Teeth Pain Treatment In Urdu Gums Bleeding Swollen Gums Relief Hindi

  Lal Gulab      
Teeth Pain Treatment In Urdu Gums Bleeding Swollen Gums Relief Hindi Home Remedies

Teeth Pain hai masoorhay agar sooj jayain ya pak jayain, un mein dard ho aur un se khoon nikalnay lage tou gum swelling (Gingivitis) ki ilamatain hain. Baaz auqat ye infection ki wajah se hoti hai taham aam tor par masoorhon ke gird aur us ke neechay khanay ke zarat ke jama hone se gum swelling hoti hai. Agar masoorhon ki sozish ka ilaj na kiya jaye tou Gingivitis se mutasira dant dheela ho kar hilnay lagta hai, phir toot jata hai, isay Pepriodontitis kehte hain. Is ki wajah ye hoti hai gums ki woh jhili jo teeth ko apni garift mein rakhti hai, usay nuqsan pohanch chuka hota hai aur ye kamzor ho jati hai.

Ye bohat aam problem hai, gum swelling jism mein Vitamin C ki kami ki wajah se hone wali disease Scurvy ki wajah se bhi hoti hai aur zayabetees bhi is ka sabab ho sakta hai. Gums bleeding aur us ki sozish se mehfooz rehne ka sub se asaan tareeqa tou ye hai ke teeth ki safai par puri tawaja di jaye. Woh diets zayada istemal ki jayain jin mein Vitamin C hota hai. 10 saal ki umar mein 15% American population is mein mubtala hoti hai jab ke 50 years ki age ko pohanchne tak 50% masoorhon ki sozish ka shikar ho chuke hote hain. Ab khoon ke aik test ke zariye gum swelling ki bimari ka pehle se suragh lagaya ja sakta hai. Ye test ilamaton ke aghaz se 6 months pehle is se khabardar kar deta hai.

Tooth Pain Symptoms: Masoorhon ki sozish mein gum naram ho jate hain, jub bhi danton ko brush karain, khoon rasnay lagta hai. Is sozish se baaz auqat kanon mein bhi dard mehsoos hota hai.

Dant Ka Ijal: Gum Treatment: Aru ke seed ko water mein boil karain aur us mein neem garam pani ko din mein 3 times munh mein bhar kar danton ke ird gird lagayain. Aru ke beej mein munh ka infection khatam karne ki khoobi payi jati hai. Jis tree se khai jane wali goond nikali jati hai us ka naam Myrrh hai, us ki patiyan khoon rokne wali hoti hain. Usay boil kar ke us ke pani se kuli karna gum swelling ke ilaj mein mufeed hai.

Homeopathic Gum Remedies: Homeopathic mein masoorhon ki sozish ka ilaj marquis se kiya jata hai.

Vitamins Aur Minerals: Danton aur masoorhon ko sehat mand rakhne ke liye har 6 months ke baad kam az kam dentist se zaroor muaeena karwana chahiye. Teeths ko dhagey ki madad se floss karna bhi bohat zaroori hai. Gulab ka phool jub jhar jata hai tou gulab ka baqi reh janay wala hisa bhi is takleef ke khatme ke liye istimal kiya ja sakta hai kyoun ke Rose Hip bhi Vitamin C ke hasool ka behtareen zariya hai.
logoblog

Thanks for reading Teeth Pain Treatment In Urdu Gums Bleeding Swollen Gums Relief Hindi

No comments:

Post a Comment