Child Labour Essay Urdu Child Labour In Pakistan Speech Mazdoor Bachay

  Lal Gulab      
Child Labour Essay In Urdu Child Labour In Pakistan Speech

Mazdoor Bachay Mazmoon
Mazdoor bachon par akhri servey 1996 mein hua tha jis mein bataya gaya tha keh mulk mein 33 lakh bache mazdoor hain. Ghurbat ke hathon mazdoori karne wale bachon ko muft taleem, ilaj aur kifalat faraham karne ke zarae muhaiya karne hon ge. Woh dusre bachon ko hasrat bhari nigahon se dekh kar sochtay hain keh kash hum bhi school ja sakte.

Bachay jannat ke phool hain yeh Khuda ki khobsorat aur saaf o shafaaf takhleeq hain. Bachay jab subah school jane ki tayari karte hain to ghar wale un ki masoomiyat par khush hotay hain, aisay bachay bhi hain jo maali mushkilaat ki wajah se school nahi ja satke woh dosray bachon ko hasrat bhari nigahon se dekh kar sochte hain ke kash hum bhi school ja satke. Aisay bachay bhi hain jin ke ghar walay mehnat mazdoori nahi kar satke aur unkay bachon ko kaam karna parta hai. Bachay mulk ka roshan mustaqbil hain ghareelo halaat se tang aa kar school jane ki umar mein ghar ka cholha jalanay ke liye school jane ki bajaye karoobari marakaz par kaam karte hain. Yeh aik almiya hai jo waqt guzarnay ke sath sath masharti nasoor ki shakal ikhtiyar kar raha hai. Sari duniya is lanat ka samna kar rahi hai kas tor par teesri duniya ke ghareeb mumalik is ka zayada shikaar hain.

Pakistan jaisa mulk jahan ishrafia ameer se ameer tar aur ghareeb se ghareeb tar hota ja raha hai wahan ghareebon ke bachay school jane ki bajaye dukanon, hotelon, bus adon, workshopon aur deegar mutadid jaghon par mazdoori par laga dete hain. Bad qismati se is malik mein nah to taleem muft hai aur na hi ilaj. Agar taleem ke liye shool hain to kitaabon aur fees ke liye ghareebon ke paas paisay nahi hain. Hamaray mulk ko wujood mein aaye 70 saal ho chuke hain magar hukmraanon ko is mulk ka khazana harap karne se hi fursat nahi ke woh is mulk ke bachon ke mustaqbil ke liye thos bunyadon par koi hikmat e amli muratab kar saken takeh child labour ko roka ja sakay.

Hamaray mulk mein awaami haqooq ki baat to sab hi siyasi jamaten karti hain lekin child labour ke khatmay ke hawalay se kisi bhi jamaat ne usay apne manshoor ka hissa nahi banaya. Pakistan mein child labour ko roknay ke liye mandarja zail qawaneen mojood hain jin mein implement of children act 1991, West Pakistan shops and establishment ordinance 1969 waghera hain. Lekin un par amal dar amad aaj tak nahin ho saka. 4 saal se 14 saal ke 11 million bache aaj bhi factories aur deegar maqamat par intihai mushkil halaat mein kaam kar rahe hain.

Mazdoor bachon par akhri servey 1996 mein hua tha jis mein bataya gaya tha keh mulk mein 33 lakh bachay mazdoor hain jabkeh ye sirf baqaida jaghon par kaam karne wale bachon ki tadad hai. Mazdoor bachon ka 80% tou ghair rasmi shooba mein haijesay gharon aur kheeton mein kaam karne wale jin ka koi servey nahin kiya jata. Samaji behbood par kaam karne wali aik tanzeem ke mutabiq baqaida shoobon mein kaam karne wale mazdoor bachon ki tadad 40 lack se tajawaz kar chuki hai. Jis mein se sirf 20 lack bache punjab se hain. Pakistan mein bachon ki mazdoori se mutaliq qawaneen mein bachon se murad aise kam umar log hain jin ki umar 14 saal se kam hai.

Bachon ke liye sub se khatarnak kaam chamray ki sanat hai jahan bari tadad mein chemical istemal hote hain. Jo un nanhi janon ke phephron par buri tarah asar andaz hote hain. Isi tarah hospitals se koora karkat, gandi patiyan bhi uthatay hain jin ke bare mein woh nahin jante keh woh kitni khatarnak bimariyon mein mubtila ho sakte hain. Bachon ki mazdoori karne ki bari wajah ghurbat hai aksar waldeen unhain is liye kaam kar bheejtay hain keh woh koi hunar seekh lain.

Is baat ka andeesha hai keh bharti hoi mehngai, bay rozgari, taleemi akhrajat mein izafa aur hukmaranon ki child labour policy se parda poshi ki wajah se child labour kam hone ki bajaye barhay gi. Child labour ke khatmay ke liye hukumat ke sath sath muashray ko bhi fa'aal kirdar ada karna ho ga. Ghurbat ke hathon majboor mazdoori karne wale bachon ko muft taleem, ilaj aur kifalat karne ke zaraye muhaiya karnay chahiye.
logoblog

Thanks for reading Child Labour Essay Urdu Child Labour In Pakistan Speech Mazdoor Bachay

No comments:

Post a Comment