Hiran Minar History Urdu Hiran Minar Story Urdu Documentary Hiran Minar

  Lal Gulab      
Hiran Minar History Urdu Hiran Minar Story Urdu Documentary Hiran Minar


Hiran Minar Ki Tareekh: Fan e tameer mein mughalon ne kahin apna andaz apnaya aur kahin us mein maqami rang ki us khubsurati se ameezish ki keh us dilkash imtizaj se taj mahal, shahi qila, badshahi masjid, maqbarah jahangir, shalamar bagh, lal qila aur hiran minar jese kayi nadar shahkar wujood mein aye.


Aaj mughalon ka door e hukumat khatam ho chuka hai lekin un ki tameer karda tareeki aur bay misal imaraton ne jadeed imaraton ka dat kar muqabla kiya aur woh aaj bhi har khas o aam se dad tehseen wasool kar rahi hain. Khas tor par hiran minar puri dunya mein apni nueeyat ki akeeli misal hai. Bartanwi door e hukumat mein angreez saiyahon aur hukmaranon ne hiran minar ki dil khool kar tareef ki aur isay insan aur janwar dosti o pyar ka lazawal namoona qarar diya. Hiran minar pakistan ke shehar shiekhupura mein waqe hai is tareekhi shehar shiekhupura ki bunyad azeem mughal shehanshah Jahangir ne rakhi. Jahangir ki maa usay pyar se sheekhu baba kehti thi aur is munasbat se is ka naam shiekhupura para.


Hiran Minar Ki Kahani


Shehanshah Jahangir ke door e hukumat mein shiekhupura ko shahi shikar gah ki hesiyat hasil thi kyun keh ye ilaqa bohat sar sabz o shadab tha aur shiekhupura ke wasi o areez aur ghanay jungle mein mukhtalif iqsam ke janwar bakasrat milte thay. Shehanshah Jahangir ki dawat par bari bari door se maharajay aur nawab shikar kheelnay ke liye shiekhupura atay thay. Hiran Minar ka ye ilaqa kabhi jangli ghas aur ghanay janglaat se ghira hua tha ye mughal badhah jahangir ki shikar gah thi. Kehte hain keh jahangir badshah ke paas aik hans raj nami hiran tha jo badshah ko bohat pasand tha woh hiran mar gaya tou jahangir ne us ki qabar par aik minar tameer karwaya jis ka naam hiran minar par gaya. Is baat ka hawala jahangir ki apni khud nosht Tuzk e Jahangiri mein bhi milta hai jis mein jahangir likhta hai:
" Zil Hajj mangal ke roz jahangirpura mein parao dala jo shikar kheelne ke liye mera pasandida maqam tha. Us jagah hans raj nami aik hiran ki qabar aur minar hai jo mere hukam se tameer kiya gaya hai. Ye hiran sadhaye hue hirnon ki larai aur sehrai hirnon ke shikar mein madad dene mein bay misal tha."
1606 mein shehanshah jahangir ne us shikar gah mein aik hiran pakra aur usay shahi janwaron ke sath shamil karne ka hukam diya. Ye hiran bohat masoom aur khubsurat tha. Jahangir usay pyar se hansraj kehta tha. Hans raj ne chand hi hafton mein jangli khaslatain chhor kar paltu janwaron ki si adatain apna lien aur jahangir ki aankh ka tara ban gaya. 1607 mein hans raj bimari ki wajah se mar gaya us ki maut ka jahangir ko bohat dukh hua aur woh us ke gham mein kayi din udas raha.


1608 mein shehanshah jahangir ne hans raj ki qabar par aik buland o bala minar tameer karne ka hukam diya. Jahangir ke mahir tameerat ne sare kaam mein khud dilchaspi li aur qabar ka pathar bhi us ke hukam se hiran ki shakal ka banwaya gaya.


Hiran Minar Ki Maloomat


Ye emarat jo sar sabz o shadab jungle mein waqe hai charon taraf se aik talab mein ghiri hoi hai. Darasal mughliya shehanshah ne shikar kheelne ke liye banwai thi ye 3 manzila imarat jo darmiyan mein waqe hai aur jis tak pohanchne ke liye aik rasta banaya gaya hai shahi aram gah thi jis mein shehanshah jahangir aur malika noor jahan aram kiya karte thay. Khas tor par chandni raton mein yahan ka nazara bara hi dilkash hota tha. Aram gah ki bulandi 90 foot hai aur oper tak pohanchne ke liye taqreeban 100 seerrihan charhni parti thien. Minar ka qatar 33 foot jabkeh chooti par 23 foot ke qareeb hai. Minar ke andar dakhil hone ka rasta mashriq ki janib se hai aur androoni seerhiyon ki tadad 100 ke qareeb hai. Andar se ghoomti hoi bal khati hoi seerhiyan is ki chhat par ja nikalti hain seerhiyan choonay ke pathar se tameer shuda hain. Yahan aik barah dari bhi hai talab se barah dari tak aik pukhta rasta jata hai. barah dari mughliya tameer ka behtareen shahkar hai is mein arhay tirchay darwazay aur roshan dan hain.


Jub ye khubsurat minar mukammal hua tou us waqt is ki unchai 130 foot hai. Talaab ka pani badalne ke liye aik 450 foot lamba nala banaya gaya tha. Morkheen ke mutabiq 30 km door waqe darya e ravi se pani is nalay ke zariye talab tak laya jata tha lekin ab is nazam ke asaar madoom ho chukay hain.


Minar ki tameer ke 13 saal baad mughal shehanshah shah jahan ke hukam se 1638 mein talab aur minar mein baaz aham tabdeeliyan ki gayien jis par us waqt 80,000 rupay ke qareeb lagat ayi thi. Shah Jahan ne hiran minar ki khubsurati mein 4 chand lagaye aur shiekhupura mein aik qila bhi banwaya.


Hiran minar ke janoobi janib 1958 mein zila counsil ke tawan se sayahon ke liye rest house tameer kiya gaya jo 1962 mein paya takmeel ko pohancha. Hiran minar mughliya tarz e tameer ka aik ala namoona hone ke sath sair o tafreh aur sayahat ke shaiqeen ke liye mukammal tafreh gah hai. Hiran minar aik azeem yaadgar aur mughliya fan e tameer ka shahkar hai

Hiran Minar Ki Video
logoblog

Thanks for reading Hiran Minar History Urdu Hiran Minar Story Urdu Documentary Hiran Minar

No comments:

Post a Comment