Website Banane Ka Tarika Website Kaise Banti Hai Urdu Hindi How To Make Website Kaise Banaye

  Lal Gulab      
Website Banane Ka Tarika In Urdu

Website Kaise Banaye In Hindi
Aaj puri dunya mein lakhon ke hisab se websites mojood hain website kyun banai jaye ye aik aham sawal hai. Har website mukhtalif zarooriyat ko soch kar banai jati hai is mein se zayada tar website paise kamane ke liye banai jati hain.

Agar aap koi karobar kar rahe hain ya phir koi service faraham kar rahe hain aur chahte hain keh zayada se zayada logon tak apne karobar ki maloomat faraham ki jaye jabkeh karobar ko kamyab banane mein aaj kal website bari zabardast chez hai.
Types Of Websites
Websites ki 2 types hain aik static website aur dusri dynamic website.
  1. Static Website
    Jis website ka deta tamam visitors yani woh log jo website par atay hain ke liye aik jesa ho woh website static website kehlati hai. Aam tor par collage waghera ki websites is qisam ki hoti hain is ke ilawa akhbar ki website bhi static hoti hai.

  2. Dynamic Website In Urdu
    Aisi website jis ka data har visitor ke liye mukhtalif ho usay dynamic website kaha jata hai. Is ki sub se bari misal facebook hai. Facebook har account ko us ke mutabiq cheezain dikhati hai is ke ilawa aap ke bank ki website bhi dynamic hoti hai jo har visitor ko us ke bank account ke mutabiq data dikhati hai.

Social Media Ke Page Ya Free Website Kyun Nahin
Aksar log sawal karte hain keh social media ya facebook pages ya free blog bhi tou website ki hi tarah hain tou kyun na un ko website ki jagah istemal kiya jaye.
Social media pages ki aik mushkil ye hai keh aap ke paas us ki bohat si cheezon ka control nahin hota. Is ke ilawa aap ka data ya pages kisi bhi wajah se delete kiya ja sakta hai. Jabkeh website se aap ke data ke mayar ke bare mein aam khayal ko taqwiyat milay gi.
Kyun keh log samajh jayain ge keh agar aap website par paise laga rahe hain tou zaroor aap ke data mein khuch khas baat tou zaroor hai. Apni zati website se aap apne visitors ki pasand ka pata laga sakte hain keh woh aap ki kon si chez ko zayada pasand kar rahe hain.
Social media ya free blog par aap degar companies ke istiharay nahin chala sakte yani paise nahin kama sakte jabkeh apni website par aap paise kama sakte hain is bare mein bhi jald aik article main aap ke liye likhon ga.

Website Kis Tarah Banai Jaye

Website banane ke liye 3 cheezon ki zaroorat hoti hai.
  1. Website domain ya website ke naam ki registration.
  2.  Hosting ya yun kahain keh karaye par website ki jagah laina.
  3. Website ki designing yani aap ko apni website ke liye aik bara hi khubsurat design banana hota hai takeh aap ki site par anay wale log dobara bhi aap ki site par ayain aur aap ki website pasand karain. Agar aap ko aise ache design nahin bananay atay jin se aap ki website dunya ki behtareen websites mein shamil ho sakay tou preshan honay wali baat nahin hai kyun ke is bare mein main aap ki madad kar sakta hon.
Domain Name Kya Hota Hai
Domain name website ka aik khas naam hota hai jis se search engine aap ki website ko pehchanta hai yani aap ki website ka naam aur aik naam aik hi website ke liye hota hai.

Domain Ki Types
Domain name ki 2 types hoti hain aik top level domain aur aik local level domain.
  1. Top Level Domain Kya Hota Hai
    Top level domain name mein woh domain name shamil hain jo puri dunya mein istemal hote hain jin ke akhir mein (.com), (.org), (.net), (.edu) hota hai. Is ko aik aalmi idara ICANN register karta hai. Is ki aik saal ki qeemat taqreeban pakistani 1600 rupees hai yani 16 dollar.
  2. Local Level Domain Ka Matlab Kya Hai
    Har mulk mein local level domain name hotay hain Pakistan mein (.pk) aur india mein (.in) domain name local level domain name mana jata hai. Pknic nami idara is (.pk) domain name ko 2 saal ke liye register karta hai jis ki qeemat 2000 rupees hai.
Hosting Kya Hai
Domain name register karwaye jane ke baad aap ko website ke liye jagah karaye par laini hoti hai jis ko website hosting kehte hain. Jahan aap apni website ka data rakh sakte hain ye asal mein computer server ki hard disk ka aik hisa hota hai. Jo har waqt internet se munsalik rehta hai takeh internet sarfeen aap ki website par mojood data ko kisi bhi waqt dekh sakain. Pakistan aur India mein bohat si local aur international companies hosting ki khidmat faraham karti hain par main aap ko recemmend karon ga ke agar aap ne paise kamanay ke liye website banani hai ya aap chahte hain keh jub koi aap ki website visit kare tou usay aap ki website band na nazar aye balkeh chalti hoi milay tou aap BlueHost ki hosting lain jald is ke faide main aap ko aik dusre article mein bataon ga.

