Snake Island In Africa On Lake Victoria |
Is chote se jazeeray par insanon se zayada saanp rehtay hain. Yahan 1000 ke zehreelay cobra saanp paye jatay hain. Cobra saanpon ke ilawa yahan 1000 ke hi qareeb kayi dusri iqsam ke saanp bhi paye jatay hain aur woh bhi intihai zehreelay hain. Kul mila kar is jazeeray par 2000 se zayada saanp paye jatay hain jabkeh yahan insanon ki abadi sirf 100 hai.
Is jazeeray ki aik herat angez baat ye hai keh yahan jitnay bhi log rehtay hain woh sub mard yani is jazeeray par aik bhi khatoon nahin rehti. Yahan kisi khatoon ka rehna tou door ki baat hai unhain tou is jazeeray par anay ki ijazat bhi nahin hai. Is jazeeray par aur bhi kayi tarah ki pabandiyan hai jese keh yahan darakhton ko katnay ki ijazat nahin hai, yahan par rehna wale kisi shakhs ko ye ijazat bhi nahin keh woh kisi parinde ko pakray ya un ke andon ko nuqsan pohanchaye.
Is jazeeray par rehnay walon ka rozi kamanay ka zariya machliyan pakarna hai jinhain qareebi jazeeron samait Uganda ke kayi shehron mein baicha jata hai. Yahan rehnay wale kayi logon ne shadi bhi kar rakhi hai lekin kyun keh is jazeeray par koi khatoon qadam bhi nahin rakh sakti is liye yahan ke rehaishiyon ke biwi bache is jazeeray ke qareeb hi mulk Uganda ke ilaqon mein rehtay hai. Yahan rehnay wale aik mahi geer jis ka naam Enoke Natalay hai. Woh yahan ki zindagi ke bare mein batatay hue kehta hai keh woh jub 10 - 15 din baad machliyan baichnay is jazeeray se bahir jata hai tou woh apne bachon aur biwi se mil pata hai.
Is jazeeray par rehnay wala aik 97 salah burha shkahs jin ka naam Emmanuel hai woh is jazeeray par apni zindagi aur sanpon ke bare mein baat kartay hue batatay hain.
Main aaj se 61 saal pehle zindagi jeenay is jazeeray par aya tha... ab tou yahan saanpon ke sath renay ki adat ho gayi hai lekin mujhe yaad hai aik din jub main soya hua tha woh mujhe apna takiya hilta hua mehsoos hua. Maine foran takiya hata kar dekha tou us ke nechay aik bara kalay rang ka cobra saanp tha. Maine sukoon se sonay ke liye usay apne ghar se bahir nikala tou woh aik baar phir se ghar mein dakhil hua. Maine dusri baar bhi usay ghar se bahir nikala magar shayed woh mere sath rehna chahta tha is lekin teesri baar bhi maine usay ghar se bahir nikaalnay ki koshish ki tou us cobra saanp ko mujhe par ghusa aa gaya aur us ne mujhe das liya. Us waqt jazeeray par rehnay walon ne foran meri madad ko pohanch kar meri jaan bachai thi.Aik zamana tha jub Emmanuel saanpon ko apne ghar se bahir nikaal diya karte thay aur aaj un ka kehna hai keh unhain insanon se zayada ab parindon aur saanpon ke sath waqt guzarna acha lagta hai.
Aaj is jazeeray par mardon ke sath sath saanp bhi azadi se ghoomtay phirtay dikhai detay hain.
No comments:
Post a Comment