Hasan Ali History Urdu Biography Hassan Ali Cricketer Life Story Hindi

  Lal Gulab      
Hasan Ali History In Urdu Biography Hassan Ali Cricketer Life Story Hindi
Dunya e cricket mein pakistan aur india ki cricket teamon ki baat ki jaye tou india ko hamesha acha balaybazon ki wajah se cricket mein jana jata hai jabkeh pakistan ka shumar un mulkon mein hota hai jinhon ne cricket ke kheel ko azeem tez gaind baaz diye. Cricket ke shaiqeen ki tadad mein izafa karne mein aur cricket ke kheel ko aur mashoor karne mein pakistan ke tez gaindbazon ka aham kirdar hai jin mein shoaib akhar, waqar younis, wasim akram, Sarfaraz Nawaz, Imran Khan, Fazal Mehmood, Aqib Jawed aur kayi dusre namwar fast bowlers ka naam qabil e zikar hai. Aik waqt tha jub Pakistan cricket tream mein Wasim Akram, Waqar Younis, Shoaib Akhtar, Muhammad Sami, Abdul Razzaq, Rana Naveed Ul Hassan, Azhar Mehmood aur Shahid Nazir jese gaindbaaz hua kartay thay is bowling line up ke samne mukhalif teamon ke maya naaz aur manjhay hue khilari bhi dara kartay thay. Ye bila shuba Pakistan ki tareekh ka sub se behtareen bowling attack tha magar in sub ke cricket chornay ke baad lagta tha ke Pakistan ka bowling attack bohat kamzoor ho jaye ga magar aisa nahin hua tab Pakistan cricket mein kayi aur gaind bazon ne entry di jin mein Umer Gul, Muhammad Amir aur Muhammad Asif, Muhammad Irfan aur Wahab Riaz jese gaind baaz shamil thay. Muhammad Asif ne jub tak cricket kheeli mukhalif team ke balay bazon ko preshan kiye rakha khas tor par Peterson ko jo bila shuba cricket ke behtareen balay bazon mein se aik hain magar woh Muhammad Asif ki gaind bazi ko samajhnay mein mushkilat ka shikar dikhaye diye. Lekin is behtareen bowler ne match fixing ki dunya mein qadam rakh kar khud hi apne cricket career ko khatam kar diya magar Muhammad Amir phir se cricket ki dunya mein wapis anay mein kamyab raha magar Muhammad Asif shayed ab kabhi cricket ke bain al aqmani kheelon ke muqablon mein gaindbazi kartay hue nazar na aye.

Pakistan cricket in sub mushkil halaat mein bhi nakam na hoi kyun ke Pakistan ke shehron aur dehaton se Pakistan cricket ko behtareen tez gaind baaz miltay rahe jin mein Pakistan ka aik ubharta hua naujawan bowler Hassan Ali bhi shamil hai. Hasan Ali ne tou apne career ke ibtidai lamhon mein hi dunya ko mutasir karna shuru kiya is ka saboot champions trophy 2017 ka woh pura tournament hai jis mein dunya bhar ke behtareen gaind baaz shamil thay jin mein Mitchell Starc, Steven Finn, Morne Morkel, Nuwan Kulasekara aur Lasith Malinga jese tajarba kar bowlers shamil thay magar tournament ke ikhtitam par in sub gaind bazon mein se jis ne sub se behtareen gaindazi ki aur sub se zayada wickets hasil kien aur golden ball ka award hasil kiya us ka naam Hassan Ali hai.

Kheel ke liye mehnat aur junoon insan ko zaroor kamyabi deta hai magar kam hi log aise hote hain jinhain apne junoon ke liye un ke ghar walon ki himayat hasil ho. Champions Trophy mein india samait England aur degar teamon ki bating ko tabah karne wale Hasan Ali ka shumar bhi unhi logon mein hota hai.

Hasan Ali Information In Urdu
Hassan Ali 7 february 1994 ko pakistan ke subah punjab ke shehar Mandi Bahauddin mein paida hua. Hassan Ali 10 saal ka tha jub us ke ghar walon ne bhanp liya tha keh isay cricket kheelne ka shoq hai. Lihaza unhon ne us ka ye shoq pura karne mein Hassan Ali ki har mumkin madad ki. Ghar ke pichlay hisay mein aik jim aur cricket pitch bana di gayi takeh woh khoob kheel sakay. Us ke bhai Ataur Rehman jo keh zilai satah par aik ache batsman hain ne Hassan ke cricket ke liye junoon ko jald hi samajh liya tha aur us ka shoq pura karne mein us ki puri madad ki. Hassan Ali ke bhai ka kehna hai keh jub kabhi mera koi match hota tou Hassan mere sath match kheelne zaroor jata. Woh 10 saal ka tha jub main ne us ke andar bowling ka shoq dekh liya tha. Lihaza main usay apne coach Ansar Zafar ke paas lay gaya jinhon ne Nauman Anwar aur Imran Nazir jese khilariyon ko pehchan di aur un ki tarbiyat ki.

Hassan Ali ko young star club mein shamil kar liya. Ansar ne bataya keh jub Hassan mere paas aya aur main ne us ki bowling dekhi tou main samajh gaya tha keh Hasan mein bay intihai talent mojood hai is liye main ne usay tarbiyat dena shuru kar di jisay us ne bohat tezi se seekha. Chunanchah Hassan ke bhai ne us ki har mumkin tarbiyat aur madad ki. Hassan rozana 8 - 8 ghantay tak practice karta rehta tha Hassan ne mehnat kar ke apne talent ko mazeed nikhara aur aaj mulk ka naam roshan kar aya. Ataur Rehman ka kehna hai keh ghar ke sath wale yard mein jahan Hassan ki tarbiyat hoi wahin ham ne parhne wale bachon ki cricket ki tarbiyat ki gharz se aik chota school bana diya hai takeh bache muft mein cricket seekh sakain. Hassan Ali ne first class cricket ka aghaz Sialkot ke liye 2013 mein kiya aur international cricket ka aghaz Pakistan Qaumi Cricket Team ki taraf se August 2016 mein kiya yani sirf 1 saal se bhi kam arsay mein us ne dunya ko aik baar phir sabit kar ke dikhaya hai keh Pakistan ki dharti aaj bhi dunya ke behtareen fast bowlers paida kar rahi hai.

logoblog

Thanks for reading Hasan Ali History Urdu Biography Hassan Ali Cricketer Life Story Hindi

No comments:

Post a Comment