Neki Kar Dariya Mein Daal Story Urdu Kahani نیکی کر دریا میں ڈال کہانی

  Lal Gulab      
Neki Kar Dariya Mein Daal Story In Urdu

Naiki kar ke bhool jana chahiye ehsan jitana theek nahin ehsan ka sila Allah se milta hai.
 نیکی کر دریا میں ڈال کہانی

Kahani -
 Aik rahzan raat ko musafiron ko loot'ta aur din mein mazdoori karta rozana 2 rotiyan Khuda ke naam darya mein bhi dal ata tha. Woh aik muddat tak yehi karta raha aik dafa aisa bimar para keh us ki halat marnay wali ho chuki thi. Woh alam behoshi mein tha ke us ne khwab mein dekha keh aik shkhs usay dozakh ki janib ishara kar ke keh raha hai keh ye tera maqam hai. Qareeb tha keh woh dozakh mein jhoonk de keh achanak 2 farishtay basurat insan us ke samne aye aur us shakhs se kaha keh ye tou jannati hai chunancheh farishte us ko jannat mein lay gaye wahan aik bazurg ne un farishton se kaha keh tum is ko abhi yahan kyun lay aye.

Ye sunn kar un donon farishton ne us ko dunya mein lay ja kar chhor diya chaltay waqt us se kaha keh hum teri wohi 2 rotiyan hain jo tou har roz Khuda ki rah mein darya mein dala karta tha rahzan jub halat khwab se hosh mein aya tou apne buray amaal se se tauba ki aur jese hi subah hoi us ne hasb e mamool 2 rotiyan darya mein daal dien. Yakayak darya se 200 rupee usay milay rahzan ne shehar mein ilan kiya keh jis ke rupee darya mein gir gaye hon woh mujh se aa kar lay jaye koi aadmi na aya aur dusre din jub woh rotiyan dalne darya par gaya tou kal ki tarah 200 rupee phir usay milay.

Us ne un rupon ko bhi apne paas rakh liya raat ko us ne khwab mein dekha keh aik shakhs us se keh raha hai keh ay Khuda ke bande teri ye 2 rotiyan teri madadgar hoi hain. Khuda ne apne khazana ghaib se tera ye rozeena muqarar kiya hai tou is mein se kuch Khuda ki rah mein sarf kar aur baqi se apna guzara kar. Subah jub us ki aankh khuli tou woh sajda shukar baja laya aur aik aali shan imarat tameer kar ke us ke darwazay par likhwaya keh neki kar darya mein daal.
logoblog

Thanks for reading Neki Kar Dariya Mein Daal Story Urdu Kahani نیکی کر دریا میں ڈال کہانی

No comments:

Post a Comment