Youtube par mera channel viral kab ho ga kitni videos post karni hon gi
Aap regular videos upload kar sakte hain, lekin unmein quality aur value honi chahiye. Aap apne audience ke feedback par bhi work kar sakte hain aur unke liye helpful videos banane ki koshish kare.
Pakistan mein log kis tarah ki videos dekhtay hain? Aur Kin topics par channel
Pakistan mein log har topic par videos dekhte hain, lekin ye logon age aur un ke interest par depend karta hai. Lekin Pakistan mein sub se zayada dekhi janay wali videos ki categories ye hain:
- Islamic Content: Islamic channel Pakistan mein banana aik achi option hai. Sawab ka sawab aur sath mein aap ka ghar chalanay ke liye amdani ka aik behtareen zariya bhi. Aap apne Islamic channel par Islamic stories, Hadees aur Qurani Ayaat se mutaliq videos bana saktay hain. Is ke ilawa aap Aham Masajid par bhi videos bana saktay hain. Yehi nahin agar aap Urdu ki bajaye English zuban mein apni videos banatay hain tou phir puri dunya ke Musalman aap ki audience ho gi.
- Comedy Aur Entertainment: Funny clips, pranks, aur talk shows Pakistan mein kafi popular hain in par agar achi videos banai jayain tou views bhi ache atay hain. Aur channel ke viral honay ke chances bhi zayada hotay hain.
- Music Videos: Music videos na sirf Pakistan mein balkeh India samait puri dunya mein dekhi jati hain agar aap mein singing ka talent hai tou aap apna musich channel bana kar us par apni videos publish kar ke paise kama saktay hain.
- News Aur Current Events: Politicals se mutaliq khabarain hon ya dunya ki koi bari breaking news is tarah ke news channels bhi Pakistan mein kafi views hasil kartay hain. Aisi news videos bhi hain jo chand ghanton mein kayi million views hasil kar leti hain.
- Cooking Aur Food: Cooking yani food channel par bhi Pakistan mein bohat se log kaam kar rahe hain lekin ye baat wohi hai keh aap jo bhi channel banayain gey us par aap ko time dena ho ga mehnat karni ho gi. Aisa nahin ho sakta ke aap ne subah apna channel banaya aur raat ko aap ke dollar banna shuru ho gaye. Is ke liye aap ko mustaqil mzaji se kaam karna ho ga aur behtareen se behtareen videos banani hon gi chahay kayi maheenay aur saal kyun na lag jayain aap ka channel agar acha content dunya ke liye bana raha hai tou aik din lazmi kamyab ho ga.
Mazeed kuch articles bhi yahin shaya kiye jayain gey aur ye bhi bataya jaye ga keh aik shakhs jisay Youtube ka kuch nahin pata woh kis tarah channel bana kar apne channel ko monetize kar sakta hai. Is bare mein anay wale dinon mein mazeed articles parhiye isi site par.
No comments:
Post a Comment