Shehri Difa Essay Urdu Shehri Difa Mazmoon Shehri Difa Meaning Civil Defense

  Lal Gulab      
Shehri Difa Essay In Urdu Shehri Difa Mazmoon Shehri Difa Meaning Civil Defense Essay Urdu
Science ki taraqi se jahan insan ko bay shumar faide pohanche hain wahan par aisi mohlik aijadat bhi hoi hain jinhon ne insane zindagi ka sakoon cheen liya hai. Ye darust hai keh science se aloom o fanon, wasail rasal o rasail, zarai naqal o hamal mein asaniyan hoi hain lekin sath hi sath nuqsanat ka mojab bhi bane hue hain. Atom bomb jese mohlik hathyar aijad ho chuke hain. Lihaza ye zaroori ho gaya hai keh humain aisay asoolon se ba khabar hona chahiye jin ke zariye hum hawai hamlay ki surat mein apne shehar ka difa kar sakain. Awal tou humain tanzeem shehri difa mein shamil ho kar ba’qaida shehri difa ki tarbiyat hasil karna chahiye aur agar nahin tou kam az kam humain ye tou maloom hona chahiye keh aise moqa per humain kin tadabeer se kaam laina chahiye jin se hum hawai hamla ke nuqsanat se bach sakain. Shehri difa ke zariye hum apne maal o jaan, apne khandan aur apne shehri bhaiyon ki hifazat kar sakte hain. Dushman zayada se zayada nuqsan pohanchane ki koshish karta hai is liye hamara farz hai keh hum zayada se zayada aise tareeqay apnayain jin ko baro e kaar la kar hum apni hifazat kar sakain.

Ittehad o ittefaq aur aik dusre se humdardi asleha se bhi zayada kaam atay hain. Yak jehti aur tanzeem se jangain jeeti jati hain jang ke dinon mein shehar ke mohallon aur bahir ke dihat mein shehri difa ki chokiyan qaim karni chahiyain. Suraj chupnay se suraj nikalne tak mukammal andhera (black out) hona chahiye. Galiyon mein medanon aur chhaton par kisi qisam ki koi roshni koi shoal, koi chingari nahin honi chahiye. Roshandanon, khidkiyon aur darwazon ki dararon tak se zara si bhi roshni bahir nahin aani chahiye. Kayi dehati log huqah peenay ke liye aag jala laitay hain is se jo roshni hoti hai us ki wajah se dushman ko pata chal jata hai keh yahan abadi hai. Jang ke dinon mein khorak mein kifayat bartni chahiye. Tajaron ko ashya khurdni ke bhao barhne nahin dene chahiyain. Afwahon se parhez karna chahiye jasuson per karri nazar rakhni chahiye.

Hawai hamla se bachne ke liye mandraja zail hidayat par amal karna chahiye.
  1. Apne ghar aik aise kamre ka intekhab karain jo kamron mein ghira hua hon aur mehfooz ho. Us kamre mein dakhil hone ka darwaza andar ki taraf hona chahiye us ke 2 darwaze hon khidkiyan nah on. Kamre ka raqba kam az kam taqreeban 60 muraba foot ho. Chhat kam az kam 7 foot unchi ho chat aur deewarain mazboot hon.
  2. Us kamre mein pani, khorak, bhunay hue chanay, gud, shaker, waghera, laaltain, diya salai, kulhari, sui dhaga aur chand tafreehi kitabain honi chahiyain. Aik bari mazboot maiz is qisam ki ho keh us ke nechay admi panah lay sakain.
  3. Alarm hote hi sub ghar wale us kamre mein mehfooz ho jayain jub khatra tal jaye tou dusri taraf se bahir niklain. Khandak ke andar airiyan utha kar baithain danton ke darmiyan rabar ya koi kapra rakhain. Bachon ke munh mein chusni waghera de dain takeh dhamaka ke surat mein dant munh ko nuqsan na pohancha sakain.
  4. Agar koi khandak muyasar na aa sakay tou kisi naram zameen par jo kisi neechi jagah par ho kohniyon ko zameen par taik dain. Sar ko donon hathon se tham lain hatheeliyon se kanon ko mazbooti se dhamp lain aur seena ko zameen se uncha rakhain. Uper nechay ke danton ke darmiyan koi kapra ya naram cheez rakh lain.
  5. Agar bus ya gari mein safar kar rahe hon tou us se utar kar nazdeek wali khandaq mein dakhil ho jayain. Rail gari mein hon tou khidki se bahir na jhukain sheeshay aur lakri wali khidkiyan band kar dain aur khud nishist ke neechay chale jayain. Saman ko jis nashist ke neechay aap hon us ke upper rakh lain tou behtar ho ga.
  6. Car ya bus ko sarak ke bayain kinare khada kar dain car ke sheeshay band kar lain car ko lock na karain aur us ki chabi gari mein hi rehne dain.
  7. Janwaron ko khool kar kisi darakht janglay ya gari ke pahinay ke sath mazbooti se bandh dain. Pani ke nalkey ya bijli ke khambe se na bandhain kyoun keh kisi bhi waqt un mein current aa sakta hai aur nuqsan ka baes ho sakta hai.
  8. Agar dushman mulk ki fauj raat ke waqt hamla karay tou mukamal black out rakhain. Kisi jagah se bhi zara bhi roshni nahin nikalni chahiye. Roshni ki zara sib hi changari ya kiran shehar ya gaon ki tabahi ka baes ban sakti hai.
Uper batai hoi hidayaat jo zehan nasheen kar lain aur jis waqt hamla ho apne hosh o hawas qaim rakh kar fori tor per tamam iqdamat per amal karain. Behtar tou ye hai keh shehri difa ki baqaida tarbiyat hasil karain aur apne ward, charmain ya member union council se rabta qaim rakhain.
logoblog

Thanks for reading Shehri Difa Essay Urdu Shehri Difa Mazmoon Shehri Difa Meaning Civil Defense

No comments:

Post a Comment