6 Thing Found On Beach Sahil e Samandar Par Milnay Wali Cheezain Urdu Hindi

  Lal Gulab      

Samandar Ke Kinare Se Milnay Wali Cheezain
Samandar Ke Sahilon Par Milnay Wali Herat Angez Cheezain - Samandar ki lehron ka sahil par ana aur phir wapas samandar mein chalay jana tou sadiyon se jari hai lekin aise kayi waqiat bhi pesh aa chukay hain jub lehrain sahil se wapas samandar mein tou chali gayien lekin jub dobara sahil par ayien tou apne sath aise cheezain lay kar ayain jinhain dekh kar log heran reh gaye. Aaj ke is article mein aap sahil e samandar par milnay wali kuch aisi hi cheezon ke bare mein jaan sakain ge.

1 - Fuel Tank

Ye 20 april 2019 ki baat hai. Bahira Room ke sahil par Ahronheim nami shakhs ko aik purisrar chez dikhai di. Usay aisa laga keh jese koi missile samandar ki lehron ke sath behta hua sahil par aa gaya hai. Us ne foran us ki tasweer banai aur usay twitter par post karte hue sath mein likha.

Aaj mujhe aik missile mila hai jisay samandari lehron ne sahil par phenk diya tha.
Lekin baad mein usay maloom hua keh jisay woh missile samajh raha tha asal mein woh aik jangi jahaz ka fuel tank hai. Baad mein ye baat bhi samne ayi keh sahil tak pohanchne wala fuel tank aik israeli f16 jahaz ka tha jo keh waqie se kuch din pehle samandar par parwaz kar raha tha.

2 - Cigarettes

Agar koi tambako noshi ka shoqeen samandar kinare baith kar samandar ka nazara kar raha ho aur achanak lakhon cigarette samandar se nikal kar sahil par us ke paas aa jayain tou yaqeenan usay na apni ankhon par yaqeen aye ga aur na hi apni kismat par.

2014 mein aik aisa hi waqia england ke is sahil par pesh aya tha jub kayi million cigarette samandar se nikal kar sahil par aa gaye thay. Un ki maliyat 3 million pound thi. Yun England ke ilaqe Dorset ka sahil crorron rupon ke cigarette ke packeton se bhar gaya. Lekin yahan sawal tou ye hai keh itni maliyat ke cigarette samandar se nikal kar is sahil tak pohanche kaise. Tou is sawal ka jawab ye hai keh 14 February 2014 ko denmark ka aik cargo ship france ke qareeb samandar par safar kar raha tha keh achanak mausam kharab ho gaya. Samandar par chalnay wali hawailn mazeed tez ho gayien. Cargo ship par taqreeban 800 ke qareeb containers mojood thay. Jin se samandar ki 30 foot unchi lehrain tez hawaon ke sath takra rahi thien aur bata rahi thien keh samandar kitna taqatwar hai. Containers zayada dair samandari lehron ka muqabla na kar paye aur aik aik kar ke samandar mein girnay lage. Behri jahaz par sawar adhay se zayada containers samandar mein giray thay jin mein se zayada tar container tou foran hi samandar mein doob gaye lekin kuch containers herat angez tor par samandar mein doob na paye aur samandari lehron par safar karte hue England ke sahil par pohanch gaye. Sahil par pohanchene wale tamam cigarette ke packet jama kiye gaye jo baad mein bijli banane ke kaam aye.

Samandar mein kitnay container giray, un se girnay se kitna nuqsan hua is bare mein tab maloom hua jub cargo ship samandar tufan ka muqabla karnay ke baad spain mein Malaga ki bandargah par pohancha. Containers ki ginti ki gayi tou maloom hua keh 520 containers aise thay jo samandar mein giray thay.

