Ramadan Essay In Urdu Ramzan Ki Ahmiyat Barkat Ramzan Essay Hindi

  Lal Gulab      
Ramzan Urdu Essay 2020 - 2021
Is saal Ramzan ka mubarak maheena aa chuka hai, rehmaton ke is maheenay ke hawalay se aaj school ke bachon ke liye Ramzan par mazmoon pesh kiya ja raha hai.

 
Ramadan Essay In Urdu Ramzan Essay Hindi - Ramzan Islami calender ka nowan maheena hai ye woh maheena hai jis mein Quran Kareem ka nazool hua. Yani is maheenay mein Quran ke nazool ki ibtida hoi kyun keh Quran tou 23 saal ke aray mein rafta rafta hab zaroorat o baqadar kafayat nazil hua. Ye bhi kaha jatahai keh mah e ramzan ke akhri ahray ki taaq raton mein e kii raat ko pehli wahi nazil hoi. Baaz is ke mani ye laitay hain keh mah e ramzan ke akhri ahrah ki taaq raat mein Quran Pak ko loh mehfooz se pehle asman par utar diya gaya aur wahan e phir thora thora kar ke iay dunya mein Rasool Pak SAWW par nazil kiya gaya.

Roze Ke Farz Kya Hain

Ramzan ke maheenay ke rozay 2 sun hijri mein farz kiye gaye. Rozay Islam hi nahin balkeh pehli ummaton par bhi farz kiye gaye thay. Aur ramzan ka faida de hai keh ye rozah daron mein taqwa paida karta hai. Roza har aqil o baligh Musalman par farz hai aur ye subah sadiq se gharoob aftab tak rakhna parta hai. Is doran admi ko khanay peenay aur biwi se door rehnay ki pabandi hoti hai. Taham rozah sirf khanay peenay se baaz rehnay ka naam nahin balkeh inan ke aiza ka bhi roza hona chahiye. Roza ke doran insan ankh utha kar kii ghair mehram aurat ki taraf na dekhe. Zuban se koi buri baat na kahe aur na kisi ki gheebat kare.

Roza Dhaal Hai

Roza rakhnay se jahan bohat zayada sawab milta hai wahin is ke bohat se aur faidfe bhi hain jin mein se aik faida ye hai keh roza khawahishat aur bure kamon ke rasta mein dhal ban jata hai aur insan ko buri baton ki taraf mael hone se rokta hai.

Ghareebon Ka Ehsas

Rozay ka faida ye bhi hai keh maaldar roza daron ko ghareebon ki bhook aur pyas ka andaza ho jata hai aur unhain pata chal jata hai keh un logon ka kya haal hota hai jin ko sara sara  din baghair kuch khaye piye bhuka rehna parta hai. Lihaza un ke dilon mein ghareebon aur mohtajon ke liye naram gosha paida ho jata hai aur woh un ki zarooriyat zindagi ka khayal rakhna shuru kar dete hain.

Roza Rakhna Sehat Ke Liye Mufeed Hai

Roza sehat ke liye bhi mufeed hai aik mah tak matwatar roza rakhne se insan ka wazan kam hota hai sehat theek rehti hai. Pait aur maida theek tor par kaam karne lagta hai aur doctors ke mutabiq roza insan ko bohat si bimariyon se bachata hai. Jigar ki shikayaton ko rafa karta hai is liye har Musalman ko ramadan ke rozay lazmi rakhne chahiyain.

Sabar o Istaqamat

Roza insan mein sabar aur istqamat paida karta hai. Sahaba Karaam ne Jang e Badar mah e ramzan mein lari thi is se sabat hota hai keh Sahaba Karaam kis qadar istiqamat ka jazba rakhte thay aur rah e haq mein kis qadar sakhtiyan bardasht karte thay.

Sabit hua keh rozadar ke liye Ramzan kitni bari naimat hai mukhtasir ye keh Ramadan barkaton khushiyon aur neki o sawab ki daulat sameetnay ka maheena hai. Aqbat sanwarnay ke ilawa sehat behtar banane aur bimariyon se nijat ka maheena hai. Ghareebon aur mohtajon ki bhook pyas ka ehsas karne ka maheena hai. Is mubarak mah ke doran dozakh ke darwaze band kar diye jate hain aur shetan janzeeron mein jakar diye jate hain. Lihaza sub Musalmanon ko is ka bharpur faida uthana chahiye.
Note: Students ke liye ramadan essay ke ilawa aur bhi topics par hamari team essays faraham karti hai aur anay walay dinon mein mazeed topics par mazameen bhi shaya kiye jayain ge. Imtihanat mein agar mandraja zail mazmoon ayain tou bhi is mazmoon ko likha ja sakta hai. Ramzan ki ahmiyat, ramzan ki fazilat, ramzan ki barkat, ramzan ki barkatain, ramadan festival, ramadan experience.
logoblog

Thanks for reading Ramadan Essay In Urdu Ramzan Ki Ahmiyat Barkat Ramzan Essay Hindi

No comments:

Post a Comment