Markhor Essay Urdu Information Markhor Price In Pakistan Facts History

  Lal Gulab      

Markhor Essay In Urdu پاکستان کے قومی جانور مارخور پر مضمون

Animal Markhor Price In Pakistan - Aik american shakhs jis ka naam Edward Joseph Hudson hai us ne Pakistan mein markhor ka shikar karne ke liye 61,500 American dollar mein licence hasil kiya.

Markhor Information - Markhor Facts: Pakistan ke qaumi janwar Markhor ke bare mein woh maloomat jo aaj se pehle shayed aap ko maloom na hon.

Markhor jangli bakray ki aik qisam ka charindah hai jo Pakistan mein Gilgit Baltistan, Zila Chitral, Wadi Kailash aur Wadi Hunza samait degar shumali ilaqon ke ilawa wadi neelum ke balai ilaqon mein paya jata hai. Is ke ilawa Markhor bharat, afghanistan aur  uzbekistan ke kuch ilaqon mein bhi paya jata hai. Qudrat aur qudrati wasail ki hifazat ki almi tanzeem IUCN ke mutabiq Markhor ko un janwaron mein shumar kiya jata hai jin ka wajood khatray mein hai. Baligh Markhor tadad mein 2500 se bhi kam hain.

Markhor Naam Ka Matlab - Markhor Animal Name Meaning

Markhor ke naam ka matlab kya hai aeye ye bhi jaan laite hain. Persian zuban mein Mar ke mani hain sanp aur Khor se murad hai khanay wala yani sanp khanay wala janwar. Wese ye aik charinda hai aur sanp nahin kha sakta. Is ki wajah tasmiya shayed is ke bal dar seenghon ki sanp se mushabhat ho sakti hai ya is janwar ka sanpon ko marna. Maqami lok kahaniyon ke mutabiq markhor sanp ko maar kar kha jata hai aisi aur kayi aur kahaniyan bhi is se wabasta hain.

Markhor Meaning In English

Markhor ko english mein Capra falconeri animal kehte hain.

Jasmani Khadokhaal

Markhor ki jismani khadokhal ki baat karain tou markhor ka qad zameen se kandhon tak 65 se 115 cm, lambai 132 se 186 cm aur wazan 32 se 110 kg tak hota hai. Markhor ka rang sayahi mael bhoora hota hai. Nar markhor ki thori, gardan aur tangon par madah ke muqablay zayada lambe baal hote hain. Madah ka rang surkhi mael hota hai jism aur thori ke baal chote hote hain jabkeh gardan par baal nahin hote. Nar aur madah donon ke seeng bal dar hote hain jo sar ke qareeb bilkul sath sath jabkeh uper ki taraf barhte hue alag ho jate hain. Nar ke seeng 160 cm aur madah ke seeng 25 cm tak ho sakte hain. Markhor ke jism ki bu aam ghareelu bakre ke muqable mein bohat tez hoti hai.

Adaat

Markhor ki adaat ki baat karain tou  markhor pahari janwar hai aur 600 se 3600 meter tak ki bulandi par paya ja sakta hai. Ye aam tor par shah baloot, sanoobar aur dafraan ke jhar zadah janglon mein rehte hain. Markhor din mein charne phirne wala janwar hai aur zayada tar subah sawere ya seh pehar ke waqt nazar ata hai. In ki khorak mausam ke sath tabdeel hoti hai. Mausam garma aur bahar mein ye ghas charte hain jabkeh sardiyon mein darakhton ke patay khatay hain. Joray banane ka amal sardiyon mein hota hai aur nar aik dusre ke seenghon mein seengh phansa ke sabqat lay jane ki koshish karte nazar atay hain. Markhor rewar ki shakal mein rehte hain jis ki tadad 9 tak hoti hai aur in ki awazain bakri se milti julti hain.

logoblog

Thanks for reading Markhor Essay Urdu Information Markhor Price In Pakistan Facts History

No comments:

Post a Comment