Khwab Mein Aag Dekhna Ki Tabeer Fire Aag Spane Mein Lagna

  Lal Gulab      

Khwab Mein Aag Dekhna Aag Lagna Ki Tabeer Kya Hai

Aag baghair dhonwain ke dekhe tou badshah ke qareeb ho ga aur us ke basta kaam pure hon gey aur agar ye dekha keh kisi ne aag mein gira kar jala diya tou badshah us par zulm pare ga lekin jaldi khalasi paye ga aur basharat aur neeki paye ga.

Agar aag ne us ko jalaya nahin tou karahat ke sath safar kare ga aur aag ko bharakta hua dekhna tab se bimari hai aur aag se jism jalta hau ka matlab jalan ke mutabiq us ko ranj o nuqsan pohanche ga aur ghar mein aag lagi parri dekha keh intiha ki bharakti hai magar us ke dil mein dehshat nahin ayi tou mehnat ke sabab beemari aye gi jese sardi, taon abla waghera ki bimari. Aag yani fire se garam tapish pohanchi tou koi shakhs us ki gheebat kare ga.

Khwab main aag ke sholay logon par dalnay ka matlab logon mein adawat aur dushmani hai agar sodagar dekhe ke us ki dukan aur saman ko aag lagi hai tou us ka saman barbad ho ga aur kisi par shafqat na kare ga.

Kisi ke ghar aag lagi tou admi jang aur fitna aur badshah ke zulm mein giraftar ho ga aur aag se kapra jala dekha tou tabeer apnon ke sath larai aur maal ke sabab ghamnak hona hai. Jali hoi cheez dekhay tou auraton ki wajah se kisi ke sath laray ga. Kisi shehar, mehal ya saraye mein aag lagne ka matlab sakht bimari parnay ki nishani hai.

Agar khuch cheezain jali aur khuch bach gayi hain aur khaufnak awaz nahin aati tou larai aur agar sholay roshan nahin hain tou sakht bimari pare gi par aag dhonway ke sath dekhna kamon mein dar aur dehshat hai.

Agar munh se aag nikalti hai tou is ka matlab hai keh jhooti baat aur bohtan lagata hai. Bari lakriyan is se jalti hain tou dushmanon par klamyabi hai. Aag mein roshni zayada dekhay aur nuqsan na dekhe tou atsh roshni ke barabar bazurgi aur maal aur khaweeshon aur farzandon mein se kisi ke haan bacha aye ga keh log us ki tareef karain gey.

Agar na maloom maheenay mein aag dekhe tou bay deeni aur kisi ke kapron ko aah lagi dekhe tou musibat aur khoof paray ga aur khud ko aag par khara dekhna bhi yehi matlab rakhta hai.
logoblog

Thanks for reading Khwab Mein Aag Dekhna Ki Tabeer Fire Aag Spane Mein Lagna

No comments:

Post a Comment