3 - Pink Detergent Bottles

Ye january 2014 ke pehle haftay ki baat hai England mein Cornwall ke sahil par woh hua jo pehle kabhi nahin hua tha. Cornwall ke sahil par har taraf pink color ki palastic ki bottalain dikhai dene lagien. Sahil par mojood log hazaron plastic ki bottalain dekh kar heran reh gaye. Kisi ki samajh mein kuch nahin araha tha keh ye plastic ki bottalain sahil par akhir ayien kis tarah. Us waqt kuch logon ka kehna tha keh aik behri jahaz jis ka naam MV Blue hai us ke kuch container samandar mein giray hain ho sakta hai ye bottalain wahin se ayi hon. Kuch ka khayal tha keh ye bottalain us behri jahaz se nahin balkeh kisi aur behri jahaz se samandar mein girien aur us ke baad lehron ke saharay yahan tak pohanch gayien.
In bottalon se samandar makhlooq ko ya sahil par anay wale kisi bache ko nuqsan na pohanche is liye sahil par mojood logon ne apni madad aap hi sahil par bikhri tamam bottalain sahil se hatani shuru kar dien jabkeh kuch log tou aise bhi thay jo un bottalon ko sahil se hatanay ke sath sath sahil ki safai bhi kartay rahe.

4 - Coffee Cans

Ye 8 december 2015 ki baat hai. Chris Sybo nami aik shakhs amreeci riyasat florida mein samandar kinare banay aik hotel mein thehra hua tha. Woh jis hotel mein thehra hua tha us ka naam Doubletree Hotel hai. 8 december ki subah us ne samandar ke sahil par ja kar morning walk karne ka socha. Woh jese hi samandar ke kinare par poancha tou wahan ka manzar dekh kar heran reh gaya. Usay sahil ki rait par seenkron lal aur peelay rang ke coffee ke cans dikhai diye. Jinhain samandar ki lehron ne sahil par phenk diya tha. Chris us din sahil par pohanchne wala woh pehla shakhs tha jisay sahil par coffee ka khazana mila tha. Lekin ye baat us ki samajh se bahir thi keh seenkron coffee cans florida ke sahil par kahan se aye hain. Lihaza us ne is waqie ke bare mein amreeci police ko itla di. Lekin police ke anay se pehle kuch log sahil se kayi coffee cans ko samandar ki taraf se milnay wala tohfa samajh kar le uray.
Is bare mein chris ne amreeci media se baat karte hue bataya.

Main apni beti ki graduation ke silsilay mein florida aya tha us din mausam bohat pyara tha maine socha samandar ki sair hi kar li jaye. Lekin samandar par pohanch kar mujhe seenkron coffee cans dikhai diye. Ye mere liye bari herat ki baat hai... mujhe lagta hai keh kisi behri jahaz se koi container samandar mein gir gaya hai. Aur isi wajah se ye cans sahil tak pohanche hain.

5 - Apples, Rice Cakes And Buckets

Ye december 2019 ki baat hai bartania ke aik sahil par achanak seenkron safaid rang ki plastic ki baltiyan namudar ho gayien yehi nahin samandar ki lehron par tairtay hue kuch saib aur rice cakes bhi sahil par pohanch gaye.
Kuch baltiyan tou lehron se kafi door parri hoi bhi dikhai dien un mein se zayada tar tooti hoien thien. Jis se ye andaza lagaya ja sakta tha keh jub samandar ki lehron ne baltiyon ko samandar se bahir phenka tou us waqt samandar par lehrain had se zayada unchi hon gi. Is bare mein jub ye tehqeeq ki gayi keh ye baltiyan sahil tak pohanchi kese tou ye baat wazeh us gayi keh samandar par us din mausam kharab tha aur samandar par safar karne wale cargo behri jahazon ko apni manzil tak pohanchne mein kafi mushkilaat ka samna karna para.
Hua kuch yun tha keh aik maal bardaar behri jahaz Ireland ke shehar Dublin se Netherland ke shehar Rotterdam ke liye rawana hua. Lekin 8 december ko samandar par mausam kharab hone ki wajah se samandar ki tufani lehron ne behri jahaz se 12 containers ko samandar men gira un mein se 1 container mein ye baltiyan, rice cake aur saib thay. Woh Ireland ki National Organic nami company ka container tha.
Is bare mein National Organic ke numainde ka kehna tha

"Behri jahaz par 12 containers thay un mein se hamara sirf 1 hi container tha. 11 containers jo samandar mein doob gaye woh kis ke thay aur un mein kya tha is bare mein hamain kuch maloom nahin".
Jin dinon ye baltiyan sahil par milien thien un dinon christmas ke din thay is liye yahan ke logon ne mil kar sahil ki safai ki aur yahan se tamam baltiyan hata dien jabkeh National Organic  company ne is waqie par yahan ke logon se mazrat bhi ki.

