Aik Football Match Ka Ankhon Dekha Haal Essay Urdu

  Lal Gulab      

Football Match Ka Ankhon Dekha Haal Essay In Urdu: Aik sehatmand dimagh aik sehatmand jism main hota hai aur jism khel kood aur warzish se sehatmand aur tawana rehta hai. Kheel kood bhi aik kisam ki warzish hoti hai jis se jism ki sahi nashunuma hoti hai. aqal aur shaoor main izafa hota hai aur mail milaap bhi barhta hai.

Main ne cricket match bhi dekhay hain aur hockey match bhi lekin yahan main jis match ka ankhon dekha haal sunane ja raha hon woh aik football ka match hai. Ye aik dostana match tha jo hamare school aur don bosco high school ke darmiyan khaila gaya. Ye match mere liye is liye bhi ahmiyat ka hamil tha ke ye hamare school ki ground main khela gaya tha aur hamari football team ki qayadat yani captain mere bare bhai thay. 
Match ka waqt 4 bajay tha waqt se pehle hi ground tamashaiyon se bhara howa tha. Shehar ke mukhtalif schoolon ke talib ilm, khalariyon, waldain, dost, ustad aur mehman khasoosi jo wazir-r-taleem thay is match ko dekhne ke liye jama thay. Theek 4 bajay dono teamain maidan main ayien. Tamashaiyon ne bharpur taliyan baja kar dono teamon ka istaqbal kiya. Intezar ki ghariyan khatam hoyien. Referee ne match shuru hone ki seeti bajai. Jald hi ball khalariyon ke qadmon main dayen se bayain muntaqil hone lagi. Kabhi buland hoti kabhi neechay girti kabhi koi khalari usay kick lagata aur kabhi dusra usay apne paon se aur kabhi apne sar se rokta. Har khalari puri koshish kar raha tha ke woh ball ko goal ke qareeb lay jaye Kheel ke pehle 15 minute shadeed kashmakash main guzre aur koi team bhi kamyabi hasil na kar saki aur isi tarah pehla half khatam ho gaya.

Phir dusra half shuru howa aur khel ki ibtida hi se mukhalif team ne hamari team ke khilaf hamle karna shuru kar diye aur hamari team jarhana andaz main apna difa kar rahi thi. Tamashayon ki taliyan dono khalariyon ke hosle buland kar rahi thien isi doran hamari team ke aik khalari ka hath D ke andar football ko lag gaya jis ki wajah se referee ne dusri team ko penalty kick lagane ki ijazat de di. Joun hi mukhalif team ke khilari ne kick lagayi hamari team ke goal keeper ne usay rook liya. Kheel khatam hone se 5 minute pehle hamari team ke aik khalari ne goal kar diya aur aik goal ki bartari hasil kar li. Khuch hi lamhon ke baad match ka waqt khatam ho gaya aur hamari team ne ye match 1-0 se jeet liya. Match khatam hone ke baad maine apne bhai se is match par tabsara kiya. Ye match hum dono ke liye aik yaadgar match tha.
 
Aaj maine un students ke liye 500 words se zayada ka football match ka ankhon dekha haal par aik mazmoon likha hai. Asan alfaz ka istemal kar ke ye essay likhnay ki koshish ki hai.  Umeed rakhton hon is koshish se imtihaan mein aap ke liye asani paida ho gi. Mazeed bhi kuch topics par essays likhwana chahain tou zaroor bataiye takeh essays ki collection mein aur izafa kiya jaye shukriya.
logoblog

Thanks for reading Aik Football Match Ka Ankhon Dekha Haal Essay Urdu

No comments:

Post a Comment