Parents Essay In Urdu Parents Respect Maa Baap Ka Ahtram Mazmoon

  Lal Gulab      
Parents Essay In Urdu Parents Respect Maa Baap Ka Ahtram Mazmoon- Waldain dar haqeeqat insan ke dunya mein anay ka zaria hote hein insan ka wajood walain ke rahen minat hota hai isi liye Allah Talah ne bhi kai makamat par waldain ke sath husan salook ka hukum diya jab tumhare maa baap mein se koi aik ya dono burhape ko puhnch jain to in ko uf tak mat kaho. Jub maa baap burhay ho jatay hain aur un ki tabiyat mein bekarari o be chaini paida ho jati hai tou waldain ko is kafiyat mein aulad ki taraf se ache rawaiye ki zayada zaroorat hoti hai waldain ka aik aisa rishta hai is jaisa rishta shayad dunya mein na ho jab bacha is dunya mein ata hai to waldain apni nend ki parwah kie bagair apne lakht e jigar ki nend ki parwah karte hein apni bemari ki parwah kie bagair raat ke andhere mein bhi apne lakht e jigar ko utha kar ise sulane ki koshish karte hein jo bhi ho apne lakht e jigar ko har tarah ka aram dete hein.
Waldain Allah Ta'ala ki azeem naimat hein is naimat ka takaza ye hai ke in ki qadar ki jae aur in ke sath husun sulook se paish aya jae yahan par bari gor talab bat ye hai ke maa ke bad wo baap hi ki shaksiyat hai jo aulad ki hifazat o parwarish mein asar andaz hoti hai. Is ko taleem o tarbiyat dene mein aur is ko har tarah se nikharne mein baap ka bara hath hota hai is ki pai pai ki kamai ka beshtar hisa aulad ke liye sarf hota hai isi tarah aulad ke ghum aur in ki khushi se khushi ko hakiki maina mein mehsus baap karta hai yahan par bari gor talab bat hai ke maa ke bad baap bhi apni zindagi ka anmol hisa aulad ki nazar kar deta hai.

Allah hamein apne waldain ki farmabadari karne wala banae aur hamari aulad ko bhi. Allah Rab ul Izzat se dua hai ke hamein sahi maino mein waldain ki khidmat ki taufeeq naseeb farma aur in ka saya hamesha hamare saron par qaim o daim rakhe Aameen.
logoblog

Thanks for reading Parents Essay In Urdu Parents Respect Maa Baap Ka Ahtram Mazmoon

No comments:

Post a Comment