6 - TV

Samandar ki gehrai mein chupay khazanay chahe woh doobay hue behri jahazon se milnay wale sonay ke sikay hon ya phir woh khazanay qeemti machliyon ki shakil mein hon logon ko samandar se miltay hi rehtay hain lekin baaz auqat tou logon ko khazanon ki talash mein samandar mein jana hi nahin parta samandar khud unhain utha kar sahil par phenk deta hai.

Aisa hi aik waqia north sea mein waqe Netherlands ke aik jazeeray par pesh aya tha. Ye hai woh jazeera. Is ka naam Vlieland hai. 2019 mein is jazeeray par jo waqia pesh aya us se yahan ke rehnay ki mooj ho gayi. Hua kuch yun tha keh 4 january 2019 ki subah is jazeeray ke sahil par samandar se beshumar mukhtalif qisam ki cheezain namudar ho gayien. Un mein jootay, furniture, gariyon ko parts, kapray, make up ka saman aur kayi qeemti cheezain bhi shamil thien jese keh flat screen television sets.

Yani us din samandar ne yahan ke bashindon se khush ho kar sahil par aik mini bazar lagaya tha keh log bazaron ki bajaye sahil par aa kar apni pasand ki cheezain lay jayain aur woh bhi free. Jazeeray par rehnay wale logon ne bhi aisa hi kiya. Kisi ne apni pasand ke dheer saray jutay jama kar liye, koi apne ghar ke liye furniture lay gaya tou koi muft ka tv hasil karne mein kamyab raha. Jisay koi chez pasand na ayi woh sahil par mojood container mein ja kar apni pasand ki cheezain talash karta raha. Sahil tak anay wale kuch tv tou toot chukay thay jabkeh kuch tv jo tootay hue dikhai nahin de rahe thay unhain samandar ki lehron ne bhigo rakha tha. Woh log jo sahil se tv utha kar apne ghar lay gaye thay un mein se aik shakhs ka kehna tha keh woh kuch din baad tv chala kar dekhay ga ho sakta hai keh usay milnay wala tv bilkul naye tv ki tarah kaam kare. Sahil par kuch log aise bhi thay jo aise jootay bhi utha kar apne ghar lay ja rahe thay jo un ke size ke nahin thay.

Waqie ki itla miltay hi fauj apni gariyon aur truckon ke sath wahan pohanch gayi lekin tab tak kafi dair ho chuki thi kyun keh log apni apni pasand ki cheezain sahil se utha kar apne ghar lay ja chukay thay lekin is ke bawajood.

Container ke sahil par mojood hone se ye tou maloom ho gaya keh ye container kisi behri jahaz se gir kar samandar ki lehron par jhoomta hua yahan tak aya jis se ye sari cheezain sahil par bikhar gayein lekin ye container gira kis behri jahaz se tha tou is ki tafseel kuch yun hai keh dunya ke sub se bare maal bardaar behri jahazon mein se aik behri jahaz jis ka naam MSC Zoe hai ye behri jahaz gehray samandar par safar karte hue apni manzil ki janib bharh raha tha. Is cargo ship ki manzil Germany ka shehar Bremerhaven tha. Lekin manzil par pohanchne se pehle hi taqatwar samandari lehron se behri jahaz se 270 containers ko utha kar samandar ke hawalay kar diya yun ye sub cheezain is sahil tak pohanch gayien.

logoblog

Thanks for reading 6 Thing Found On Beach Sahil e Samandar Par Milnay Wali Cheezain Urdu Hindi

No comments:

Post a Comment