoti hai. Match ke bad pitch ko khushki aur barish se bachane ke liye "pitch core" ka istamal kia jata hai. Bilashuba cricket ki pitch bana na bakaida ek fan hai jo nasal dar nasal cure tarz main aya hai. Iski ibtada taj bartania ke tahat mothada hindustan main hu. Majooda door mein cricket mein jidat ke sabab pitch banane ke liye bhi sciency tehqeeqat se istafada kiya ja raha hai. International cricket council ke tamam test cricket khailne wale mumalik ke head curators bakaida meeting karte hain aur pitch banane ke hawale se jadid tahkikat aur tajarbat se ek dusre ko agha karte hain.
logoblog

Thanks for reading How To Make Cricket Pitch Banane Ka Tarika Urdu Hindi Cricket Pitch Size Information Lenght

No comments:

Post a Comment