Coriander Benefits Urdu Dhaniya Ke Faide Hindi Dhania Leaves For Kidney

  Lal Gulab      

Dhania Benefits Urdu Coriander Benefits Dhaniya Ke Faide

Dhania ki kasht sab se pehle hindustan main shuru hui aur taqriban 2000 saal pehle jari boti ke tor par ye chain daramad ki gai. Barsager ke bawarchi khano main tayar hone wale baishtar salano main jo masala jat istamal kiye jate hain dhania ka ek lazmi juzu hota hai jo iske beej ke safoof ya sabit dano ki surat main istamal hota hai. Salan ko khushbu dar banane ke liye iski sabz patiyan bhi is par charki jati hain. Qadeem yunani bhi dhania ke beej gosht ko mehfooz karne ke liye istamal kia karte the aur misri makbaron main bhi iske asar daryaft hue hain. Cheni dawaon main iski jar se lekar patiyon aur phoolon tak sari chezain istamal ki jati hain. Iske beej ko pees kar jo tail nikala jata hai wo bhi tibi makasid main istamal ki jati hain. Dhania batoor masala yani sukha dhania (sabut dhania), chai, malish ke tail, shampoo aur douche ke tor par istamal kia jasakta hai.

Dhania Ke Faide Urdu - Coriander Leaves: Hara Dhania main dard dor karne wali khoobiyon pai jati hain isliye iske tail ko sardard aur asabi dar Neuraglia main istamal kia jata hai. Tail ki malish se garmi ka ehsas hota hai. Ise joron, pathon ke dard aur sakhti main bhi mutasira hison par malne se aram ata hai. Dhania nizam anhazam ko fal karta hai aur taqatwar banata hai, dast,gas, pait pholne, matli, pait main maror aur bhok barhane ke liye bhi dhania mufid hai. Ye asab ko pur sukon rakhta hai aur afsurdugi dur karta hai. Dhania ka tail doran khoon ko bhi behtar karta hai. Jis ki waja se bawasir aur jism ko fazil pani se nijat dilane main is se istafada kia jasakta hai. Thake hue aur dukhte hue pathon ko aram puhchane ke liye dhania ke tail ke do katre juniper ke tail ke 4 katre kali mirch ke tail ke 4 katre, munka ke beej ke 4 chae ke chamche ki mikdar tail main shamil karke pathon par malish karain. Dhaniya ke beej (coriander seeds) aur patiyan sab Adwiyat main bhi istamal hoti hain.

Dhania plant par phool lagne se pehle tak dhania ki patiyan behad khushbudar hoti hain. Dhania peshab aur pasina lata hai, khoon, plasma aur azlat ko mutharik karta hai. Is main chonke phyto estrogen hormone shamil hota hai is liye ise sanfi khuwaish ko ubharne wala bhi karar dia jata hai. Peshab ki nali ke infection, masane ki sujan, jild par surkh dore, khal jalne, nizam hazam ki kharabiyon maslan gas ki taklif, ulti aur badhazmi main dhania bhi mufid paya gaya hai. Sans ki takalif main bhi dhania akser hai. Hasasiyat illergy aur tap kahi ki alamatain dor karta hai. Dhania khoon saf karta hai jigar ke fasid madon ko kharij karta hai aur jism ko garmi aur bukhar se nijat dilata hai is main wazia sozish khusosiyat pai jati hain is liye arthritis main mufeed hai. Khasre main bhi is se afaka hota hai. Darchini ki tarah dhania ka safof bhi kate hue zakham aur kharash par charak Kar infection se bacha jasakta hai. Dhania ki chae hazme keliye bohat mufeed hai. Is maksad keliye ek chae ke chamche ki mikdar dhania ke beej pees lain ya adha chamcha dhania ka safof ek cup main dalain aur ise kholte pani se bhardain, 5 minute tak ise doba rahne dain aur phir chan kar har khane ke bad din main 3 bar istamal karain. Do sal se chote bachon ko pait ke dard ki colic shikayat main iski nisf mikdar ki chae ehtiyat ke sath pilai jasakti hai.

Ahtiyat

Dhania ki zayada bari khorak istamal karne se gurdon main sozish hosakti hai. Doran hamal tabib ke mashware ke bagair istamal na karain. Sirf dhania hi nahin har kism ki jari boti se tayar shuda tail bachon ki puhnch se dor rakhain.
logoblog

Thanks for reading Coriander Benefits Urdu Dhaniya Ke Faide Hindi Dhania Leaves For Kidney

No comments:

Post a Comment