New Zealand History In Urdu New Zealand Information In Hindi New Zealand Ki Rajdhani

  Lal Gulab      

New Zealand History In Urdu New Zealand Country Information

New Zealand Ki Maloomat: Dunya mein ye woh muqam hai jidhar tamam mulkon se pehle din shuru hota hai isi wajah se yahan sub se pehle new year ka aghaz hota hai jisay naye saal ke naam se jana jata hai dunya ke door daraz ke mumalik se log naya saal shuru karne aur yahan ki zabardast atishbazi ka muzahira dekhna 31 december ki raat ko is mulk ka rukh kartay hain. New Zealand mulk na sirf khubsurat hai balkeh yahan bepanah haseen animals bhi paye jatay hain ye mulk rehne ke lihaz se shandar hai kyoun ke yahan ki mazboot mueshat aur karobar ke wasi mawaqon ke ilawa nokri ke mawaqa bhi zayada hain aur yehi wajah hai ke Asia se logon ki bari tadad Europe ki bajaye ab is mulk ka intikhab kar rahe hain aur kyoun na karain yahan rehne ke liye pur aman mahool, dilkash qudrati jheelain aur samandari nazaray hain jo kisi bhi tarah dunya ke dusre khubsurat muqamat se kam nahin hain.

New Zealand Ki Tarikh

Is mulk ka capital (rajdhani) Wellington hai qaum ki ibtida is talash ki nazar se hoi jo James Cook ke jahaz par thi jisay us ki kamaan ke tehat sciency daryaft ke pehle commision safar par Bartania se rawana kiya gaya tha 7 october 1769 qareeb dopehar 2 bajay James Cook ke jahaz ke aik larkay Nicholas Young ne unchi pahariyan dekhien aur Cook ko bataya, is daryaft par cook ne is jagah ka naam Young Nick rakh diya. 9 october 1769 aur us ke admiyon ne is naye daryaft shuda muqam par qadam rakha jo aaj ka New Zealand kehlata hai. Wahan muqami tor par woh log rehtay thay jinhain nayi dunya ki hawa nahin lagi thi. Cook 2 din apne admiyon ke sath us jagah ghomta raha apne jahaz ke rashan aur pani ke liye.

Wahan us ki mulaqat muqami sardar se hoi lekin khuch ghalat fehmiyon ki bunyad par cook ke admiyon ki janib se usay qatal kar diya gaya aur cook ko rashan ki baghair wahan se jana parra. Ye waqia aik khaleej mein paish aya jis ke baes us ka naam Poverty Bay parra. Is ke baad cook ne apna jahaz daire ki surat mein us zameeni alaqay ke gird ghumaya aur is mulk ka pehla samandari naqsha muratab kiya. 6 mah ki muddat mein banaya gaya tafseeli naqsha aaj bhi mana jata hai aur dunya ke naqshe par New Zealand ko zahir karta hai. Us mulaqat ne New Zealand ki ibtida ki New Zealand aik jazeera mulk hai jis ka darul hukumat hai aur is mulk ki language english hai.
logoblog

Thanks for reading New Zealand History In Urdu New Zealand Information In Hindi New Zealand Ki Rajdhani

No comments:

Post a Comment