Jellyfish Information In Urdu Jellyfish Facts In Hindi
Aaj ka article jellyfish ke bare mein hai jis mein aap jellyfish ki maloomat aur dilchasp facts ke bare mein parhain ge.
Samandaron ki dunya mein bohat se aabi jandar paye jate hain. Mahireen kehte hain keh un sabhi janwron ko abhi tak insan daryaft bhi nahin kar paya hai. Jellyfish ka shumar aik aisi aabi makhlooq mein kiya jata hai jo munfarid hone ki wajah se insanon ki dilchaspi ka sabab banti hai. Lekin kam log hi ye baat jantay hain keh jellyfish insanon ke liye khatarnak bhi sabit ho sakti hai.
Jellyfish sateh samandar se lay kar samandar ki gehrai tak payi jati hai. Mahireen ka andaza hai keh jellyfish 50 crore saal se hamare samandaron ka hisa hain. Jellyfish kehlai jane wali ye aabi makhlooq mahireen ke nazdeek machli ki khasoosiyat nahin rakhti isi liye baaz auqat unhain sirf jellies bhi kaha jata hai.
Jellyfish taqreeban 92% pani ki bani hoti hai aur is ki 85 mukhtalif types hoti hain. Hairan karne wali baat ye hai keh jellyfish ka dimagh, saans, aur hazam karne ka mukammal nazam na hone ke bawajood jellyfish din ke 24 ghante khoraak khati hain.
Pichlay kuch arsay mein mahool mein barhti hoi aloodgi aur aabi hayat ke bay dareegh shikar ki wajah se dunya bhar mein jelly fish ki tadad bohat tezi se barhi hai kyun keh jellyfish oxygen ke baghair, gandagi aur aloodgi mein asani se zinda reh sakti hain.
Bazahir bay zarar dikhai dene wali jellyfish khtarnak bhi sabit ho sakti hai. Jellyfish ke lambe lambe dhage darasal is ka hathyar hain. In lambe lambe dhagon ke andar chotay chotay kantay hote hain jo woh hamlay ke liye istemal karti hai. Yehi wajah hai keh tayrakon ko samandar ke un paniyon mein janay se mana kiya jata hai jahan jellyfish zayada tadad mein mojood hon kyun keh jellyfish jesi baaz machliyon ka zehar insan ke liye khatarnak ho sakta hai.
No comments:
Post a Comment