Hosting Ki Qeemat
Hosting ki price ka inhsaar aap ki website ke data par hai aik choti si website jis par sirf thora text aur pictures hain tou us ki hosting 1 saal ke liye aur aisi website aam tor par aap ko kama kar bhi nahin deti.
Agar aap ki website par audio, video jesa multi media data ho ga tou hosting us hisab se mehngi ho gi kyun ke aisi websites se aap bohat zayada paisa kamanay mein kamyab ho jatay hain aur is tarah ki websites ki hosting ki qeemat ka start taqreeban 10,000 pakistani rupon se hota hai. Lekin agar aap hosting khareedni mein meri help laitay hain tou main aap ko achi companies ki ya phir us company ki hosting khareed kar dene mein madad kar sakta hon jis ki main khud bhi istemal kar raha hon is website par. Khuch companies hosting ke sath domain name ki registration pehle saal ke liye muft mein deti hain jis se taqreeban 160 dollar ki bachat ho jati hai.

Web Designing
Is ke baad aap ko website ki designing karni hoti hai, takeh log aap ki website par mojood data ko kisi mushkil ke bina dekh payain. Website ki designing karne ke hamare paas 2 tarike hain aik HTML page aur dusra CMS.

  1. HTML Page
    Agar aap html ya php aur css ki programming jante hain tou website designing aap ke liye kafi asan hai aur designing ke tamam ikhtyarat hasil hain lekin us mein sub se bara masla ye hai keh agar website mein koi kharabi hoi tou usay khud aap ko hi theek karna hota hai.
    Aap web designer bhi rakh sakte hain jo mahana 20,000 se 50,000 rupay mein aap ki website ko aap ke mutabiq bana sakte hain. Is mein aik masla ye bhi hai keh agar aap kisi wajah se web designer tabdeel karte hain tou dusre designer ke liye website ki programming ke code ko samajhna mushkil ho ga. Un mushkilat ki wajah se aaj kal zayada log CMS ko istemal kar rahe hain.
  2. CMS
    Lafz CMS ka matlab content management system hai aap is ko website ko chalanay wala operating system bhi samajh sakte hain. Is waqt dunya mein kafi sare CMS kaam kar rahe hain. Har qisam ki website ke mutabiq CMS mojood hain kuch CMC muft mein hasil hain jabkeh kuch ki qeemat ada karni karti hai. 3 types ke CMS kafi famous hain Wordpress, Drupal aur Joomla ye teenon istemal ke liye free hain.
  • Wordpress
    Wordpress un logon ke liye faide mand hai jo web designing ki kam maloomat rakhte hain. Isay choti bari website ke liye istemal kiya ja sakta hai. Is waqt dunya bhar mein isi ka hi sub se zayada istemal kiya jata hai is ka istemal bhi kafi asan hai aur kisi khas maharat ki bhi zaroorat nahin. Wordpress ko seekhne ki mukhtalif videos bhi YouTube par muft dastyab hain.

  • Drupal
    Drupal wordpress ki tarah aik CMS hai lekin ye wordpress se zayada taqatwar hai is ko zayada pazirai web programmers detay hain. Lekin is ko woh log bhi istemal karte hain jo web programming nahin jantay aur website se apni zarooriyat ke mutabiq kaam laina chahte hain. Is ki maqbooliyat ki aik wajah ye bhi hai keh is ke bohat se Module muft mein available hain .Module yani kisi khas kaam ko karne ke liye aik software jo website par istemal hota hai.

  • Joomla
    Joomla aik aur maqbool CMS hai ye bhi wordpress ya Drupal ki tarah hai lekin is ko web programmers ki jagah web designers zayada pasand karte hain isi wajah se log baqi 2 CMS ki nisbat isay kam ahmiyat dete hain.
    Website Mobile Friendly Hai
    Aaj kal website ki 50% traffic mobile ya smart phones se aati hai is liye web site banate hue is baat ka dhihan rakhna lazmi hai keh website mobile ya smart phone istemal karne walon ko theek tor par nazar aye.

Ab Website Tayar Hai

Agar uper bataye hue sab steps aap kar chukay hain tou ab aap ki website bilkul ready hai aap ab zayada se zayada traffic la kar apni website se kamana shuru kar sakte hain.
logoblog

Thanks for reading Website Banane Ka Tarika Website Kaise Banti Hai Urdu Hindi How To Make Website Kaise Banaye

No comments:

Post a Comment