Khwab Mein Patang Dekhna Kite In Dream Urdu Patang Urana Kite Flying Dream Meaning Hindi

  Lal Gulab      
Khwab Mein Patang Dekhna Ki Tabeer In Urdu Sapne Mein Patang Dekhna Ya Udana Hindi Khawab Mein Kite Dekhna - Kite Dream In Urdu

Agar hum patang urane ki history ke bare mein baat karain tou maloom hota hai keh patang urane ki tareekh 2800 saal purani hai jo china se milti hai aur us waqt se lay kar ab tak zameen par rehnay wale log khwab mein patang dekhtay arahe hain. Kabhi koi khwab mein safaid rang aur kabhi rang barangi patang dekhta hai, kabhi koi dekhta hai keh us ki patang kat gayi hai aur kabhi koi khwab mein patang pakartay hue khud ko dekhta hai. Har khawab apna alag matlab rakhta hai isi tarah patang ya guddi aur door ka bhi apna hi matlab hai aise khawabon ka taluq insan ki khwahishat se bhi hota hai. Agar kisi ne khwab mein khud ko patang urate hue dekha aur patang kati nahin us ke qabu mein thi tou sahib e khwab jald achi khabar sunay ga. Aur agar kahin se kati patang urti hoi pakri tou apni khawahishat ke hisab se koi khawahish jald puri hota hua dekhe ga.

Agar koi khawabon ki dunya se bahir haqeeqat ki dunya mein apna rishta dekh raha hai aur us doran us ne khwab mein urti hoi kati patang ki door pakri aur patang ko apne kabu mein na rakh paya aur us ki door toot gayi ya kisi ne khali door pakri aur woh bhi toot gayi tou donon suraton mein khwab ka matlab ye hai keh sahib e khwab ka kahin se rishta aye ga par wahan par us ka rishta nahin ho paye ga aur agar kisi ne khwab mein patang pakri aur woh tooti nahin aur us ne usay apne paas rakh liya tou jald us ka woh rishta aye ga jahan us ki shadi ho gi.

Agar kisi ne khawab mein bohat si kites dekhein tou mehmaan anay aur un ke sath acha waqt guzarnay ka ishara hai. Khwab mein patang urana ye matlab bhi rakhta hai keh jo muaamlaat aap ki zindagi mein chal rahe hain un mein rish, khatra hai keh woh aap ke liye kamyabi aur nakami donon mein se kuch bhi ho sakte hain ya phir aap ki zindagi mein aisa mauqa aye ga jahan koi kaam aap ki zindagi se jura bari ahmiyat rakhe ga magar us mein aap ko kaam na banne ka khauf rahe ga par us ka natija nakami ya kamyabi ki surat mein jald samne aye ga. Aam aur asan alfaz mein ye keh dream mein kite urana ya pakarnay ka matlab zindagi ke muamlaat se hota hai jo us waqt aap ki zindagi mein chal rahe hon.

logoblog

Thanks for reading Khwab Mein Patang Dekhna Kite In Dream Urdu Patang Urana Kite Flying Dream Meaning Hindi

No comments:

Post a Comment