Yurt Urdu Information Yurt History Hindi Meaning Yurt Ki Tareekh Camp Tent Documentary

  Lal Gulab      
Wasti Asia Ke Yurt In Urdu
Yurt Meaning In Urdu Hindi Yurt Kise Kehte Hain Yurt Ka Matlab Kya Hai
Garam rakhay mausam e sarma mein, sard rakhe mausam e garma mein, shakal is ki gol, banawat is ki anmool ye hai wasti asia ke khana badooshon ka ghar jisay Yurt kehte hain. Aik zamanay mein Yurt Mongolia ke maidanon aur Kazakhstan ke pahari silsilon se lay kar Kyrgyzstan ki wadiyon tak dikhai detay thay.
Yurt aik gol sa khayma hai jis ki chhat aur deewarain bhair ki oon ke namdon se bani hoti hain. Is ke andar ki deewaron ko chataiyon se sajaya jata hai. Khana badooshon ka ye ghar bhari nahin hota aur isay khara karna asaan hota hai. Is ke bawajood ye bohat paidaar hota hai aur sardi aur garmi ke mausam mein araam deh bhi. Kyrgyzstani log Yurt ko "bhoora ghar" kehte hain, Kazakhstan mein isay "namday wala ghar" kaha jata hai jabkeh mongolia mein log isay "Geer" kehte hain jis ka matlab ghar hai.
Yurt ka rang saleeti, bhura ya phir safed hota hai. Kyrgyzstan aur Kazakhstan mein Yurt par rang barangi oon se aisay design banaye jatay hain jo dekhne mein bare pyare lagte hain. Yurt andar se khubsurat chadaron se saja hota hai. Purane zamane mein in se aik khandan ki saakh aur maali hesiyat ka andaza lagaya jata tha.

How To Make Yurt In Urdu
Yurt Tent Kaise Banate Hain
Yurt ki chhat mein aik bara sa lakri ka pahiya lagaya jata hai jis se un dandon ko jora jata hai jo chhat ko sahara detay hain. Is ki chhat gumbad numa hota hai aur is mein gol surakh hota hai. Jub mausam kharab hota hai tou is sorakh ko kapray se dhak diya jata hai. Us kapray ko hataya bhi ja sakta hai takeh taza hawa andar aa sakay. Jub ye kapra hata hota hai tou raat ke waqt Yurt mein baithay baithay aasman ki kali chadar par jagmag karte sitare nazar atay hain.

Yurt Hisory In Urdu Yurt Ki Tareekh
Jub 1917 mein communist inqelaab hua tou us ka khana badooshon ki zindagi par bhi asar parra. Russian hukumat ne wasti asia mein jagah jagah school, hospital aur roads tameer karwayien, Is tarah qasbon aur shehron mein abadi barhne lagi.

Waqt guzarne ke sath sath bohat se khana badoosh bhi in qasbon aur shehron mein abad ho gaye. Kya is ka matlab hai keh Yurt mein rehne ka riwaj ab khatam ho gaya hi? g nahin aaj bhi jub charwahay garmiyon mein maweeshiyon ko maidanon mein charanay jatay hain tou aksar woh Yurt mein rehte hain.

Kyrgyzstan Ke Rehaishi Se Yurt Ke Bare Mein Guftugu
Aik Kyrgyzstan ke 40 saal ke aadmi se Yurt ke bare mein baat ki tou us ne kaha "Jub mein naujawan tha tou main apne walid ke sath mil kar maweeshiyon ki galla bani kiya karta tha. July ke maheenay tak barf pighal jati thi aur pahari rastay khul jatay thay. Us waqt hum maweeshiyon ko charanay ke liye unhain sar sabz pahari maidanon mein lay jatay thay. Wahan pohanch kar hum kisi aisi nadi ke paas Yurt khra karte thay jahan hamain khana pakane aur kapre dhoonay ke liye kasrat se pani milay. October ke shuru mein hum wapas chalay jatay thay kyun keh tab sardi shuru ho jati thi.

logoblog

Thanks for reading Yurt Urdu Information Yurt History Hindi Meaning Yurt Ki Tareekh Camp Tent Documentary

No comments:

Post a Comment