Visa On Arrival For Pakistan Passport Visa On Arrival Countries List

  Lal Gulab      
Visa On Arrival For Pakistan Passport Visa On Arrival Countries List 2020 - 2021
Kuch din pehle maine aap ke liye 2 aisay articles likhe thay jin mein maine ye bataya tha keh woh kon se mulk hain jahan pakistani bina visa ke ja sakte hain yani visa free countries aur aaj ka ye article aap ko ye maloomat faraham kare ga keh woh kon se mulk hain jahan Pakistani pohanch kar visa hasil kar sakte hain yani visa on arrival.

Kisi Mulk Mein Pohanch Kar Visa
Note: Ye list is waqt updated hai yani 2020 ki hai aur har saal is list ko update kiya jata hai yani 2021, 2022 aur 2023 mein bhi visa on arrival for Pakistan ki list ki bhi In Sha Allah aap ko yahan update mil jaye gi kyun ke har saal kuch mulk add hotay hain aur kuch is list se nikal jatay hain is liye is website ke readers ki asani ke liye aisa kiya jata hai.

Agar tou aap ke paas Pakistani passport hai tou buri khabar ye hai keh is saal 2019 mein Pakistani passport dunya ka dusra kamzoor tareen passport tha magar ab ye 2020 mein dunya ka teesra kamzoor tareen passport hai aur dunya ke taqatwar passports rakhne wale mulk kon se hain yani woh mulk jo bina visa zayada se zayada mulkon mein ja sakte hain is bare mein bhi aik video aap jald dekh sakain ge par abhi baat kar laite hain un mulkon ki jahan pohanchne par Pakistani visa hasil kar sakte hain.

In Mumalik Mein Janay Se Pehle Ye Parhain
Is waqt dunya mein kafi mulk aise hain jahan pohanch kar Pakistani citizens ko visa jari kar diya jata hai. Pakistani in mumalik mein sayahati maqasid ke liye ja sakte hain magar in mein se bohat se mulk aise hain jahan pohanch kar ye sabit karna hota hai ke us mulk mein theharne ke liye aur apne akhrajat bardasht karne ke liye raqam mojood ho aur wapis janay ke liye bhi ticket confirm ho is ke ilawa aik masla ye bhi ho sakta hai keh airport par Pakistan ke immigration wale in mumalik mein janay se bhi baaz auqat insan ko rok detay hain aur jahaz se saman off load kar detay hain. Aik aur baat ka bhi khayal rahe keh in mumalik mein aap sirf tab hi ja sakte hain jub aap ki direct flight ho.
  • Cape Verde
Ye mulk maghribi africa ka aik mulk hai is ke darul hukumat ka naam paraiya hai. Agar aap is mulk mein sair o tafreh ke liye ana chahain tou aap ko yahan pohanchne par 25 euro fees ada karni parti hai jis ke baad visa jari kar diya jata hai.
  • Comoros
Ye mulk behr e hind mein waqe aik jazeera numa mulk hai. Yahan pohanchne par 100 dollar de kar zayada se zayada 2 hafton tak ka visa hasil kiya ja sakta hai aur wapis janay ke liye jahaz ki ticket bhi lazmi honi chahiye. Yahan pohanchne se lay kar agle 6 mahinay tak passport valid hona lazmi hai is ke ilawa passport size 2 tasweerain sath rakhna bhi lazmi hai.
  • Djibouti
Ye mashriqi africa ka aik mulk hai jis ki sarhadain ethopia aur somalia se milti hain agar koi pakistani is mulk mein ana chahay tou usay yahan pohanchne par 60 dollar ada karne partay hain jis ke baad usay is mulk mein 1 mahinay tak qayam karne ki ijazat mil jati hai.
  • Guinea-Bissau
Ye maghribi africa ka aik mulk hai ye mulk apne national parks aur jangli hayat ki wajah se bhi jana jata hai jo pakistaniyon ko visa on arrival ki sahoolat deta hai.
  • Madagascar
Ye bhi aik africi mulk hai agar aap yahan jana chahain tou yahan pohanchne par aap ko 75 dollar ada karne hotay hain jis ke baad is africi mulk mein 90 din tak sair o sayahat ki ja sakti hai.
  • Maldives
Ye mulk sri lanka ke qareeb waqe hai aur ye jannay ke baad ke ye mulk dunya ke khubsurat mumalik mein se aik hai shayed hi koi sayahat ka shauqeen maldeep ki sair na karna chahta ho. Is mulk mein na sirf Pakistaniyon ko pohanchne par 30 din ka visa jari kiya jata hai balkeh ye sahoolat indians ke liye bhi maldeep deta hai. Agar aap pakistan se is khubsurat jazeeron wale mulk ka rukh karna chahain aur aap ke paas yahan hotel ki booking nahin hai tou aap ko yahan theharne ke liye kam se kam 30 dollar har din ke hisab se apne sath rakhne hon ge aur ye 30 dollar per person hain. Yahan ke chamaktay hue sahil aur samandar ka neela aur sabz pani insan ko apni janib matwaja karta hai.
  • Mauritania
Woh mulk jo pakistaniyon ko pohanchne par visa jari karte hain un mein zayada tar africi mulk hain aur Mauritania bhi aik africi mulk hai par aik Islami mulk hai. Yahan Arbi aur french zubanain boli jati hain. Ye bhi un mulkon mein shamil hai jahan pohanch kar aap visa hasil kar laite hain.
  • Mozambique

