Coronavirus Essay In Urdu Coronavirus Covid 19 Mazmoon Speech - Coronavirus
کورونا وائرس پر مضمون اردو میں - کورونا وائرس کے اثرات، کورونا وائرس کیا ہے؟
Coronavirus Kya Hai? - (What Is Coronavirus) کورونا وائرس کیا ہے؟
Coronavirus visay jisay aam tor par COVID-19 kaha jata hai aik intihai khatarnak virus hai jo ab aalmi waba ki shakal ikhtyar kar chuka hai. Coronavirus aik aisi bimari hai jo insan ke phephron aur saans ki naliyon ko mutasir karti hai. Aur aik insan se dusre insan mein asani se muntaqil ho sakti hai.
Coronavirus Ki Alamat - (Symptoms Of Coronavirus In Urdu) - کرونا وائرس کی علامت
2020 mein khushk khansi aur bukhar COVID-19 ki alamat thien. In ke ilawa sar dard, jismani thakawat, zukam, galay mein kharash bhi is bimari ki alamat thien. Phir is virus se mutaliq ye pata chala keh baaz suraton mein is ka shikar shakhs songhnay aur chakhnay ki his bhi kho baithta hai. Sar mein dard, gala kharab, behti naak, bukhar, musalsal khansi aur saans lene mein mushkil coronavirus ki amoomi alamat hain. Coronavirus ke asraat 2 se 14 din mein zahir hote hain.
|
coronavirus essay in urdu coronavirus par mazmoon
|
Coronavirus Ki Treekh - (Coronavirus History In Urdu) - کورونا وائرس کی تاریخ
Covid-19
ka sub se pehla case december 2019 mein China ke shehar Wuhan mein
samne aya. Virus ke pheelao ko dekhte hue China ki hukumat ne 23 january
2020 ko Wuhan shehar samait China ke kayi shehron mein lockdown nafiz
kar diya, Dukanain aur marketain band ho gayien, sarkon se gariyan aur
public transport bhi ghaib ho gayi aur log apne gharon tak mehdood ho
kar reh gaye. Lekin isi lockdown ki wajah se cheen ne Wuhan mein
Coronavirus par qabu paa liya aur Wuhan mein 1 bhi corona ka case samne
nahin aya. Yun taqreeban 2 maheenay baad yani 22 march 2020 ko Wuhan se
lockdown khatam karne ka ilan kar diya gaya. Aur ye wohi din thay jub
China mein tou zindagi mamool par arahi thi lekin dunya bhar mein
lockdown kiya ja raha tha.
Coronavirus Ki Tabah Kariyan - کرونا وائرس کی تباہ کاریاں
Coronavirus kitna khatarnak hai is ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke is virus se ab tak dunya mein 50 lakh ke qareeb log apni jaanon se hath dho baithay hain. Is bimari ne sub se zayada shikar America mein kiye jahan ab tak 711,000 log maut ke munh mein ja chukay hain. Jabkeh Brazil mein 6 lakh, India mein 5 lakh, Russia mein 2 lakh, Italy mein 131,000 aur Pakistan mein ab tak 28000 log Corona Virus ki wajah se is dunya ko alwida keh chukay hain.
Coronavirus Se Bachao -(Coronavirus Safety Tips & Precautions In Urdu) - کرونا وائرس کا علاج، حفاظت بچاؤ، احتیاطی تدابیر
Coronavirus se hifazat ya bachne ka sub se behtareen tareeqa sirf ahtyat hai. Logon se na hath milayain aur na hi galay milain. Hathon ko baqaidgi se sabun ke sath kam se kam 20 seconds tak dhoyain. Baghiar dhulay hathon se ankhon, naak ya munh ko na chuien. Hujoom mein janay ki bajaye gharon mein rahain, covid vaccine lagwayain aur mask ka lazmi istemal karain.
Coronavirus Ke Muashi Asraat - (Economic Impact Of Coronavirus) - کرونا وائرس کے معاشی اثرات نقصانات
America mein october 1929 mein aik bare muashi bohran ne janam liya. Isay tarikh mein azeem kasaad bazari (Great Depression) ke naam se yaad kiya jata hai. Is bohran ne maaldar aur ghareeb mumalik ko yaksan tor par apni lapait mein lay liya tha. Lekin is waqia ke taqreeban 100 saal baad dunya ne is se bara muashi bohran dekha jis ki wajah coronavirus hai. Coronavirus se jahan dunya bhar mein sanatain band ho gayien wahin sarmayah karon ki sari jama punji doob gayi, caroron log apni mulazmaton se aarzi ya mustaqil par par hath dho baithay hain. Coronavirus ki waba ne hawabazi ki sanat ke sath sair o sayahat ko bhi buri tarah mutasir kiya hai. Tareekhi o tafreehi maqamat, museum, restaurants aur hotels band hone se bhi in se wabasta afrad berozgar ho gaye. Sirf America mein hi coronavirus ke pehle 4 maheenon mein 50 lakh log berozgar hue thay jabkeh dunya ke baqi mumalik samait Pakistan ke logon ko bhi coronavirus ki wajah se muashi mushkilaat ka bhi samna karna para aur ye silsila ab bhi jari hai.
Corona ki wajah se mamoolat zindagi mein bohat zayada tabdeeliyan ayi hain. Allah Ta'ala hum sub ko is aalmi waba se bohat door aur mehfooz rakhe Aameen.
Is site par corona se mutaliq kayi mazeed mazameen bhi mojood hain jo keh school, collage aur university ke students ke liye hain aap un articles ko bhi isi site par talash kar sakte hain. Coronavirus essay in urdu for class 1,2,3,4,5,6,7,8,9,10th 2nd year in 100, 150, 200, 250 words, 300, 350, 400, 450 words, 500 words, 1000 words.
No comments:
Post a Comment