Global Warming Essay Urdu Global Warming Effects Definition Global Warming Information

  Lal Gulab      
Tareef Global Warming Essay In Urdu Aur Is Ke Asraat Aur Samasya In Hindi Nibandh Global Warming Article Maloomat Mazmoon
Urdu Definition Global Warming Introduction - Information Global Warming Kya Hai: Majooda dor mein lafz global warming bohat sunne ko mil raha hai zameen ke ausat temperature mein batadreej izafe ka naam global warming hai. Ab hamare zehen mein sawal ye paida hota hai ke waqt guzarne ke sath sath zameen ke darja hararat mein izafa kyun horaha hai. Wo kon se awamil aur anasir hein jo global warming ka bais ban rahe hein hamari zameen ke mahol mein kuch aisi gases pai jati hein jo naim mustakil lekin dair par rahti hein ye gases qudarti tor par nahin balke zameen par hone wale mukhtalif kisam ke awamil ke natije mein hamari Aab o hawa ka hisa banti hein in mein khas tor par carbon dioxide methane aur chloro floro carbon hein jin ke aab o hawa mein shamil hone se zameen ka darja hararat barh raha hai. Hawa mein in gases ke izafe ki zimedari bhi kafi had tak hum insano par hi ati hein. Hayatyati aindhan ko jalane darakhton ki katai aur sanati inkalab ka dor shuru hote hi carbon dioxide ki mikdar mein izafa dekhne ko mil raha hai. Carbon dioxide ka mahool mein bila rok tok izafa aisi tabdiliyon ka bais ban raha hai jinhain badla nahin jasakta. Is ke ilawa AC Refragirator wagera se kharij hone wali gas chloro floro carbon zameen ke karah se ozone ki tah ko tabah karne ka bais ban rahi hai jo ke suraj se nikalne wali shuwaon ko apne andar jazab karne ki salahiyat rakhti hai. Garz zameen ke darja hararat mein izafe ka zimedar bohat had tak insan aur iski aijadat hein.

Asrat

Global warming se dunya ke baaz hison mein khushki aur baaz mein nami ki mikdar mein izafa horaha hai jis ki waja se dunya ke aksar mumalik jin mein pakistan bhi shamil hai in mein mausam garma mein garmi ki shidat mein izafa dekhne ko mil raha hai. Pakistan mein agar global warming se paida hone wale asraat par nazar dali jae to maloom hota hai ke pakistan wahid mulk hai jis ka hisa global Warming ka bais banne wali gases ke ikhraj mein aik fesad se bhi kam hai global warming par kabu pane ke liye kam technology ke bais ye is se sab se zayada mutasir horaha hai. Is ke bais pakistan ke silsile ko hamaliya aur glyshairs ke pighalne se pakistan ke daryaon mein pani ki satah mein izafe ka khatra hai. Jis se barishon ke doran saheli ilakon mein sailab ane ka andaisha hosakta hai. Darja hararat ke barhne se pakistan ke banjar aur naim banjar ilakon mein zarai paidawar mutasir horahi hai. Is ke ilawa Aab o hawa mein hone wali teezi se tabdeeli se janglat mein podon aur darakhton ko nuksan puhnchne ka khadsha hai. Global warming se hone wale in tamam nuksanat ki waja se pakistan mein khorak aur tawanai ki salamati ko khatra darpaish hai. Aab o hawa mein hone wali is tabdeeli se khushk sali sailab aur land sliding jesi qudarti afat mein izafa dekhne ko mil raha hai jin ko roka to nahin ja sakta lekin In se hone wale nuksanat se bachne ke liye tadabir apnai jasakti hein jin ka waqt se pehle apnana bohat zaruri hai.