Tanzania, Zimbabwe aur Janoobi Africa ke qareeb waqe ye mulk bhi aik africi mulk hai. Is africi mulk mein pohanchne par 66 dollars denay ke baad 30 din ke liye visa hasil kar ke is mulk mein azadana ghooma phira ja sakta hai.
  • Nepal

Nepal janoobia asia ka aik mulk hai yahan pahar hi pahar hain is mulk ke hamsaya mumalik mein china aur india hain. Ye mulk saiyahon ke pasandidah mumalik mein se aik hai aur kyun na ho yahan dunya ka sub se bara pahar mount everest bhi hai jisay dekhnay aur sar karne dunya bhar se log nepal atay hain. Achi baat ye hai keh yahan pohanchne par pakistani nepal ka visa hasil kar sakte hain.
  • Palau

Palau behr ul kahil mein waqe aik jazeeray par choota sa mulk hai jis ki sub se bari riyasat ka naam Koror hai. Is mulk ka raqba 459 muraba km hai aur yahan ki sarkari zuban angreezi hai. Ye mulk bhi pakistaniyon ko pohanchne par visa jari karta hai.
  • Samoa
Aksar log is mulk ke bare mein nahin jantay par janoobi behr ul kahil mein waqe ye mulk intihai khubsurat hai yahan bare dilkash sahil bhi hain. Yahan pohanch kar 60 din ka visa hasil kiya ja sakta hai.
  • Seychelles
Jo dunya ki sair ke shauqeen hain ye mulk un hi ke liye hai kyun ke yahan bohat khubsurat qudrati manazir saiyahon ko hairan kar detay hain. Yahan pohanchne par 150 dollar ada karne ke baad 30 din ka visa mil jata hai.
  • Tanzania
Tanzania bar e azam africa ka aik mulk hai is ke hamsaya mumalik mein kenya, uganda aur malawi jese mulk hai ye bhi un mulkon mein se hai jahan pohanchne par visa mil jata hai.
  • Togo
Togo bhi africa mein waqe aik mulk hai is ke maghrib mein ghana waqe hai. Yahan pohanchne par 7 din ka visa mil jata hai par is ke liye aap ke paas yellow fever vaccination certificate aur 3 passport size photographs honi lazmi hain.
  • Tuvalu
Tuvalo aik azad mulk hai jo australia se kuch faslay par waqe hai is ke qareeb aik aur mulk bhi hai jis ka naam fiji hai. Agar aap australia ke qareeb is mulk mein sair ke liye ana chahain tou aap ko yahan pohanch kar 1 maheenay ka visa mil jaye ga.
  • Uganda
Jese ke ab aap jaan chukay hain ke bohat se africi mulk pakistaniyon ko visa on arrival ki sahoolat faraham karte hain isi tarah aik aur mulk uganda bhi mashriqi africa ka aik mulk hai par ye dunya ke ghareeb mulkon mein shumar hota hai aur ye mulk bhi aap ko yahan pohanch janay par visa faraham kar deta hai.

Pakistaniyon ke liye visa on arrival wale mumalik ke bare mein ye maloomat kafi tehqeeq ke baad paish ki gayi hain aur kyun keh har mulk apne qawaneen par nazar sani karta rehta hai is liye zaroori nahin ke aaj jo mulk pakistaniyon ko visa on arrival ki sahoolat de rahe hain ye kal bhi aisa hi karain is liye in mumalik mein janay se pehle is ke bare mein current maloomat zaroor hasil karain takeh aap kisi bhi mushkil se bach sakain.
logoblog

Thanks for reading Visa On Arrival For Pakistan Passport Visa On Arrival Countries List

No comments:

Post a Comment