Sachal Sarmast History In Urdu Sachal Sarmast Biography

  Lal Gulab      
Sachal Sarmast History In Urdu Sachal Sarmast Biography
Sindhi zuban ke mashoor shayar jo arf e aam mein shayar hift zyban kehlatay hain kyun keh aap ka kalam 7 zubanon mein milta hai. Sachal Sarmast ki pedaish 1739 mein sabiq riyasat Khairpur ke chotay gaon Daraza mein aik mazhabi khandan mein hoi. In ka asal naam tou Abdul Wahab tha magar in ki saaf goi ko dekh kar log inhain sachal yani sach bolnay wala kehne lage. Baad mein in ki shayari ke sholay dekh kar inhain sarmast bhi kaha gaya. Sachal Sarmast ki pedaish sindh ke riwayati mazhabi gharanay mein hoi magar unhon ne apni shayari mein apni khandani aur us waqt ki mazhabi riwayat ko tor kar apni mehfilon mein hindu Muslim mein farq mita diya. In ke aqeedat mandon mein kayi hindu bhi shamil hain.

Shah Abdul Lateef Bhitai aur Sachal Sarmast ki zindagiyon mein 70 bars ka fasla hai. Sachal Sarmast ne sindh ke talpur hukmaranon ke aise dor e iqtidar mein zindagi basar ki jub mazhabi intihai pasandi apne urooj par thi.

Sachal Sarmast 90 bars ki umar mein 14 ramzan 1242 mein wafat pa gaye. Unhon ne bunyadi arbi farsi ki taleem apne khandan ke bazurg apne chacha se hasil ki. Sachal Sarmast ka kalam sunanay wale faqeeron ko sindh mein aik munfarid maqam is liye bhi hasil hai keh kisi bhi mehfil mein jub bhi mazhabi intiha pasandi ko lalkara jata hai tou aaj bhi sahara sacvhal ka liya jata hai.
logoblog

Thanks for reading Sachal Sarmast History In Urdu Sachal Sarmast Biography

No comments:

Post a Comment