Global Warming Se Mutalik Mazeed Maloomat Aur Haqaiq

Is karah arz par 20sadi mein darja hararat mein 0.6 centigrade izafa hua hai. Mahool mein darja hararat mein izafa almi satah par tabahi ka bais ban raha hai is par kabu na paya gaya to is sayare par rahne wali makhlooq ki zindagi ajeeran hojaegi. Guzishta 20 barson mein sirf europe mein lo lagne se aik lakh artees hazar log zindagi ki bazi har gae. Asia aur africa mein marne walon ki tadad zayada tashwishnak hai. Mausamon ki tabdeeli se glaciers pighalte hain jo sailabon ka bais bante hein pichle chand barson mein dor ab se zaid log sailabon se mutasir hue hein "global warming" mein oxygen ki kami, carbon dioxide gas mein izafa pani mein tezabiyat, samandar ki satah ka buland hona, samandar ka darja hararat parhna, katbeen par burf ka pighalna kabil zikar awamil hein is ke asraat khushki par zayada hein is ke bad fizai aludgi dusre number par hai. Mausamo ki shidat, kahat sali, bad samoom, tufani barishen, sailab aur burf bari insani zindagi ke liye qudarti afat hein. Qudrat ne mahool aur aab o hawa mein aik tawazun kaim kia hai jab ye tawazun bigarta hai to karah arz par tabahi ati hai is zameen par basne wale tamam insano ka farz banta hai ke wo is tawazun ko bar karar rakhne mein mawnat karen is waqt sab se zayada aludgi ka bais banne wali zaherili gases hein jab hum tail, koyla ya qudarti gas jalate hen to carbon dioxide gas paida hoti hai ye gas jab podon aur samandaron mein jazab hone se bach jati hai to fizai aludgi ka bais banti hai. Is karah arz mein qudarti wasail karoron barson se makfi halat mein pare hue the, pichli chand sadiyon mein inhein nikalne ke bad kasrat se istamal kia gaya hai.

Global Warming Ke Khatre

Sanati inkalab ke sath hi in Wasail ka be darig istamal aludgi ka bais ban raha hai. Sarmaya dari nizam mein munafa kamane ki khatir insani zindagiyon ko dao par laga dia jata hai. Abi paris mein hone wali confernce mein poland ne tawan se isliye gurez kia hai ke is ke mulk ki sanat ka daromadar koyle ke istamal par hai. Oxygen tamam jandaron ke liye nagzeer hai. Janglat ka safa ya is kami ka bais ban raha hai. Oxygen ke 3 atoms ke milne se ozone gas banti hai ye gas hamari beruni fiza mein zameen se 12 kilometer se 48 kilo meter tak ikhati horahi hai. Ozone ka ye hal hamare sayare ko suraj se ane wali mazar shuwaon se bachata hai. Fizai aludgi ki waja se is bale mein dararain par rahi hein suraj se ane wali ye khatarnak shuwain karah arz ke makino ke liye khatra ka bais banrahi hein. In shuwaon se jaldi amraz aur global warming mein izafa horaha hai. Bijli ki paidawar ke liye tail aur qudarti gas ko jalaya jata hai. Isi tarah tail Saf karne wali rifaiziyon mein fazil mawad aludgi ka bais banta hai. Samandari jahaz samandaron ko aluda kar rahe hein aur hawai jahaz fiza mein aludgi phaila rahe hein. Zarae rasal o rasail ke liye khushki par chalne wali gariyan dhuwan aur shoor chor rahi hein jangain global warming roz afzon izafe ka bais hein.

Tareekh Global Warming History In Urdu

Dusri almi jang hiroshima aur nagasaki ki tabahi par khatam hui america ne nasirf almi dahshat gardi ka muzahira kia, balke atomi aslah ke istamal se atomi tabkari se aludgi ko is had tak barhaya ke barson bad bhi in shahron mein apaij bache paida hote rahe is waqt atomi aslah is qadar ikhata hochuka hai ke is se is chote se kare ko kai bar tabah kia jasakta hai. Atomi plant gair mehfooz hein. Roos mein charnobal aur japan mein foko sheema plant se kharij hone wali tabkari shuwaon ne jo tabahi machai thi is ke asrat aj bhi mehsus kie jarahe hein. Almi taqatain in khatrat ka adrak karen aur is karah arz ko mehfuz maskan banane ke liye ijtamai tag wadod karen. Zaroorat is amar ki hai ke media ke zariye logon ko global warming ke bare aghai di jae. Hum infaradi aur ijtamai tor par shaoori koshish se is masla ko hal karsakte hein. Hakumat pakistan ne mahooliyat ki wazrat banai hai aur soobai satah par bhi idare maujood hein jinhain mosar banane ki ashad zarurat hai. Hum is karah arz ko janat nahin bana sakte to jahanam banne se to rokain.
logoblog

Thanks for reading Global Warming Essay Urdu Global Warming Effects Definition Global Warming Information

No comments:

Post a Comment